Search
Sections
< All Topics
Print

(00). NAJAASATON KAY AHKAAM.

NAJAASATON KAY AHKAAM.

 

 


[[[[ وَالنَّجَاسَاتُ هِيَ غَائِطُ الۡاِنۡسَانِ وَ بَوۡلُهٗ ]]]]


” Aur Najaasaten yeh hain: Mutlaq taur par insaan ka pishaab-o-pa’khana “={ 1 }.


 

{ 1 }=LUGHAWI WAZAAHAT:  Yeh lafaz najaasat ki jama hai, Jis ka ma’aana paleedgi-o-gandgi hai.

Baab: نَجَسَ ( نَصَرَ ), تَنَجَّسَ ( تَفَعَّلَ ) ” Na’paak hona ” Aur Baab: نَجَّسَ ( تَفۡعِيۡل ) اَنۡجَسَ ( إِفۡعَالٌ ) ” Napaak karna ” kay maanay mein mustaamal hai (1).

 

ISTELAHI TAAREEF: Har aisi cheez najaasat hai jisay umdah tabi’aton kay hamil afraad bura girdantay hain aur us say hatta-al-wus’a ijtenaab ki koshish kartay hain, Aur agar kapdon ko lag jaye to unhain dhotay hain, Aur har woh cheez jo paak nahi hoti masalan: pa’khana-o-pishaab waghairah (2).

 

BARAAT-E-ASLIYAH ( Yani har nafa bakhsh cheez mein asal ibaahat hai, Har zarar rasaan cheez mein asal hurmat hai ) Aur taharat ki mazbooti ko apnanay ka haqq yeh hai keh jo shakhs kisi bhi cheez kay najas honay ka gumaan karay us say daleel talab ki jaye.

Agar to woh usay qaaim kar day jaisa keh insaan kay pishaab-o-pa’khana aur gaubar waghairah mein hai to theek, Warna agar woh us say aajiz ho ya koi aisi daleel paish karay jo qabil-e-ihtejaaj na ho to hum par waajib hai keh asal aur baraat kay muqtaza ( ibaahat-o-tahaarat ) par hi tawaqquf karen.(3)

 

{ 2 }=(1) Is par ummat ka ijmaa hai (4).

 

(2) Sayyiduna Abu Hurairah ( رضی الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya 

 

” إذا وطئ احدكم بنعله الأذی فإن التراب له طهور “

 

” Jab tum mein say koi shakhs chaltay huway apni juti ko gandagi laga day to matti usay paak kar deti hai “

 

Aik riwaayat mein yeh alfaaz marfu’an marwi hain

 

” إذا وطئ الأذی بخفیه فطھورھما التراب “

 

” Jab koi apnay mauzon ko gandagi laga day to paak karnay wali matti hai “(5).

 

(3) Nabi ﷺ kareem nay masjid mein pishaab karnay walay dehaati kay pishaab par paani ka daul bahanay ka hukam diya (6).

Is hadith say yeh saabit huwa keh insaan ka pishaab najas hai, Aur yeh muttafaq alaihi mas’alah hai.(7)



(1) Al-qamoos-ul-muheet  page no: 519.

Al-moujam-ul-waseet  page no: 903.

Al-sihaah 3 / 981.

Moujam maqaayis-ul-lughah 5 / 393.


(2) Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 69.

Al-hudood page no: 22.

Al-misbaah-ul-muneer 2 / 916.


(3) Al-sail-ul-jaraar 1 / 31.


(4) Bidaayat-ul-mujtahid  1 / 73.

Al-mughni 1 / 52.

Fat’h-ul-qadeer 1 / 135.

Kashaaf-ul-qanaa 1 / 213.

Mughni-ul-mohtaaj 1 / 77.

Al-lubaab 1 / 55.

Al-sharah-us-sagheer 1 / 49. 


(5) SAHIH: Sahi abu daud hadith no: 371, 372,

Kitab-ut-taharah, Baab-ul-azaa yuseeb-un-naala.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 2 / 430.

Sahih Ibn-e-habbaan ( al-mawaarid ) page no: 85.

Mustadrak-e-hakim  1 / 166.

Sahih Ibn-e-khuzaimah 1 / 148.

Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 511.

Sunan-e-abi daud hadith no: 385, 386.


(6) Sahih-ul-bukhari hadith no: 221,

Kitab-ul-wuzoo, Baab sabb-ul-maai ala-al-bauli fi-al-masjid.

Sahih-ul-muslim hadith no: 284.

Sunan-e-tirmazi hadith no: 148.

Sunan-e-nasaayi  1 / 175.

Sunan-e-Ibn-e-majah hadith no: 528.

Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 13.

Musnad-e-abi awaanah 1 / 213.

Musannaf-e-abdul razzaque hadith no: 1660.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui  2 / 327.

Musnad-e-ahmad 3 / 110

Sunan-e-Daarimi 1 / 189.


(7) Nail-ul-autaar 1 / 88.

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents