(47C). AUR US KAY LIYE MAUZON PAR MASAH KARNA BHI JAAIZ HAI
AUR US KAY LIYE MAUZON PAR MASAH KARNA BHI JAAIZ HAI
[[[[ وَلَهُ الۡمَسۡحُ عَلَی الۡخُفَّيۡنِ ]]]]
( Aur us kay liye mauzon par masah karna bhi jaaiz hai {1})
{1}=(1) Sayyiduna Mugheerah Ibn-e-Sho’abah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay wuzoo kiya:
” ومسح على الخفين والعمامة “
” Ap ﷺ nay mauzon aur pagdi par masah kiya “(1)
(2) Sayyiduna Bilal ( رضي الله عنه ) bayan kartay hain keh:
” مسح رسول الله ﷺ على الخفين والخمار “
” Rasoolullah ﷺ nay mauzon aur pagdi par masah kiya “(2).
(3) Sayyiduna Jareer ( رضي الله عنه ) nay apnay mauzon par masah kiya aur phir kisi kay puchnay par batlaya keh main nay Rasoolullah ﷺ ko aisa kartay huway dekha hai.(3)
( Imam Nawawi ( رحمه الله )
Mauzon par masah karna itnay sahabah say marwi hai keh jin ka shumaar nahi kiya ja sakta.(4)
( Ibn-e-Hajar ( رحمه الله )
Huffaaz ki aik jamaat nay wazahat ki hai keh mauzon par masah karna mutawaatir dalaail say saabit hai.(5)
( Imam Ahmad ( رحمه الله )
Is mas’alay mein sahabah say 40 marfoo’u ahadith marwi hain.(6)
( Ibn-e-Abi Hatim ( رحمه الله )
Is mas’alay mein 41 sahabah say marwi ahadith hain.(7)
Yaad rahay keh masah kay inkaar mein Sayyidah Ayesha, Sayyiduna Ibn-e-Abbaas aur Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنهم ) say marwi riwaayat sahih nahi hai.(8)
Jaisa keh Imam Ibn-e-Abdul Barr aur Imam Ahmad ( رحمهما الله ) nay inkaar wali ahadith kay batil-o-ghair saabit honay ki sarahat ki hai.(9)
(1) Sunan-e-Tirmazi hadith no: 100, Kitab-ut-taharah. Sahih-ul-Muslim hadith no: 274. Musnad-e-Ahamd 4 / 244. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 150. Sunan-e-Nasaayi hadith no: 7631. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 545. Musnad-e-Abi Awanah hadith no: 25931. Musnad-e-Abi Daud Tayaalasi hadith no: 699. Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 30. (2) Sahih-ul-Muslim hadith no: 275, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 153. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 101. Sunan-e-Nasaayi 1 / 75. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 561. Musnad-e-Ahamd 6 / 12. (3) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 387, Kitab-us-salaah. Sahih-ul-Muslim hadith no: 277. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 154. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 93. Sunan-e-Nasaayi 1 / 81. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 543. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 186. (4) Sharah-ul-Muslim 2 / 13. (5) Fat’h-ul-baari 1 / 408. (6) Neel-ul-autaar 1 / 275. (7) Neel-ul-autaar 1 / 275. (8) Al-Majmoo’u 1 / 478. (9) Al-tamheed 11 / 135. Neel-ul-autaar 1 / 275. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.