(52) JURABON AUR JUTIYON PAR MASAH KA HUKAM
(52) JURABON AUR JUTIYON PAR MASAH KA HUKAM:
In donon par masah karna jaaiz hai,
Jaisa keh Sayyiduna Mugheerah Ibn-e-Sho’abah ( رضي الله عنه ) bayan kartay hain keh Rasoolullah ﷺ nay wuzoo kiya:
” و مسح على الجوربين و النعلين ”
” Aur jurabon aur jutiyon par masah kiya “(1).
Mandarjah zail sahabah say bhi jurabon aur jutiyon par masah karnay ka suboot milta hai:
(1) Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Masood. 2
(2) Sayyiduna Anas. 3
(3) SaySayyidunayiduna Barraa Ibn-e-Aazib. 4
(4) Abu Umamah.( رضي الله عنهم ). 5
( Ibn-e-Qudamah Hanbali ( رحمه الله )
Sahabah nay jurabon par masah kiya hai, Aur un kay zamanay mein koi hi mukhaalif zahir nahi huwa,
Lihazah yeh ijmaa ki tarah hi hai. (6)
( Ibn-e-Qayyim ( رحمه الله )
Jurabon par masah jaaiz hai, Kiyonkeh yeh hi amal sahabah ka hai.(7)
( Ibn-e-Baaz ( رحمه الله )
Mauzon aur jurabon par masah jaaiz hai.(8)
(1) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 147, 148, Kitab-ut-taharah. Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 101. Tamam-ul-minnah page no: 113. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 99. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 559. Sunan-e-Nasaayi 1 / 92. Sahih Ibn-e-Habbaan hadith no: 176. Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 97. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 283. (2) SAHIH: Musannaf Abdul Razzaque hadith no: 777. Tabrani kabeer hadith no: 9239. Musnad-e-Ahamd ( kitab-ul-ilal wa maarifat-ur-rijaal ) 3 / 222. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 285. Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 172. (3) SAHIH: Musnad-e-Ahamd ( kitab-ul-ilal ) 3 / 375. Tabrani kabeer 1 / 244. Musannaf Abdul Razzaque hadith no: 779. Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah hadith no: 1978. (4) HASAN: Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah hadith no: 1984. Musannaf Abdul Razzaque hadith no: 778. (5) HASAN: Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 172. (6) Al-mughni 1 / 374. (7) Tahzeeb-us-sunan 1 / 123. (8) Fatawah Ibn-e-Baaz ( mutarjam ) 1 / 46. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.