Search
Sections
< All Topics
Print

(50). MUQEEM AUR MUSAFIR KAY LIYE MUDDAT-E-MASAH

(50) MUQEEM AUR MUSAFIR KAY LIYE MUDDAT-E-MASAH

 

 

Sayyiduna Ali ( رضي الله عنه ) say muddat-e-masah kay muta’alliq sawal kiya gaya to unhon nay kaha keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya hai:

” للمسافر ثلاثة أيام و لياليهن و للمقيم يوم و ليل “

” Musafir kay liye 3 shab-o-rauz aur muqeem kay liye aik din aur raat masah ki muddat hai “(1).

 

( Imam Malik ( رحمه الله )

Masah ki koi muddat muqarrar nahi hai is liye hamaishah masah kiya ja sakta hai.(2)

Imam Malik ( رحمه الله ) ka yeh mazhab dorust nahi, Kiyonkeh jis riwaayat say 3 din say ziyadah masah ka jawaaz nikala jata hai:

” نعم إن شئت ”  Woh za’eef hai.(3)

 

Aur jis hadith mein mutlaqan masah ka zikar hai:

” إذا توضأ أحدكم و لبس خفيه فليصل فيهما و ليمسح عليهما ثم لا يخلعهما إن شاء إلا من جنابة “

” Jab tum mein say koi wuzoo karay aur us nay apnay mauzay pahnay hon to un donon mein namaz padh lay aur un donon par masah kar lay, Phir agar chahay to unhain mat utaray magar janabat ki wajah say utaar day “(4)

 

Isay muqayyad ( yaani musafir kay liye 3 din waghairah ) par mahmool kiya jaye ga,

Yeh hi jamhoor ka mazhab hai.(5)




(1) Sahih-ul-Muslim hadith no: 676,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 552.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 84.

Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 179.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 192.

Sahih Ibn-e-Habbaan hadith no: 184 ( Al-Mawarid ).

Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 82.

Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 194.

Sunan-ul-kubra baihaqui hadith no: 67631.


(2) Al-muntaqa lil-baaji 1 / 78.


(3) ZA’EEF:

Za’eef Abu Daud hadith no: 28,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 158.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 557.


(4) ZA’EEF:

Sahih-ul-jami-us-sagheer hadith no: 447.


(5) Aalam-ul-mooqi’een 4 / 281.

 

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents