Search
Sections
< All Topics
Print

(49) MAUZAY KAY KIS HISSAY PAR MASAH KIYA JAYE ?

(49) MAUZAY KAY KIS HISSAY PAR MASAH KIYA JAYE ?

 

 

Is mas’alay mein fuqaha nay ikhtelaaf kiya hai.

 

( Imam Malik, Imam Shafie ( رحمهم الله )

Mauzay kay upar masah karna farz hai aur nichay karna sunnat hai.(1)

 

( Imam Ahmad, Imam Abu Hanifah ( رحمهم الله )

Masah siraf mauzay kay upar walay hissay par hi kiya jaye ga.(2)

 

Is kay ilawah Imam Abu Hanifah ( رحمه الله ) kay nazdeek masah hath ki 3 ungliyon kay barabar karna wajib hai,

Imam Ahmad ( رحمه الله  ) mauzay kay aksar hissay par masah kay qaail hain,

Jabkeh Imam Shafie ( رحمه الله ) ka kahna hai keh utnay hissay par wajib hai jitnay par masah ka lafaz bola ja sakta hai.(3)

 

( RAAJIH )

Siraf mauzay kay upar walay hissay ka masah kiya jaye ga, 

Jaisa keh Sayyiduna Ali ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh:

” Agar Deen ka daar-o-madaar raaye aur aqal par hota to phir mauzon ki nichli satah par masah upar ki ba’nisbat ziyadah qareen-e-qiyaas tha, 

Main nay khud Rasoolullah ﷺ ko mauzay kay upar walay hissay par masah kartay dekha hai “.(4)

 

Is kay ilawah masah ki kaifiyat kay muta’alliq koi sahih hadith maujood nahi hai,

Lihazah utnay hissay ka masah karna jisay lughat mein masah kaha ja sakta hai kifaayat kar jaye ga.(5)



(1) Al-ummo 1 / 48.


(2) Al-lubaab 1 / 160.


(3) Al-Majmoo’u 1 / 551.

Al-mughni 1 / 297.

Al-mohalla 2 / 1.

Badaayi’o-us-sanaayi’o 1 / 12.


(4) SAHIH:

Sahih Abu Daud hadith no: 147,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 162.

Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 181.

Sunan-e-Daarimi 1 / 181.

Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 199.

Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 292.

Hafiz Ibn-e-Hajar nay is hadith ko sahih kaha hai,

[ Talkhees-ul-habeer 1 / 282 ]


(5) Subul-us-salaam 1 / 14.

 

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

 

Table of Contents