Search
(8) AISAY PANI KA HUKAM JIS MEIN HASHARAAT AUR KEEDAY MAKAUDAY GIR JAYEN
(8) AISAY PANI KA HUKAM JIS MEIN HASHARAAT AUR KEEDAY MAKAUDAY GIR JAYEN
Makkhi, Bichhoo ya Khanfas ( Gabraila ) waghairah jaisay jaanwar keh jin ka khoon bahnay wala nahi hota, Agar pani mein mar jayen to pani ko najas nahi kartay.
Imam Ibn-e-munzir bayaan kartay hain keh mujhay is mas’alay mein kisi ikhtelaf ka ilam nahi ba,juz iman shafie kay 2 aqwal mein say aik kay, woh yeh hai keh qaleel pani najas ho jata hai, Aur dusra qaul yeh hai keh najas nahi hota, Aur yeh hi baat ziyadah sahih-o-dorust hai. (1)
(1) Al-mughni 1 / 59.; Badaai-us-sanaai 1 / 26.; Al-mabsoot 1 / 51.; Al-mohalla 1 / 147.; Al-ifsaah 1 / 73. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.