(24) MURDAAR KA CHAMDA KHANA BIL’ITTEFAQ HARAM HAI
MURDAAR KA CHAMDA KHANA BIL’ITTEFAQ HARAM HAI
Jaisa keh Rasoolullah ﷺ say murdaar kay chamday kay muta’allaq dariyafat kiya gaya to ap nay farmaya keh Allah ta’ala nay irshad farmaya hai:
قُل لَّآ أَجِدُ فِي مَآ أُوحِيَ إِلَيَّ مُحَرَّمًا عَلَىٰ طَاعِمٖ يَطۡعَمُهُۥٓ إِلَّآ أَن يَكُونَ مَيۡتَةً
[ Surah Al-an’aam, Ayah 145 ]
Phir ap nay farmaya :
” وأنتم لا تطعمونه أن تدبغوه فتنتفعوا به “
” Aur tum usay kha nahi saktay ho, Albattah usay rangnay kay baad us say faaidah hasil kar saktay ho “(1)
Aik aur hadith-e-nabawi mein hai keh:
” إنما حرم من الميتة أكلها “
” Murdaar ko siraf khana hi haram hai “(2).
(1) Musnad-e-Ahmad 1 / 327. Musnad-Abi Yaala hadith no: 2334. Sahih Ibn-e-Hibban hadith no: 1281. Tabrani Kabeer hadith no: 11765. Sunan-ul-kubra Baihaqui 1 / 18. Imam Ibn-e-Mulaqqan nay is hadith ki sanad ko sahih qaraar diya hai, Al-badr-ul-muneer 2 / 385. (2) Mo’atta 2 / 498. Sahih-ul-Bukhari hadith no: 1492, Kitab-uz-zakaat. Sahih-ul-Muslim hadith no: 363. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 4121. Sunan-e-Nasaayi 7 / 172. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 3610. Sunan Daaro Qutani 1 / 41. Mushkil-ul-asaar 1 / 497. Musnad-Abi Awanah 1 / 211. Sharah Ma’aani-ul-asaar 1 / 469. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.