Search
Sections
< All Topics
Print

(5) JIS PANI MEIN BILLI MUNH DAAL JAYE USKA HUKAM.

(5) JIS PANI MEIN BILLI MUNH DAAL JAYE USKA HUKAM.

 

Aisay pani say wuzoo karna mabah-o-dorust hai, Jaisa keh mandarjah zail dalaail is par shahid hain:

(1) Sayyidah kabshah ( رضی اللہ عنھا ) say marwi hai keh Sayyiduna Abu Qatadah ( رضی الله عنه ) un kay pas tashreef laaye to unhon nay Sayyiduna Abu Qatadah ( رضي الله عنه ) kay liye wuzoo ka pani dala, Achanak aik billi aayi aur us bartan say peenay lagi, Us par Sayyiduna Abu Qatadah ( رضي الله عنه ) nay mazeed us bartan ko billi kay liye taidha kar diya hatta keh billi nay us say pee liya, 

Sayyidah Kabshah ( رضي الله عنها ) kahti hain keh Sayyiduna Abu Qatadah ( رضي الله عنه ) nay mujhay us waqat dekh liya jab mein unhain dekh rahi thi, to unhon nay kaha ” Aye bhatiji ! Kiya tum ta’ajjub karti ho ? 

Mein nay kaha haan.

Phir unhon nay kaha keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya hai

 

” انھا لیست بنجس انھا من الطوافین علیکم “

 

” Yeh najas-o-paleed nahi hai, Yeh tum par phirnay wali hai ” (1). 

 

(3) Sayyidah ayesha ( رضی الله عنھا ) say marwi hai keh

 

” وقد رأيت رسول الله ﷺ يتوضأ بفضلها “

 

” be’shak mein nay allah kay Nabi ﷺ ko dekha  keh ap ﷺ us kay ( yaani billi kay ) bachay huway pani say wuzoo kar letay thay “.(2)

 

( IMAM SHAFIE, IMAM AHMAD AUR IMAM MALIK ( رحمھم الله )

 

” Billi ka jhuta pani paak hai “

Imam Lais, Imam Sauri, Imam Auzayi, Imam Is’haque, Imam Abu saur, Imam Ubaid, Imam Alqamah, Imam Ibrahim, Imam Ataa, Imam Hasan, Imam Ibn-e-abdul barr  aur Imam Abu Yousuf ( رحمھم الله ) ka bhi yeh hi mo’aqqaf hai.

 

( IMAM ABU HANIFAH ( رحمه الله )

 

” Billi ka jhuta darinday kay jhutay ki tarah najas hai lekin is mein kuch takhfeef ki gayi hai aur woh yeh hai keh billi ka bacha huwa karaahat kay sath paak hai “(3).

In ki daleel yeh hadith hai

” السنور سبع “

” Billi darindah hai ” (4).

 

Is ka jawab youn diya gaya hai:

(1) Guzishtah sahih hadith say is ki takhsees ho jati hai.

(2) Darindagi najaasat ko mustalzam nahi yaani yeh zaruri nahi keh jo darindah ho woh najas bhi ho.(5)

 

RAAJIH MO’AQQAF: aimmah salasah ka mo’aqqaf barhaq hai.(6)

 

(6) AIK MAN GHADAT RIWAAYAT.

 

Jis riwaayat mein mazkoor hai keh

” حب الھرة من الایمان “

” Biili say mohabbat karna eimaan say hai “

Woh mauzoo-o-man ghadat hai.(7)



(1) HASAN: 

[( Sahih Abu Daud hadith no: 68, Kitab-ut-taharah, Baab suir-il-hirrah.)

( Sunan-e-abi daud hadith no: 85.); ( Sunan-e-tirmazi hadith no: 92.); ( Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 367.)

( Sunan-e-nasaayi 1 / 55.); ( Mo’atta imam malik 1 / 23.); ( Musnad-e-Shaafie hadith no: 39.); ( Musnad-e-Ahmad  5 / 303.)

( Sahih ibn-e-khuzaimah hadith no: 104.); ( Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 70.); ( Al-mustadrak-e-hakim 1 / 160.)

( Sunan-ul-kubra li-al-baihaqui 1 / 240.); ( Musannaf abdul razzaaue hadith no: 353.); ( Musannaf ibn-e-abi shaiba 1 / 31.)

( Sharah-us-sunnah 1 / 376.); ( Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 18.); ( Mushkil-ul-asaar 3 / 270.)]



(2) SAHIH: Sahih Abu daud, hadith no: 69, Kitab-ut-taharah, Baab suir-ul-hirrah.

Sunan-e-abi daud, hadith no: 76.; Tabraani Ausat  1 / 36.; Sunan-e-Daaro Qutani  1 / 70.; Mushkil-ul-asasr 3 / 270.

Sunan-ul-kubra  al-baihaqui  1 / 246.


(3) Al-majmoo 1 / 224.; Al-mabsoot 1 / 38.


(4) Musnad-e-ahmad 2 / 327.; Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 63.; Mustadrak Hakim 1 / 183.


(5) Nail-ul-autaar 1 / 79.


(6) Tohfat-ul-ahwazi 1 / 326.


(7) Tohfat-ul-ahwazi 1 / 327.; Mirqaat-ul-mafateeh 2 / 188.; Kashf-ul-khifaa 1 / 415.

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents