Search
Sections
< All Topics
Print

(09) MAAKOOL-UL-LAHAM JANWARON KA PISHAAB PAAK HAI.

(9) MAAKOOL-UL-LAHAM JANWARON KA PISHAAB PAAK HAI.

 

Agarcheh raajih baat yeh hi hai, Lekin is mas’alay  mein ulama ka ikhtelaaf baharhaal maujood hai.

 

( MALIKIYAH-O-HANABILAH )

Maakool-ul-laham janwaron ka pishaab paak hai, 

Imam Nakhie, Imam Auzayi, Imam Zohari, Imam Muhammad, Imam Zofar, Imam Ibn-e-khuzaimah, Imam Ibn-e-munzir Aur Imam Ibn-e-habbaan ( رحمھم الله )ka bhi yeh hi mo’aqqaf hai.(1)

 

In kay dalaail hasb-e-zail hain:

 

(1) Nabi ﷺ nay arniyeen ko unton ka doodh aur pishaab ( ba’taur-e-dawa kay ) peenay ka hukam diya.(2)

 

(2) Nabi ﷺ nay bakriyon kay baadon mein namaz padhnay ki ijaazat di hai ( Halankeh wahan ki aksar jaga ka un kay pishaab-o-pa’khana say aludah hona lazmi amar hai ).(3)

 

(3) Haraam ashiya mein shifa nahi hai,

Jaisa keh Sayyiduna Ibn-e-mas’ood ( رضی الله عنه )  ka qaul hai keh:

” ان الله لم یجعل شفائکم فیما حرم علیکم “

” Be’shak allah ta’aala nay tumhari shifa un ashiya mein nahi rakhi jinhain tum par haraam kiya hai “(4)

Aur Sayyiduna Abu Hurairah ( رضی الله عنه ) say marwi hai keh

” نھی رسول الله ﷺ عن کل دواء خبیث “

” Allah kay Rasool ﷺ nay har khabees dawa kay iste’imaal say mana farmaya hai “ (5).

Arniyeen nay Nabi ﷺ kay hukam say unton ka pishaab ba’taur-e-dawa kay iste’imaal kiya aur unhain shifa huwi jo keh us ki hillat-o-taharat ka munh baulta suboot hai, Kiyonkeh haraam mein shifa nahi hai.

 

( SHAFI’EIYAH-O-HANAFIYAH )

Pishaab haiwaan ka ho ya insaan ka Mutlaq taur par najas-o-paleed hai (6).

 

( HAFIZ IBN-E-HAJAR ( رحمه الله ) 

Inhon nay jam’hoor say bhi yeh hi qaul naqal kiya hai (7).

 

In kay dalaail hasb-e-zail hain:

 

(1) Rasoolullah ﷺ nay farmaya in donon qabron mein azab ho raha hai…!

In mein say aik shakhs ko is liye azab ho raha hai keh

” فکان لا یستتر من البول “

” Woh pishaab kay chhinton say ijtenaab nahi karta tha “(7)

Is ka jawab youn diya gaya hai keh is hadith mein mazkoor pishaab say muraad sirf insaan ka pishaab hai, Na keh tamam haiwanaat ka bhi, 

Jaisa keh Imam Bukhari ( رحمه الله ) raqam taraaz hain heh ” Nabi ﷺ nay sahib-e-qabar kay muta’allaq farmaya tha keh woh apnay pishaab say nahi bachta tha ” Aur ap ﷺ nay insaanon kay pishaab kay ilawah kisi aur cheez ka zikar nahi kiya. (6)

 

( RAAJIH ) 

Hanabilah-o-malikiyah ka mo’aqqaf hai, Kiyonkeh har cheez mein asal taharat hai jab tak keh sharayi daleel kay zariyah kisi cheez ka najas hona saabit na ho jaye.(8)

 

(61) Al-mughni 2 / 490.

Al-qawaneen-ul-fiqahiyah, page no: 32.

Kashf-ul-qanaa 1 / 220.

Al-sharah-us-sagheer 1 / 47.

 

(2) Sahih-ul-bukhari hadith no: 333,

Kitab-ul-wuzoo, Baab abwaal-ul-ibili wa-al-dawaabi wa-al-ghanam.

Sahih-ul-muslim hadith no: 1671.

Sunan-e-nasaayi 1 / 160.

Sunan-e-tirmazi hadith no: 72.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 2578.

Musannaf Ibn-e-abi shaibah 7 / 75.

Musnad-e-ahmad 3 / 107.

Sahih Ibn-e-habbaan hadith no: 1386.

Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 131.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 10 / 4. 

(1) SAHIH: Sunan-e-tirmazi hadith no: 317,

Kitab-us-salaat, Baab maa jaa fi-as-salaat fi maraabiz-al-ghanam.

Sahih-ul-muslim hadith no: 817.

 

(3) Sahih-ul-bukhari, qabal az hadith: 5614,

Kitab-ul-ashriba, Baab sharab-ul-hulawa wa-al-asal.

 

(4) SAHIH: Sahih abu daud hadith no: 3278,

Kitab-ut-tibb, Baab-ul-adwiyat-ul-makroohah.

Sunan-e-abi daud hadith no: 3870.

Sunan-e-tirmazi hadith no: 2040.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 3459.

Musnad-e-ahmad 2 / 305.

 

(5) Fat’h-ul-qadeer 1 / 142.

Al-durr-ul-mukhtaar 1 / 295.

Maraqi-ul-falaah page no: 25.

Mughni-ul-mohtaaj 1 / 79.

Al-mabsoot 1 / 54.

Al-hidayah 1 / 36.

 

(6) Fat’h-ul-baari 1 / 291.

 

(7) Sahih-ul-bukhari hadith no: 216, 217,

Kitab-ul-wuzoo, Baab min-al-kabaair an laa yastatir min baulihi.

Sahih-ul-muslim hadith no: 292.

Sunan-e-abi daud hadith no: 20.

Sunan-e-tirmazi hadith no: 70.

Sunan-e-nasaayi 1 / 28.

Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 347.

Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 1 / 104.

Sahih Ibn-e-khuzaimah hadith no: 56.

Sahih Ibn-e-hibbaan hadith no: 3118.

Al-muntqali-ibn-il-jarood hadith no: 130.

 

(8) Sahih-ul-bukhari qabal az hadith no: 217, 

Kitab-ul-wuzoo, Baab maa jaa fi ghasli-al-baul.

 

(9) Nail-ul-autaar  1 / 100.

Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 73.

Fat’h-ul-baari  1 / 384.

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents