Search
Sections
< All Topics
Print

(3) AISAY PANI KA HUKAM JO KISI JAGAH ZIYADAH DAIR THAHERNAY KI WAJAH SAY MUTAGHAYYAR HO JAYE.

(3) AISAY PANI KA HUKAM JO KISI JAGAH ZIYADAH DAIR THAHERNAY KI WAJAH SAY MUTAGHAYYAR HO JAYE.



Aisa pani jo najaasat girnay ki wajah say nahi balakeh ziyadah dair thahernay ki bina par mutaghayyar ho jaye ( yaani ausaaf-e-salasah mein say koi wasaf badal jaye  ) to us kay sath wuzoo karna dorust hai.

Jamhoor ka yeh hi mo’aqqaf hai, Imam Ibn-e-munzir ( رحمه الله ) nay to is par ijmaa naqal kiya hai.

Is kay ilawah Nabi ﷺ kay muta’allaq bhi marwi hai keh ap nay aisay kanwen say wuzoo kiya jis ka pani mehendi rang kay mushabah tha.

Ain mumkin hai keh ap nay us say is liye wuzoo kiya ho keh us ka taghayyur najaasat ki wajah say nahi tha.(2)



(2) [( Al-mughni li-ibn-e-qudamah 1 / 24.)]

 

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents