Search
Sections
< All Topics
Print

13. TALAB-E-AULAAD KI DUAAIN[Invocations to seek pious progeny]

Talab-e-aulaad ki Duaaein:

DUA: 01

رَبِّ هَبْ لِى مِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ 

  1. Rabbi habli minas saleheen.

Tarjuma: Ae mere rab tu mjhe ek oulad ata farmaa jo naikou me se ek ho.

[Surah saaffaat:37: 100]

*************************

DUA: 02

قَالَ رَبِّ هَبْ لِى مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةًۭ طَيِّبَةً ۖ إِنَّكَ سَمِيعُ ٱلدُّعَآءِ

Rabbi habli mil ladunka zurriyatan tayyabatan innaka sami ud dua.

Tarjuma:  Ae mere rab tu mjhe khaas apnay paas se koi achi si oulad inayath ata farmaa tu beshak dua sunnay aur qubool karnay wala hai.

[Surah Ale Imraan: 03: 38]

*************************

DUA: 03

رَبِّ لَا تَذَرْنِى فَرْدًۭا وَأَنتَ خَيْرُ ٱلْوَٰرِثِينَ 

Rabbi la tazarni fardan wa anta khairul wareesin.

Tarjuma:  Ae mere rab tu mjhe Akela na chodh aur tu sub se acha waris hai.

[Surah Anbiyaa:29: 89]

*************************

DUA: 04

رَبِّ فَهَبْ لِى مِن لَّدُنكَ وَلِيًّۭا

       Rabbi fa habli mil la dunka waliyaa.

Tarjuma:  Tu mjhe apnay paas se ek waris ata farmaa.

[Surah mariyam:19: 05]

*************************

DUA: 05

AOULAAD SE ANKHON KI THANDAK KAY LIYE DUA:

رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَٰجِنَا وَذُرِّيَّـٰتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍۢ وَٱجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا

Rabbana hab lanaa min azwaajinaa wa zurriyyaatinaa qurrata a’yun, waj ‘alnaa lilmuttaqiina imaamaa.

Tarjamah: Aye hamare parwardigaar! Tu humein hamari biwiyon aur aulaad say aankhon ki thandak ataa farma aur humein parhezgaaron ka peshwa bana.

[Surah Furqan: 25: 74]

*************************

DUA: 06

AOULAAD KAY NAMAZI AUR PARHEZGAARI KE LIYE DUA:

رَبِّ ٱجْعَلْنِى مُقِيمَ ٱلصَّلَوٰةِ وَمِن ذُرِّيَّتِى ۚ رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَآءِ

Rabbij-alni muqiimas-Salaati wa min zurriyyatii, Rabbanaa wa taqabbal duaa.

Tarjamah: Aye mere paalne wale! Mujhe namaaz ka paaband rakh aur meri aulaad say bhi, Aye humare Rab meri dua qubool farma.

[Surah Ibrahim:14: 40]

*************************

DUA: 07

APNAY APKO AUR AOULAAD KO SHIRK SE BACHOU KAY LIYE DUA:

واجنبني ويني أن تعيد الاصنام

Waj-nubnii wa baniyya an-na-budal asnaam.

Tarjamah: Mujhe aur meri aulaad ko but parasti say panaah day.

[Surah Ibrahim:14: 35]

*************************

DUA: 08

APNAY AUR AOULAAD KAY SHUKR GUZARI BAJLAANE KAY LIYE DUA:

رَبِّ أَوْزِعْنِىٓ أَنْ أَشْكُرَ نِعْمَتَكَ ٱلَّتِىٓ أَنْعَمْتَ عَلَىَّ وَعَلَىٰ وَٰلِدَىَّ وَأَنْ أَعْمَلَ صَـٰلِحًۭا تَرْضَىٰهُ وَأَصْلِحْ لِى فِى ذُرِّيَّتِىٓ ۖ إِنِّى تُبْتُ إِلَيْكَ وَإِنِّى مِنَ ٱلْمُسْلِمِينَ ١٥

Rabbi awzi’nii an ashkura nimatakallatii an’amta alayya wa’alaa waalidayya wa an a’amala saalihan tarzaaahu wa aslih lii fii zurriyyatii. Innii tubtu ilayka wa innii minal-Muslimiin.

Tarjamah: Aye mere parwardigaar! Mujhe tawfeeq day kay mein teri is nemat ka shukar bajaa laaoon jo toone mujh par aur mere maa baap par inaam ki hai aur yeh kay mein aise nek amal karun jinse tu khush ho jaaye aur tu meri aulaad bhi saaleh bana, mein teri taraf rujoo karta hun aur mein musalmaano mein say hun.

 [Surah Ahqaaf:46: 15]

*************************

Note:

 Ziddi bacchon ko saaleh aur sanjeedah aur acche banana kay liye yeh duaa badi mufeed hai, Bi-iznillaah.

DUA: 09

Bacchon par Ruqyah karte rahiye:

 أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ ‏”‏‏.‏

Aoozu bi kalimatillahit taammah, min kulli shaitaani va haammah, va min kulli ainin laammah.

Tarjamah: Mein panaah maangta hun Allaah kay poore poore kalimaat kay zariye har aik shaitaan say aur har zaherile jaanwar say aur har nuqsaan pahunchaane waali nazar-e-bad say.

[Sahih Bukhari: 3371]

*************************

DUA: 10

Aur apne rishte ki hifaazat kay liye:

A’oozu billahi minal ain” padhte rahiye.

*************************

Aulad Maangne Wali Kuch Duayein | Dua Series 22 | Shaikh Khalil Ur Rahman Sanabili | iPlus TV
Table of Contents