(53) ZABANI ALFAAZ KAY SATH NIYYAT KA HUKAM
(53) ZABANI ALFAAZ KAY SATH NIYYAT KA HUKAM
yeh amal kisi hadith say saabit nahi.
( Imam Ibn-e-Taimiyah ( رحمه الله )
Alfaaz kay sath niyyat karna bid’at hai.(A)
Niyyat ki jagah ulama kay ittefaaq kay sath siraf Dil hi hai.(1)
Aur agar koi Sayyiduna Nooh ( عليه السلام ) ki umar ( 950 ) saal kay barabar bhi Rasoolullah ﷺ aur sahabah say zaban kay sath niyyat karna talash karta rahay tab bhi Siwa-e-sufaid jhoot kay kamiyab nahi hoga.(2)
Albattah Imam Abu Hanifah, Imam Shafie aur Imam Ahmad ( رحمهم الله ) kay sathiyon mein say aik girauh nay isay mustahab is liye kaha hai Kiyonkeh yeh mazeed takeed ka baais hai,
Jabkeh Imam Malik aur Imam Ahmad ( رحمهما الله ) kay sathiyon mein say aik girauh nay isay ghair mustahab aur bid’at kaha hai,
Kiyonkeh yeh amal Rasoolullah ﷺ aur sahabah mein say kisi say bhi manqool nahi, Aur na to Nabi ﷺ nay kisi ko is ka hukam diya hai, Aur na hi kisi aik bhi sikhlaya hai,
Yeh hi dusra qaul hi Raajih hai.(3)
( Ibn-e-Qayyim ( رحمه الله )
Zaban say niyyat karna bid’at hai,
Aur kisi kaam kay iraday ka naam hai jis ki jagah siraf Dil hai, Aur is ka asalan zaban say koi ta’alluq nahi hai.(4)
( Imam Nawawi ( رحمه الله )
Niyyat siraf Dil kay iraday ko hi kahtay hain.(5)
HANAFI ULAMA NAY BHI IS KAY BID’AT HONAY KA AITERAAF KIYA HAI:
( Ibn-e-Abideen )
Zaban say niyyat karna bid’at hai.(6)
( Mulla Ali Qari ( رحمه الله )
Alfaaz kay sath niyyat karna jaaiz nahi, Kiyonkeh yeh bid’at hai.(7)
( Ibn-e-Hamaam ( رحمه الله )
Rasoolullah ﷺ aur sahabah mein say kisi aik say bhi zaban kay sath niyyat karna manqool nahi.(8)
( Anwar Shah Kashmiri ( رحمه الله )
Niyyat siraf Dil ka mu’aamila hai.(9)
Aur bhi mukhtalaf kutub mein is amal ko bid’at shumaar gaya hai.(10)
Is kay ilawah is kay bid’at honay ka yeh bhi suboot hai keh agar Nabi ﷺ nay zabani niyyat sikhlayi hoti to Arabic zaban mein hoti, Jabkeh hamaray yahan Urdu mein niyyat sikhlayi jati hai.
(A) Al-fatawa-al-kubra 1 / 214. (1) Majmoo’u-ul-fatawa 18 / 262. (2) Ighasat-ul-lafhaan 1 / 158. (3) Al-fatawa-al-kubra 1 / 214. (4) Zaad-ul-ma’aad 1 / 69. Ighasat-ul-lafhaan 1 / 136. (5) Sharah-ul-mohazzab 1 / 352. (6) Radd-ul-mukhtaar 1 / 279. (7) Mirqaat-ul-mafateeh Sharah Mishkaat-ul-masabeeh 1 / 41. (8) Fat’h-ul-qadeer 1 / 232. (9) Faiz-ul-baari 1 / 8. (10) Umdat-ur-ri’aayah hashiyah Sharah-ul-wiqayah 1 / 159. As-sunan wa-al-mubtada’aat 1 / 28. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.