Search
Sections
< All Topics
Print

(0A). AAZAA KO 3, 3 MARTABAH DHAUNA MUSTAHAB HAI

{{ WUZOO KI SUNNATAIN }}


[[[[ وَ يُسۡتَحَبُّ التَّثۡلِيۡثُ فِيۡ غَيۡرِالرَّأۡسِ ]]]]


( Sar kay ilawah baqiyah aazaa ko 3, 3 martabah dhauna mustahab hai.{1})

{1}= Nabi ﷺ say aik aik martabah, do do martabah aur teen teen martabah sub tarah say wuzoo karnay ka suboot milta hai.

(1) Sayyiduna Ibn-e-Abbaas ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh:

” توضأ رسول الله ﷺ مرة مرة “

” Nabi ﷺ nay aik aik martabah ( aazaa-e-wuzoo ko dho kar ) wuzoo kiya “.(1)

(2) Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Zaid ( رضي الله عنه ) say riwaayat hai keh :

” أن النبي ﷺ توضأ مرتين مرتين “

” Nabi ﷺ nay do do martabah wuzoo kiya “.(2)

(3) Sayyiduna Usman ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh:

” أن النبي ﷺ توضأ ثلاثا ثلاثا “

” Nabi ﷺ nay teen teen martabah wuzoo kiya “.(3)

Aik aik martabah wuzoo karna farz hai, Jabkeh teen teen martabah wuzoo karna bil’ijmaa sunnat hai,(4)

Lekin yaad rahay keh teen martabah say tajaawuz karna jaaiz nahi, Jaisa keh is kay dalaail hasb-e-zail hain:

(1) Sayyiduna Amar Ibn-e-Shoaib ( رضي الله عنه ) apnay dada say riwaayat hai keh aik dehati Rasoolullah ﷺ kay pas aa kar sawal karnay laga to ap ﷺ nay usay teen teen martabah wuzoo kar kay dikhaya aur farmaya:

” هذا الوضوء فمن زاد على هذا فقد أساء و تعدى و ظلم “

” Yeh wuzoo hai, Aur jis nay is par ziyadati ki to baishak us nay bura kiya, had say tajaawuz kiya, aur zulam kiya “.(5)

(2) Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Mughaffal ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:

” Anqareeb is ummat mein aisay log hongay jo wuzoo aur Dua mein had say tajaawuz karen gay, aur baishak aisa shakhs burayi karnay wala aur zulam karnay wala hai “.(6)

Sar ka masah aik say ziyadah martabah bhi kiya ja sakta hai, Jaisa keh guzishtah saf’haat mein sar kay masah kay bayan mein wazahat ki ja chuki hai.

 

(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 157,

Kitab-ul-wuzoo.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 42.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 138.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 411.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 62.

 

(2) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 158,

Kitab-ul-wuzoo.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 18

Sahih-ul-Muslim hadith no: 18

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 32.

Mo’attah 1 / 18.

Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 93

Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 79.

Musnad-e-Ahamd 4 / 41.

 

(3) Sahih-ul-Muslim hadith no: 230,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 106.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 285.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 64.

Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 49.

Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 83.

Musnad-e-Ahamd 1 / 57.

 

(4) Al-Majmoo’u 1 / 465.

Sharah-ul-Muslim lin-nawawi 2 / 108.

Neel-ul-autaar 1 / 267.

 

(5) HASAN:

Sahih Abu Daud hadith no: 123,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 135.

Musnad-e-Ahamd 2 / 180.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 88.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 422.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 174.

Al-muntaqa li-Ibn-ul-jarood hadith no: 85.

Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 89.

 

(6) SAHIH:

Sahih Abu Daud hadith no: 87,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 96.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 3864.

Musnad-e-Ahamd 4 / 86.

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.
Table of Contents