(25) AISAY GHEE KO PAAK KARNAY KA TARIQAH JIS MEIN CHOOHA GIR GAYA HO
(25) AISAY GHEE KO PAAK KARNAY KA TARIQAH JIS MEIN CHOOHA GIR GAYA HO
Sayyidah Maimonah ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ say aisay ghee kay muta’allaq mein sawal kiya gaya jis mein choohiya gir gayi ho to ap ﷺ nay farmaya:
” القوها وما حولها “
” Choohiya ko aur us kay ird gird jagah say ghee ko phaink do aur usay ( baqiyah ghee ) ko kha lo ” (1).
Is hadith say maloom huwa keh jis ghee mein choohiya gir jaye usay paak karnay kay liye us choohiya aur us kay ird gird hissay kay ghee ko phaink diya jaye to ghee paak ho jaye ga.
Yaad rahay keh is ghee say murad jamid ghee hai, Aur agar ghee mayi ho to mukammal najas ho jaye ga,
Jaisa keh Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” Jab ghee mein choohiya gir jaye to
فإن كان جامدا فألقوها و ما حولها و إن كان مائعا فلا تقربوه “
” Agar ghee jamid ho to choohiya aur us kay ird gird hissay kay ghee ko phaink do aur agar mayi ho to us kay qareeb bhi mat jaao ” (2).
Imam Bukhari aur Imam Abu Hatim ( رحمهم الله ) nay is hadith par waham ka hukam lagaya hai,
( Yaani yeh hadith Musnad-e-Maimonah ( رضي الله عنها ) ki hai Musnad-e-Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) ki nahi ).(3)
Is ( hadith kay kamzaur honay) kay ba’wajood yeh hukam Sahih-ul-Bukhari ki hadith say hi saabit ho jata hai, Jaisa keh hadith mein maujood hai keh ” choohiya aur us kay ird gird hissay kay ghee ko phaink do ” ab ird gird hissay ko phainkna siraf ussi waqat ho sakta hai jab ghee jamid ho.(4)
Sharah-us-sunnah mein hai keh is hadith say yeh bhi saabit huwa keh paani kay ilawah deegar mayi ashiya mein agar najaasat gir jaye to woh najas ho jati hain, Khawah mayi kam ho ya ziyadah.(5)
Lekin hadith ” إن الماء طهور لاينجسه شيء ” say is ki tardeed hoti hai.
(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 5538, 5540, Kitab-uz-zabaaih was-said . Mo’atta 2/ 971. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 3841. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 1799. Sunan-e-Nasaayi 7 / 187. (2) SHAAZ: Silsilat-uz-za’eefah hadith no: 1532. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 3842. Kitab-ul-at’imah. Musnad-e-Ahmad 2 / 232. Sunan-ul-kubra Baihaqui 9 / 352. (3) Buloogh-ul-maraam hadith no: 600. (4) Fat’h-ul-baari 9 / 587. Subul-us-salaam 3 / 1050. (5) Sharah-us-sunnah 6 / 50. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.