(12) MURDAH INSAAN KAY TAHIR YA NAJAS HONAY MEIN IKHTELAAF HAI
(12) MURDAH INSAAN KAY TAHIR YA NAJAS HONAY MEIN IKHTELAAF HAI.
( AHNAAF ):
Inhon nay baaz sahabah masalan: Sayyiduna Ibn-e-Abbas, Sayyiduna Ibn-e-Zubair ( رحمهما الله ) waghairah kay fatawa par amal kartay huway murdah insaan ko najas qaraar diya hai.
( JAMHOOR ):
Murdah insaan paak hai, Kiyonkeh Allah kay Rasool ﷺ nay farmaya:
” إن المسلم لا ينجس”
” Musalman najas nahi hota ” (1)
( RAAJIH ):
Murdah insaan najas nahi hota, Kiyonkeh hadith mein hai:
” إن المسلم لا ينجس حيا ولا ميتا “
” Musalman na to zindah haalat mein najas hota hai aur na hi murdah haalat mein.(2)
Aur jin dalaail say murdaar ka najas hona saabit kiya jata hai un say ziyadah say ziyadah siraf murdaar khanay ki hurmat saabit hoti hai,
Masalan: ” حرمت عليكم الميتة ” ( المائده : ٣١ )
Aur yeh zaruri nahi keh jo cheez haram haj woh najas-o-paleed bhi ho,
Jaisa keh Irshad-e-baari ta’ala hai:
” حرمت عليكم امهاتكم ” ( النساء: ٢٣ )
” Tumhari maayen tum par haram kar di gayi hain.(3)
(1) Fat’h-ul-qadeer 1 / 72. Al-sharah-us-sagheer 1 / 44. Mughni-ul-mohtaj 1 / 78. Kashaaf-ul-qanaa 1 / 222. Al-mohazzab 1 / 47.
(2) Sahih-ul-bukhari ma’a-al-fat’h 3 / 127. Al-mughni li-ibn-e-qudamah 1 / 63.
(3) Al-sail-ul-jaraar 1 / 40. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.