08. CHAND ZARURI QAWAAID
CHAND ZARURI QAWAAID.
Kuch qawaaid haqeeqat mein nusoos hi hain keh jinhain qawaaid ka darjah day diya gaya hai.
Aur baaz qawaaid istinbaat-o-istiqraa kay zariyeh waza’a kiye gaye hain, Jin mein say chand aham hasb-e-zail hain.
(1) (( الخراج بالضمان ))
” Faaidah zamaan ki wajah say hai “.
(2) (( لا ضرر ولا ضرار ))
” Na nuqsaan uthaao, Na kisi ko nuqsaan mein mubtalah karo “.
(3) (( ليس لعرق ظالم حق ))
” Zaalim ki jad kay liye koi haqq nahi “.
(4) (( البينة على المدعي واليمين على من أنكر ))
” Daleel muddayi par hai aur qasam inkaar karnay walay par hai “.
(5) (( كل معروف صدقة ))
” Har naiki sadqah hai “
(6) (( الزعيم غارم ))
” Zamaanat denay wala chatti bharay ga”.
(7) (( إنما الولاء لمن أعتق ))
” Walaa sirf ussi kay liye hai jis nay ghulam azaad kiya “.
(8) (( الولد للفراش وللعاهر حجر ))
” Bacha saahib-e-firash kay liye hai aur zaani kay liye pathar hain “.
(9) (( البيعان بالخيار ما لم يتفرقا ))
” Do bai’a karnay walon ko alag honay tak ikhtiyar hai “.
(10) (( من وقع في الشبهات وقع في الحرام ))
” Jo shubuhaat mein waaqi hoga woh haraam mein waqi ho jaye ga “.
(11) (( من حسن إسلام المرإ تركه ما لا يعنيه ))
” Be maqsad ashiyaa ko chhod dena aadmi kay Islam ki khubi hai “.
(12) (( إنما الأعمال بالنيات ))
” Aamaal ka daar-o-mdaar niyaton par hai “.
(13) (( ألأمور بمقاصدها ))
” Mu’amilaat ka aitbaar apnay maqaasid kay sath hai “.
(14) (( أليقين لا يزول بالشك ))
” Yaqeen shak kay sath zaail nahi hota “.
(15) (( ألمشقة تحلب التيسير ))
” Mushaqqat asaani laati hai “
(16) (( العادة محكمة ))
” Aadat hakim banayi gayi hai “
(17) (( الضرر يزال ))
“Nuqsaan zaail Kar diya jata hai “
(18) (( الاجتهاد لا ينقض بالاجتهاد ))
” Ijtehaad ijtehaad kay zariyeh nahi tut’ta “
(19) (( إذا إجتمع الحلال والحرام غلب الحرام ))
” Jab halaal-o-haraam jama ho jayen to haraam ko fauqiyat di jaye gi “
(20) (( الايثار في الكرب مكروه وفي غيرها محبوب ))
” Qurb-o-ibaadat kay kaamon mein eisaar karna makrooh hai, Jabkaeh is kay ilawah dusray kaamon mein pasandeedah hai “
(21) (( الحدود تسقط بالشبهات ))
” Shubuhaat day hudood saaqit ho jati hain “
(22) (( الفرض افضل من النفل ))
” Farz nafal say afzal hai “
(23) (( ما حرم أخذه حرم إعطائه ))
” Jis cheez ka lena haraam hai, Uska dena bhi haraam hai “
(24) (( ما حرم إستعماله حرم اتخاذه ))
” Jis cheez ka iste’imaal haraam hai, Uska rakhna bhi haraam hai “
(25) (( الواجب لا يترك إلا لواجب ))
” Wajib sirf kisi wajib kay liye hi chhoda ja sakta hai “
(26) (( النفل اوسع من الفرض ))
” Nafal farz say ziyadah waseee’i hota hai “
(27) (( الرضا بالشيئ رضا بما يتولد منه ))
” Kisi cheez say razamandi us cheez say bhi razamandi hai jo us say paida hoti hai “
(28) (( ما كان اكثر فعلا كان اكثر فضلا ))
” Jo kaam fail kay aitbaar say ziyadah ho woh fazeelat kay aitbaar say bhi ziyadah hota hai “
(29) (( الضرورات تبيح المحظورات ))
” Zaruraten mamnu’aah af’aal ko bhi mabaah kar deti hain “
(30) (( الخروج من الخلاف مستحب ))
” Ikhtilaaf say nikalna mustahab hai “
(31) (( السؤال معاد في الجواب ))
” Jawab mein sawaal ka e’aadah hota hai “
(32) (( لا ينسب للساكت قول ))
” Khamosh ki taraf qaul mansoob nahi kiya jata “
(33) (( الدفع أقوى من الرفع ))
” Door kar dena kisi cheez ko khatam kar denay say ziyadah qawwi hai “
(34) (( الرخص لا تناط بالمعاصي ))
” Rukhsatain gunahon kay sath mu’allal nahi hotin “
(35) (( اعمال الكلام اولى من اهماله ))
” Kalaam ko kaam mein lana usay mohmal kar denay say ziyadah bahtar hai “
(36) (( الضرورة تقدر بقدرها ))
” Zarurat ka us ki miqdaar kay mutabiq andaazah kiya jaye ga “
(37) (( ألأصل براءة الذمة ))
” Asal mein insaan tamaam zimmadariyon say bari hai
(38) (( إذا سقط ألأصل سقط الفرع ))
” Jab asal saaqit ho jaye gi to fara’a bhi saaqit ho jaye gi “
(39) (( لا يثبت حكم الشيئ قبل وجوده ))
” Kisi cheez kay wujood say pahlay us ka hukam saabit nahi hota “
(40) (( ما جاز لعذر بطل بزواله ))
” Jo kaam kisi uzar ki wajah say jaaiz huwa ho woh us uzar kay zaail honay say zaail ho jaye ga ” (1).
Mazeed tafseel kay liye mulahazah ho, “Al-qawaaid-ul-fiqahiyah”, az doctor Yaqoob Ibn-e-Abdul Rahman Al-baahiseen. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.