(62) WUZOO KAY BAAD TAULIYE KA ISTE’IMAAL
(62) WUZOO KAY BAAD TAULIYE KA ISTE’IMAAL
Wuzoo kay baad tauliya ya koi kapda iste’imaal karna jaaiz hai, Jaisa keh dalaail hasb-e-zail hain:
(1) Sayyidah Ayesha ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh:
” كان للنبي ﷺ خرقة ينشف بها بعدالوضوء “
” Nabi ﷺ kay pas kapday ka aik tukda hota tha jis say wuzoo kay baad ap ﷺ paani ko khushak kiya kartay thay “.(1)
(2) Sayyidah Maimonah ( رضي الله عنه ) Nabi ﷺ kay ghusal kay muta’alliq bayan karti hain keh ( jab ap ﷺ nay ghusal kar liya to )
” فناولته ثوبا فلم يأخذه فانطلق وهو ينفض يديه “
” Main nay aik kapda ap ﷺ ko diya lekin ap ﷺ nay usay na pakda aur apnay hathon ko jhadtay huway chal paday “(2).
Is hadith say maloom huwa keh Nabi ﷺ kapda iste’imaal kartay thay issi liye Sayyidah Maimonah ( رضي الله عنها ) nay paish kiya.
( Imam Malik, Imam Ahmad, Imam Abu Hanifah ( رحمهم الله ):
Wuzoo kay baad tauliya iste’imaal karna jaaiz hai.
Imam Sauri, Imam Abu Yousuf, Imam Muhammad Ibn-e-Hasan, Imam Ibn-e-Seerin, Imam Hasan, Imam Alqamah, Imam Aswad, Imam Masrooque aur Imam Zihaque ( رحمهم الله ) bhi issi kay qaail hain.
Taaham Sayyiduna Usman, Sayyiduna Hasan Ibn-e-Ali, Sayyiduna Anas aur Sayyiduna Bishir Ibn-e-Masood ( رضي الله عنه ) is say karaahat kartay thay.(3)
( Abdul Rahman Mubarakpori ( رحمه الله ):
Issi kay jawaaz hi Raajih hai.(4)
(1) HASAN: Silsilat-us-sahihah hadith no: 2099. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 53, Kitab-ut-taharah. Mustadrak Hakim 1 / 154. Hafiz Ibn-e-Hajar nay isay za’eef kaha hai, [ Talkhees-ul-habeer 1 / 171 ]. (2) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 267, Kitab-ul-ghusal. Sahih-ul-Muslim hadith no: 476. (3) Umdat-ul-qari 3 / 80. Tohfat-ul-ashraaf 1 / 183. (4) Tohfat-ul-ahwazi 1 / 185. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.