Search
(51) MUDDAT-E-MASAH
(51) MUDDAT-E-MASAH MEIN JANABAT KI WAJAH SAY MAUZAY UTAAR DIYE JAYEN,
LEKIN BAUL-O-BARAZ YA NEEND KI WAJAH SAY UTAARNA ZARURI NAHI
Sayyiduna Safwan Ibn-e-Ussaal ( رضي الله عنه ) say riwaayat hai keh Rasoolullah ﷺ hamain hukam detay keh:
” أن لا ننزع ثلاثة أيام إلا من جنابة لكن من غائط و بول و نوم “
” Hum 3 din tak apnay mauzay na utarain, magar yeh keh haalat-e-janabat laahaq ho jaye, Albattah bait-ul-khala mein janay ki soorat mein, pishaab aur neend ki wajah say utaarnay ki zarurat nahi “(1).
(1) HASAN: Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 387, Kitab-ut-taharah. Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 104. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 478 Sunan-e-Tirmazi hadith no: 96. Sunan-e-Nasaayi 1 / 83. Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 177. Musnad-e-Ahamd 4 / 239. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 193. Sahih Ibn-e-Habbaan hadith no: 179 ( Al-Mawarid ). |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.