Search
Sections
< All Topics
Print

(27) MUSHRIKEEN KAY BARTAN NAJAS NAHI

(27) MUSHRIKEEN KAY BARTAN NAJAS NAHI

Is kay dalaail hasb-e-zail hain:

(1) Allah kay Rasool ﷺ nay apnay sathiyon ko aik mushrikah aurat kay mashkeezay say paani peenay aur wuzoo karnay ka hukam diya.(1)

(2) Sayyiduna Jabir ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh hum Rasoolullah ﷺ kay sath mil kar jihad kartay aur mushrikeen kay bartan aur mashkeezay hamaray haath aatay to hum un say faaidah uthatay aur yeh amal sahabah par maayoob nahi hota tha.(2)

(3) Rasoolullah ﷺ nay mushrikeen kay bartanon mein un ka khana khaya.(3)

(4) Allah ta’ala nay Ahl-e-kitab ka khana halal qaraar diya hai. [ Al-maaidah_ayah no: 5 ]

Waazih rahay keh Sayyiduna Abu Saalabah ( رضي الله عنه ) say marwi jis hadith mein hai keh Rasoolullah ﷺ nay Ahl-e-kitab kay bartanon ko dhonay ka hukam diya tha woh is liye tha Kiyonkeh woh un mein Sharab peetay aur khinzeer ka gausht pakatay thay.(4)

(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 344,

Kitab-ut-tayammum.

Sahih-ul-Muslim hadith no: 682.

 

(2) SAHIH:

Irwaa-ul-ghaleel 1 / 76.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 3838,

Kitab-ul-at’imah.

 

(3) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 5777,

Kitab-ut-tibb.

Dalaail-un-nubuwwah lil-baihaqui 4 / 256.

 

(4) Sunan-e-Abi Daud, ma’a Aun-ul-maabood 10 / 314.

Sunan-e-Tirmazi ma’a Al-tohfah 5 / 515.

Mustadrak Hakim 1 / 144.

Nail-ul-autaar 1 / 127.

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents