(48) MAUZON PAR MASAH KAY LIYE UNHAIN PAHINTAY WAQAT BA’WUZOO HONA SHART HAI
(48) MAUZON PAR MASAH KAY LIYE UNHAIN PAHINTAY WAQAT BA’WUZOO HONA SHART HAI
Jaisa keh Sayyiduna Mugheerah Ibn-e-Sho’abah ( رضي الله عنه ) ki hadith mein hai keh Ap ﷺ nay farmaya:
” دعهما فإني أدخلتهما طاهرتين “
” Inhain chhaud do, Kiyonkeh main nay jab yeh mauzay pahnay thay to main ba’wuzoo tha “(1).
( Jamhoor, Imam Malik, Imam Shafie, Imam Ahmad ( رحمهم الله )
Issi kay qaail hain.
( Abu Hanifah ( رحمه الله )
Haalat-e-hadas mein bhi mauzay pahin’na jaaiz hai us kay baad kay woh apna wuzoo mukammal kar lay.(2)
( RAAJIH )
Jamhoor ka mo’aqqaf Raajih hai.(3)
(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 206, Kitab-ul-wuzoo. Sahih-ul-Muslim hadith no: 404. Musnad-e-Ahamd 4 / 251. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 309. Tohfat-ul-ashraaf 8 / 483. (2) Al-mughni 1 / 282. Al-mohalla 2 / 100. Al-Majmoo’u 1 / 540. Badaayi’o-us-sanaayi’o 1 / 9. (3) Sharah-ul-Muslim lin-nawawi 2 / 173. Al-Majmoo’u 1 / 540. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.