(14). MAZI AUR WADI KA HUKAM
(14) MAZI AUR WADI KA HUKAM
In donon kay najas honay par ijmaa hai.(1)
Sayyiduna Sahal Ibn-e-Hunaif ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh mujhay bohot ziyadah Mazi anay ki wajah say aksar ghusal karna padta tha,
Menay Rasoolullah ﷺ say is ka zikar kartay huway us kay muta’allaq sawal kiya to ap ﷺ nay farmaya
” Tumhain to siraf wuzoo hi kaafi hai “
Phir menay kaha aye Allah kay Rasool ﷺ ! Meray kapday ko jahan Mazi lag gayi ho uska kiya karon ?
Ap ﷺ nay farmaya:
” يكفيك أن تأخذ كفا من ماء فتنضح به ثوبك حيث ترى أنه قد أصاب منه “
” Tumhain itna hi kaafi hai keh paani ka aik chullu lekar apnay kapday par us jagah baha do jahan tum Mazi ko laga huwa dekhtay ho “ (2)
Sahihain mein Sayyiduna Ali ( رضي الله عنه ) say bhi issi maanah mein hadith marwi hai, Aur us mein yeh alfaz hain :
” فيه الوضوء”
” Is mein wuzoo hai “
Aur Sahih-ul-Muslim hai :
” يغسل ذكره و يتوضأ “
” Woh apnay zakar ko dhotay aur wuzoo kar letay ” (3)
( Mazi ) Aisa raqeeq paani hai jo kamzaur shahwat kay waqat, Ya apni biwi say kheltay waqat ya is kay misal koi kaam mein bi’ghair uchhalnay kay kharij ho.
( Wadi ) Aisa sufaid gadla bi’ghair boo kay paani jo pishaab kay baad kharij ho.(4)
(1) Al-majmoo 2 / 552. Nail-ul-Autaar 1 / 103. Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 73. Al-lubaab 1 / 55. Fat’h-ul-qadeer 1 / 135. (2) HASAN: Sahih Abu Daud hadith no: 199, Kitab-ut-taharah, Baab fi-al-mazi. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 210. Musnad-e-Ahmad 3 / 485. Sunan-e-Daarimi 2 / 184. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 115. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 506. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 291. (3) Sahih-ul-bukhari hadith no: 178, Kitab-ul-wuzoo, Baab man lam yara-al-wuzoo’a…! Sahih-ul-Muslim hadith no: 303. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 206. Sunan-e-Nasaayi 1 / 111. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 504. Mo’atta Imam Malik 1 / 40. Musnad-e-Ahmad 1 / 129. Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 1 / 115. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 18_19. Musnad-e-Abi Yaala hadith no: 314. Sahih Ibn-e-Hibban hadith no: 1087. (4) Tohfat-ul-ahwazi 1 / 388. Fat’h-ul-Baari 1 / 451. Sharah-ul-Muslim lin-nawawi 2 / 216. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.