(10A). ” Gobar {1} aur Haiz ka khoon { 2 } ( najas hain )”
[[[[ وَ رَوۡثٌ وَ دَمُ حَيۡضٍ ]]]]
” Gaubar {1} aur haiz ka khoon { 2 } ( najas hain )”
{ 1 } Jaisa keh Sayyiduna Ibn-e-Masood ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ qaza-e-hajat kay liye chalay to mujhay hukam diya keh main un kay liye 3 pathar lekar aaun,
Mujhay 2 pathar milay teesra na mil saka to main majbooran gaubar ka aik tukda lekar aya.
Ap ﷺ nay donon pathar lay liye aur gaubar kay tukday ko phaink kar farmaya
” انھا رکس “
” Yeh to ba’zaat-e-khud najas-o-paleed hai “(1).
( HANABILAH-O-MALIKIYAH )
Janwaron ka gaubar aur pishaab un kay gausht kay taabe’i hai,
Yaani jin ka gausht khaya jata hai unka pishaab-o-gaubar paak hai,
Aur jin ka gausht nahi khaya jata unka pishaab-o-gaubar najas hai.
Inhon nay hadith-e-arniyeen aur bakriyon kay baadon mein namaz ki ijaazat wali hadith say istedlaal kiya hay,
Aur tamam maakool-ul-laham janwaron ko unton aur bakriyon par qiyas kiya hai (2).
( SHAFI’EIYAH-O-HANAFIYAH )
Har janwar ka gaubar aur pishaab mutlaq taur par najas hai, khawah woh janwar maakool-ul-laham ho ya ghair maakool-ul-laham.
Inhon nay guzishtah hadith ” انھا رکس ” aur unton kay baadon mein namaz ki mamaani’at wali hadith say stedlaal kiya hay, Aur janwaron kay gaubar-o-pishaab ko insaan kay baul-o-baraaz par qiyas kiya hai (3).
( RAAJIH )
Guzishtah sahih hadith say sirf gaubar ki hi najaasat saabit hoti hay, Uskay ilawah asal tahaarat-o-ibaahat hai, Jab tak keh kisi cheez ki najaasat nass-e-sharayi say na saabit ho jaye.
(IMAM SHAUKANI ( رحمه الله ) issi kay qaail hain.(4)
{ 2 } (1) Sayyidah Asma bint-e-abi bakar ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh Nabi ﷺ nay kapday ko lag janay walay haiz kay khoon kay muta’allaq farmaya :
” تحته ثم تقرصه بالماء ثم تنضحه ثم تصلی فیه “
” Pahlay usay khurach lo phir paani kay sath mal kar dho lo phir us mein paani bahaa kar us mein namaz padh lo “(5)
(2) Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Sayyidah Khaulah bint-e-yassaar ( رضي الله عنها )nay arz kiya
Aye Allah kay Rasoolul ﷺ ! Meray paas aik hi kapda hai aur main us mein haaizah ho jati hon, To ap ﷺ nay farmaya :
” فاذا طھرت فاغسلی موضع الدم ثم صلی “
” Jab tu paak ho jaye to khoon ki jagah ko dho lay phir us mein namaz padh lay,
To unhon nay dariyaaft kiya keh Aye Allah kay Rasool ﷺ !
Khwah us ka nishaan khatam na ho ?
To ap nay farmaya :
” انما یکفیک الماء ولا یضرک اثرہ “
” Tumhain sirf pani hi kaafi ho jaye ga us ka nishaan tumhain kuch nuqsaan nahi day ga ” (6).
(3) Sayyidah Umm-e-Qais bint-e-Mihsan ( رضي الله عنها ) say marwi hay keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” حكيه بضلع و إغسليه بماء و سدر “
” Usay kisi tedhi lakdi kay sath khurcho phir usay pani aur Barry kay patton kay sath dho daalo ” (7)
Mazkoorah ahadith mein maujood haiz kay khoon ko dhonay aur khurachnay ka hukam us kay najas-o-paleed honay ki waazih daleel hai (8).
(1) Sahih-ul-bukhari hadith no: 152, Kitab-ul-wuzoo, Baab laa yustanjaa bi’rausin. Sunan-e-tirmazi hadith no: 18. Sunan-e-nasaayi hadith no: 42. Sunan-e-baihaqui 1 / 102. Musnad-e-abi awanah 1 / 195. Sahih Ibn-e-hibbaan hadith no: 1442. Sahih Ibn-e-khuzaimah hadith no: 85, 86. Sunan-e-Daarimi 1 / 138. Musnad-e-ahmad 2 / 250. Sunan-e-Ibn-e-majah hadith no: 313. Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 123. (2) Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 77. Qawaneen-ul-ahkaam-is-shara’eiyah page no: 48. Kashaaf-ul-qanaa 1 / 220. (3) Al-mughni 2 / 490. Al-mabsoot 1 / 54. Al-hidayah 1 / 36. Al-mohazzab 2 / 567. (4) Al-sail-ul-jaraar 1 / 31. Nail-ul-autaar 1 / 100. (5) Sahih-ul-bukhari hadith no: 307, Kitab-ul-haiz, Baab ghasl-e-dam-il-haiz. Sahih-ul-muslim hadith no: 291. Musannaf Ibn-e-abi shaibah 1 / 95. Mo’atta 1 / 60. Sunan-e-abi daud hadith no: 360. Sunan-e-tirmazi hadith no: 138. Sunan-e-nasaayi 1 / 155. Sunan-e-Ibn-e-majah hadith no: 629. Sunan-e-Daarimi 1 / 139. Sahih Ibn-e-khuzaimah hadith no: 275. Sunan-e-baihaqui 1 / 13. Sahih Ibn-e-hibbaan hadith no: 1383. Musnad-e-abi awanah 1 / 206. (6) SAHIH: Irwaa-ul-ghaleel 1 / 190. Sunan-e-abi daud Hadith no: 365, Kitab-ut-taharah, Baab-ul-mar’ati taghsilo saubaha. Sunan-ul-kubra baihaqui 2 / 408. Musnad-e-Ahmad 2 / 360. (7) SAHIH: Sahih Abu Daud Hadith no: 349. Sunan-e-Abi Daud Hadith no: 363. Sunan-e-Nasayi 1 / 154. Musnad-e-Ahmad 2 / 355. Sunan-e-Ibn-e-Majah Hadith no: 628. Sahih Ibn-e-Khuzaimah 1 / 141. (8) Al-sail-ul-jaraar 1 / 45. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.