(0A). WUZOO KAY FARAAIZ
PAHLI FASAL:
( WUZOO KAY FARAAIZ )
[[[[ يَجِبُ عَلَی كُلِّ مُكَلَّفٍ أَنۡ يُسَمِّيَ أِذَا ذَكَرَ ]]]]
( Har musalman par wajib hai keh agar usay yaad ho to ( ibtedaa-e-wuzoo mein ) “Bismillah” padhay .{2})
{1}= LUGHAWI WAZAHAT:
Lafaz-e-“Wuzoo” wow kay zammah kay sath ho to masdar hai jis ka maana “Wuzoo karna” hai,
Aur “Wazoo” wow kay fatah kay sath ho to aisay paani kay liye baula jata hai jis say “Wuzoo” kiya jata hai,
Aur agar wow kay kasrah kay sath ho yaani “Wizoo” to us bartan ko kahtay hain jis say “Wuzoo” kiya jata hai.
Asal mein lafaz-e-Wuzoo “وضائة” say makhooz hai jis ka maana khoobsurati-o-nazaafat hai, Aur namaz kay wuzoo par yeh lafaz issi liye baula jata hai Kiyonkeh yeh wuzoo karnay walay ko saaf aur khoobsurat bana deta hai.
SHARAYI TAAREEF:
Jisam kay makhsoos aazaa ko dhauna aur malna (1).
MASHRO’EYIAT:
Wuzoo namaz kay liye shart hai,
Jaisa keh mandarjah zail dalaail say yeh baat saabit hoti hai:
(1) يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قُمۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ فَٱغۡسِلُواْ وُجُوهَكُمۡ وَأَيۡدِيَكُمۡ إِلَى ٱلۡمَرَافِقِ وَٱمۡسَحُواْ بِرُءُوسِكُمۡ وَأَرۡجُلَكُمۡ إِلَى ٱلۡكَعۡبَيۡنِۚ…!
[ Surah Al-Maaidah , Ayah no: 6 ]
” Aye emaan walo ! Jab tum namaz kay liye janay ka iradah karo to apnay chahray aur hathon ko kohniyon tak dho lo aur apnay saron ka masah karo aur apnay qadamon ko takhnon tak dho lo “
(2) Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إن الله لا يقبل صلاة أحدكم إذا أحدث حتى يتوضأ “
” Baishak Allah ta’ala tum mein say be’wuzoo shakhs ki namaz qubool nahi farmatay yahan tak keh woh wuzoo kar lay “(2)
(3) Aik riwaayat mein hai keh:
” الوضوع شطر الإيمان “
” Wuzoo nisf-e-eimaan hai “(3).
Muhaqqiqeen kay nazdeek wuzoo Madina mein farz kiya gaya Kiyonkeh us kay khilaaf koi nass maujood nahi, Aur yeh is ummat ki khusoosiyat mein say nahi hai, Balakeh is ki khusoosiyat mein say ” غرة و تحجيل ” ( aazaa-e-wuzoo ki chamak hi hai ) (4).
Lekin Nawab Siddique Hasan Khan ( رحمه الله ) bayan kartay hain keh ( Wuzoo ko ) hijrat say aik saal pahlay namaz kay sath hi farz kar diya gaya tha, Aur yeh baqiyah ummaton ki nisbat is ummat ki khusoosiyat mein shamil hai.(5)
Shaikh Wahbah Zohaili ( رحمه الله ) nay bhi Makkah hi mein Wuzoo ki mashro’eyiat ka zikar kiya hai.(6)
(1) Al-qamoos-ul-muheet page no: 53. Al-nihayah 5 / 159. Al-sihaah 1 / 81. (2) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 135, Kitab-ul-wuzoo. Sahih-ul-Muslim hadith no: 330. (3) SAHIH: Sahih Tirmazi hadith no: 2791, Kitab-ud-da’awaat. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 3517. (4) Subul-us-salaam 1 / 74. (5) Rauzat-un-nadiyah 1 / 117. (6) Al-fiqah-ul-islami wa adillatohu 1 / 360. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.