(37) KHAURAAK YA KISI QABIL-E-IHTERAAM CHEEZ SAY ISTINJAA KARNA JAAIZ NAHI
(37) KHAURAAK YA KISI QABIL-E-IHTERAAM CHEEZ SAY ISTINJAA KARNA JAAIZ NAHI
(1) Sayyiduna Ibn-e-Masood ( رضي الله عنه ) say marwi jis hadith mein Nabi ﷺ ki Jinnon say mulaqaat ka tazkirah hai us mein ap ﷺ nay haddi ko Jinnon ka zaad-e-raah aur gaubar ko janwaron ka chara qaraar denay kay baad farmaya:
” فلا تستنجوا بهما فإنهما طعام إخوانكم “
” Tum in donon say istinjaa na karo Kiyonkeh yeh tumharay bhaaiyon ki khauraak hai ” (1).
Jab Jinnon aur janwaron ki khauraak say istinjaa karna jaaiz nahi hai to insaanon ki khauraak say bil’aula jaaiz nahi hai,
Issi tarah muqaddas-o-mohtaram ashiya say bhi istinjaa karnay say ijtenaab karna chahiye, Kiyonkeh yeh un ki hurmat kay khilaaf hai.
Neez Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say bhi issi maana mein hadith marwi hai.(2)
(1) Sahih-ul-Muslim hadith no: 450, Kitab-us-salaah. Musnad-e-Ahamd 1 / 436. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 85. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 18. Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 155. Musnad-e-Abi Awanah 1 / 219. Sahih Ibn-e-Hibbaan hadith no: 1432. Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 77. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 108. (2) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 155, 3860. Musnad-e-Ahamd 2 / 50. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 102. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.