(47A). SAR KAY KUCH HISSAY AUR PAGDI PAR MASAH KIFAAYAT KAR JATA HAI
SAR KAY KUCH HISSAY AUR PAGDI PAR MASAH KIFAAYAT KAR JATA HAI
[[[[ وَ يُجۡزِئُ مَسۡحُ بَعۡضِهِ وَالۡمَسۡحُ عَلَی الۡعَمَامَةِ ]]]]
( Sar kay kuch hissay aur pagdi par masah kifaayat kar jata hai {1})
{1}=(1) Sayyiduna Mugheerah Ibn-e-Shu’abah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh:
” أنه توضأ و مسح بناصيته على العمامة “
” Ap ﷺ nay wuzoo kiya aur paishani aur pagdi par masah kiya “.(1)
(2) Sayyiduna Amar Ibn-e-Umayyah Zamuri ( رضي الله عنه ) say marwi hadith mein yeh alfaaz hain keh:
” رأيت رسول الله يمسح على عمامته و خفيه “
” Main nay Rasoolullah ﷺ ko dekha ap ﷺ apni pagdi aur apnay mauzon par masah kartay thay “(2)
” Ap ﷺ nay mauzon aur pagdi par masah kiya ” (3).
Is mas’alay mein ikhtelaaf kiya gaya hai keh pagdi ya taupi par masah kartay huway sar kay kuch hissay par masah karna zaruri hai ya pagdi ka masah hi kafi hai ?
( Jamhoor, Imam Malik, Imam Shafie, Imam Abu Hanifah ( رحمهم الله )
Siraf pagdi par masah kar lena jaaiz nahi hai.
( Imam Nawawi ( رحمه الله )
Issi kay qaail hain,
Imam Sufiyan Sauri aur Imam Ibn-e-Mubarak ( رحمهما الله ) ka bhi yeh hi mazhab hai.
( Imam Ahmad ( رحمه الله )
Siraf pagdi par masah karna kafi hai.(4)
( RAAJIH )
Siraf sar par, siraf pagdi par ya sar aur pagdi donon par aik sath masah kar lena sub sahih saabit hai.
( Imam Shaukani ( رحمه الله )
Issi kay qaail hain.(5)
( Abdul Rahman Mubarakpori ( رحمه الله )
Issi ko tarjeeh detay hain.(6)
( Siddique Hasan Khan( رحمه الله )
Issi kay qaail hain.(7)
( Ibn-e-Qudamah Hanbali ( رحمه الله )
Siraf pagdi par masah jaaiz hai.(8)
Imam Ibn-e-Munzir ( رحمه الله ) bayan kartay hain keh pagdi par masah karnay walon mein Sayyiduna Abu Bakar, Sayyiduna Omar, Sayyiduna Anas, Sayyiduna Abu Umamh, Sayyiduna Saeed Ibn-e-Malik aur Sayyiduna Abu Dardaa ( رضي الله عنهم ) hain,
Neez Sayyiduna Omar Ibn-e-Abdul Azeez, Imam Hasan, Imam Qatadah, Imam Mak’hool, Imam Auzayi aur Imam Abu Saur waghairah ( رحمهم الله ) ka bhi yeh hi mazhab hai.(9)
(1) Sahih-ul-Muslim hadith no: 274, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 150. Musnad-e-Abi Awanah 1 / 259. Al-muntaqa li-Ibn-ul-jarood hadith no: 83. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 58. Musnad-e-Ahamd 4 / 244.
(2) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 205, Kitab-ul-wuzoo. Musnad-e-Ahamd 4 / 179. Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 178. Sunan-e-Nasaayi 1 / 18. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 562.
(3) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 136. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 100, Kitab-ut-taharah. Musnad-e-Ahamd 4 / 244. Sahih-ul-Muslim hadith no: 274. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 150. Sunan-e-Nasaayi 1 / 76. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 545. Musnad-e-Abi Awanah 1 / 259. Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 192. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 58.
(4) Sharah-ul-Muslim lin-nawawi 2 / 172. Fat’h-ul-baari 1 / 388.
(5) Neel-ul-autaar 1 / 257.
(6) Tohfat-ul-ahwazi 1 / 358.
(7) Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 129.
(8) Al-mughni 1 / 176.
(9) Fat’h-ul-baari 1 / 369. Tohfat-ul-ahwazi 1 / 363. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.