Search
Sections
< All Topics
Print

(00). Bachay ka pishaab


[[[[ إِلَّاالذَّكَرَالرَّضَیۡعَ ]]]]


” Magar doodh peetay bachay ka pishaab ( najas nahi ) “{ 1 }


{ 1 } Jaisa keh dalaail hasb-e-zail hain:

 

(1) Sayyiduna Abu-us-samah ( رضی الله عنه )  say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya 

” یغسل من بول الجاریة و یرش من بول الغلام “

” Ladki kay pishaab say aludah kapda dhauya jaye ga, Aur ladkay kay pishaab say aludah kapday par pani kay chhintay maray jayen gay ” (1)

 

(2) Is ma’aana mein Sayyiduna Ali ( رضی الله عنه ) say bhi marfu riwaayat marwi hai 

” بول الغلام الرضیع ینضح و بول الجاریة یغسل ” (2).

 

(3) Sayyidah Umm-e-qais bint-e-mihsan ( رضی الله عنھا )  say marwi hai keh woh apnay chhautay bachay ko lekar ( jo keh abhi khana nahi khata tha ) Rasoolullah ﷺ  kay paas aayin. 

Us bachay nay ap ﷺ kay kapday par pishaab kar diya to ap ﷺ nay pani mangwaya 

” فنضحه ولم یغسله ” 

” Us kapday par pani kay chhintay maray aur usay dhauya nahi “(3).

 

(4) Sayyidah Umm-e-fazal ( رضی الله عنھا ) say marwi hadith mein hai keh Sayyiduna Hasan (رضی الله عنه) nay Nabi ﷺ ki gaud mein pishaab kar diya to ap ﷺ nay usay dhauya nahi ( balakeh chhintay marnay par hi iktefaa kiya ).(4)

 

(5) Sayyidah Ayesha ( رضی الله عنھا ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ kay paas aik bacha laya gaya, Us nay ap ﷺ par pishaab kar diya to ap ﷺ nay pani mangwa kar us par phaink diya ” ولم یغسله ” aur usay dhauya nahi.(5). 

 

Is mas’alay mein ulama nay 3 mazaahib ikhtiyaar kiye hain.

 

(1) ( MULLA ALI QARI, IMAM AHMAD, IS’HAQUE RAHWAY AUR IMAM ZOHRI ( رحمھم الله )

In ka mo’aqqaf hadith kay zahiri maf’hoom kay mutabiq hi hai. 

Sayyidah Umm-e-salamah, Imam Sauri, Imam Nakhie, Imam Daud, Imam Ataa, imam Ibn-e-wahab, Imam Hasan aur Imam Malik ( رحمھم الله ) say aik riwaayat mein yeh hi mazhab manqool hai.(6)

 

(2) IMAM AUZAYI ( رحمه الله )

Ladka aur ladki donon kay pishaab mein sirf chhintay marna hi kafi hai, 

Imam Malik aur Imam Shafie ( رحمھما الله ) say bhi issi tarah ki aik riwaayat manqool hai.(7)

 

(3) HANAFIYAH-O-MALIKIYAH

Donon kay pishaab ko dhauna zaruri hai.(8).

 

( RAAJIH ) 

Pahla mo’aqqaf raajih hai.

Teesray mazhab walon nay un ahadith say istedlaal kiya hai jin mein bil’umoom pishaab kay najas honay ka zikar hai, Halankeh “Mutlaq” ko “Muqayyad” par mahmool karna waajib hai, Aur issi tarah “Aam” ko “Khaas” par mahmool karna bhi waajib hai.

Is kay ilawah ladki kay pishaab ko ladkay kay pishaab par Qiyaas karna bhi faasid hai, Kiyonkeh yeh waazih nass kay khilaaf hai, Mazeed yeh keh guzishtah sareeh ahadith aakhiri donon mazahib ko rad karti hain.(9)

 

(4) ( IBN-E-HAZAM ( رحمه الله )

Apnay is qaul mein munfarid hain keh ” muzakkar khawah koi bhi ho ( yaani agarchah jawan bhi ho ) us kay pishaab par sirf chhintay hi mary jayen gay.

( Halankeh hadith mein sirf doodh pinay walay bachay ka hi zikar hai ).(10)

 

(9) MAAKOOL-UL-LAHAM JANWARON KA PISHAAB PAAK HAI.

Agarcheh raajih baat yeh hi hai, Lekin is mas’alay  mein ulama ka ikhtelaaf baharhaal maujood hai.

 

( MALIKIYAH-O-HANABILAH )

Maakool-ul-laham janwaron ka pishaab paak hai, 

Imam Nakhie, Imam Auzayi, Imam Zohari, Imam Muhammad, Imam Zofar, Imam Ibn-e-khuzaimah, Imam Ibn-e-munzir Aur Imam Ibn-e-habbaan ( رحمھم الله )ka bhi yeh hi mo’aqqaf hai.(11)

 

In kay dalaail hasb-e-zail hain:

 

(1) Nabi ﷺ nay arniyeen ko unton ka doodh aur pishaab ( ba’taur-e-dawa kay ) peenay ka hukam diya.(12)

 

(1) SAHIH: Sahih abu hadith no: 362,

Kitab-ut-taharah, Baab baul-us-sabiyi yuseeb-us-sauba.

Sunan-e-abi daud hadith no: 376.

Sunan-e-nasaayi 1 / 158.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 566.

Sahih ibn-e-khuzaimah hadith no: 283.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 2 / 415.

Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 130.

Mustadrak-e-hakim 1 / 166.

 

(2) SAHIH: Sahih abu hadith no: 364,

Kitab-ut-taharah, Baab baul-us-sabiyi yuseeb-us-sauba.

Sunan-e-abi daud hadith no: 378.

Sunan-e-tirmazi hadith no: 610.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 525.

Musnad-e-ahmad 1 / 76.

Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 92.

Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 129.

Mustadrak-e-hakim 1 / 160.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 2 / 415.

Sahih ibn-e-khuzaimah hadith no: 284.

Sahih ibn-e-habbaan hadith no: 247.

 

(3) Sahih-ul-bukhari hadith no: 223,

Kitab-ul-wuzoo, Baab baul-us-sibiyan.

Sahih-ul-muslim hadith no: 287.

Musnad-e-ahmad 6 / 355.

Sunan-e-abi daud hadith no: 374.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 524.

Sunan-e-tirmazi hadith no: 71.

Sunan-e-nasaayi 1 / 157.

Musnad-e-humaidi  hadith no: 343.

Al-muntaqa li-ibn-ul-jarood hadith no: 139.

Musnad-e-abi awaanah 1 / 202.

Sahih ibn-e-khuzaimah 1 / 144.

Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 92.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 2 / 414.

Sharah-us-sunnah 1 / 384.

 

(4) SAHIH: Sahih abu hadith no: 361,

Kitab-ut-taharah, Baab baul-us-sabiyi yuseeb-us-sauba.

Sunan-e-abi daud hadith no: 375.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 522.

Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 92.

Mustadrak-e-hakim 1 / 166.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 2 / 414.

Sahih ibn-e-khuzaimah hadith no: 282.

Sharah-us-sunnah 1 / 385.

Tabrani kabeer 3 / 5.

 

(5) Sahih-ul-muslim hadith no: 286,

Kitab-ut-taharah, Baab hukmo bauli-at-tifli-ar-razee wa kaifiyati ghaslihi.

Sahih-ul-bukhari hadith 222.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 523.

Musnad-e-ahmad 6 / 52.

 

(6) Sharah zurqani alaa “Mo’atta” 1 / 129.

Al-kaafi 1 / 91.

Qawaneen-ul-ahkaam-as-shara’eiyah page no: 47.

Mughni-ul-mohtaaj 1 / 84/.

Kashf-ul-qanaa 1 / 217.

Al-mohazzab 1 / 49.

 

(7) Al-majmoo  2 / 548.

Mughni-ul-mohtaaj 1 / 84.

Sharah zurqani alaa “Mo’atta” 1 / 129.

 

(8) Rauzat-ut-taalibeen 1 / 141.

Sharah-ul-mohazzab 2 / 609.

Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 77.

Fat’h-ul-qadeer 1 / 140.

Al-durr-ul-mukhtaar 1 / 293.

 

(9) Nail-ul-autaar 1 / 96.

Talkhees-ul-habeer 1 / 37.

Fat’h-ul-baari 1 / 390.

Aun-ul-mabood 2 / 33.

Qufw-ul-asar 1 / 62.

Al-fiqah-ul-islami wa adillatuhu 1 / 311.

Subul-us-salaam  1 / 69.

 

(10) Nail-ul-autaar  1 / 95.

Al-rauzat-un-nadiyah  1 / 76.

 

(11) Al-mughni 2 / 490.

Al-qawaneen-ul-fiqahiyah, page no: 32.

Kashf-ul-qanaa 1 / 220.

Al-sharah-us-sagheer 1 / 47.

 

(12) Sahih-ul-bukhari hadith no: 333,

Kitab-ul-wuzoo, Baab abwaal-ul-ibili wa-al-dawaabi wa-al-ghanam.

Sahih-ul-muslim hadith no: 1671.

Sunan-e-nasaayi 1 / 160.

Sunan-e-tirmazi hadith no: 72.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 2578.

Musannaf Ibn-e-abi shaibah 7 / 75.

Musnad-e-ahmad 3 / 107.

Sahih Ibn-e-habbaan hadith no: 1386.

Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 131.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 10 / 4.

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.
Table of Contents