(18) QAYE KAY NAJAS HONAY PAR IJMAA KA DAWA BAATIL HAI
(18) QAYE KAY NAJAS HONAY PAR IJMAA KA DAWA BAATIL HAI
( Ibn-e-Hazam ( رحمه الله ) Musalman ki Qaye paak hai.(1)
” Al-durar-ul-bahiyah ” mein Imam Shaukani ( رحمه الله ), Aur uski sharah ” Al-rauzat-un-nadiyah ” mein Nawab Siddique Hasan Khan ( رحمه الله ) ka bhi yeh hi mo’aqqaf maloom hota hai,
Kiyonkeh unhon nay najaasaton kay bayan mein is ka zikar nahi kiya hai.
( Albani ( رحمه الله ) Yeh hi baat bar haq hai.(2)
( Shaukani ( رحمه الله ) Unhon nay is usool ” والأصل ألطهارة فلا ينقل عنها إلا ناقل صحيح لم يعارضه ما يساويه أو ما يقدم عليه ” kay tahat Qaye ko najas kahnay walon ka radd kiya hai.(3)
Aur Sayyiduna Ammaar ( رضي الله عنه ) say marwi jis riwayaat mein yeh zikar hai keh ” Hum Pa’khanay, Pishaab, Mazi, Mani, Khoon aur Qaye say kapday ko dhoya kartay thay ” woh za’eef hai,
Jaisa keh Imam Daaro Qutani, Imam Uqaili, Imam Bazzar, Imam Ibn-e-Adi aur Imam Abu No’aim waghairah ( رحمهم الله ) nay za’eef kaha hai.(4)
Neez Abu-al-qasim lalkani ( رحمه الله ) nay is hadith ko chhaud denay par ijmaa ka dawa kiya hai.(5)
(1) Al-mohalla 1 / 183. (2) Tamam-ul-minnah page no: 53. (3) Al-sail-ul-jaraar 1 / 154. (4) Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 127. Al-zu’afaa lil-uqaili 1 / 176. Al-kaamil li-ibn-e-Adi 2 / 98. Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 1 / 14. (5) Nail-ul-Autaar 1 / 105. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.