(54) HATHON AUR PAAUN KI UNGLIYON KA KHILAL WAJIB HAI
(54) HATHON AUR PAAUN KI UNGLIYON KA KHILAL WAJIB HAI
(1) Sayyiduna Laqeet Ibn-e-Saburah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” وخلل بين الأصابع “
” Aur ungliyon kay darmiyan khilal karo “.(1)
Is mutlaq hukam mein hath aur paaun donon ki ungliyan shamil hain.
(2) Sayyiduna Ibn-e-Abbaas ( رضي الله عنه ) say riwaayat hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إذا توضأت فخلل بين أصابع يديك و رجليك “
” Jab tum wuzoo karo to apnay hathon aur paaun ki ungliyon ka khilal karo “.(2)
( Imam Shaukani ( رحمه الله )
Hathon aur paaun ki ungliyon ka khilal wajib hai.(3)
( Abdul Rahman Mubarakpori ( رحمه الله )
Issi kay qaail hain.(4)
( Ameer San’aani ( رحمه الله )
Yeh hi mo’aqqaf rakhtay hain.(5)
( Albani ( رحمه الله )
Hathon ki ungliyon ka khilal Sayyiduna Laqeet Ibn-e-Saburah ( رضي الله عنه ) ki hadith ki wajah say wajib hai.(6)
Wazih rahay keh paaun ki ungliyon ka khilal chhauti ungli kay sath karna chahiye
Jaisa keh Rasoolullah ﷺ ka yeh hi amal tha.(7)
(1) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 129, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 142. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 38. Sunan-e-Nasaayi hadith no: 87. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 407. Sunan-e-Daarimi 1 / 179. Musnad-e-Ahamd 4 / 32.
(2) HASAN: Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 361. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 39, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 447. Musnad-e-Ahamd 1 / 287.
(3) Neel-ul-autaar 1 / 241.
(4) Tohfat-ul-ahwazi 1 / 156.
(5) Subul-us-salaam 1 / 89.
(6) Tamam-ul-minnah page no: 93.
(7) SAHIH: Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 360, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 446. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 40. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 148. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.