(0A). WUZOO BAUL-O-BARAAZ, HAWA KHARIJ HONAY SAY YA GHUSAL WAJIB KAR DENAY WALAY ASBAAB SAY TOOT JATA HAI
WUZOO TAUDNAY WALI ASHIYA
[[[[ وَيَنۡتَقِضُ الۡوُضُوۡءُ بِمَا خَرَجَ مِنَ الۡفَرۡجَيۡنِ مِنۡ عَيۡنٍ أَوۡ رِيۡحً وَبِمَا يُوۡجِبُ الۡغُسۡلَ ]]]]
( Wuzoo Baul-o-baraaz, Hawa kharij honay say {1}, ya ghusal wajib kar denay walay asbaab say toot jata hai {2}.)
{1}=(1) Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” لا يقبل الله صلاة أحدكم إذا أحدث حتى يتوضأ “
” Allah ta’ala tum mein say kisi ki namaz qubool nahi farmatay jabkeh usay hadas laahaq ho, yahan tak keh woh wuzoo kar lay “
Aik aadmi nay araz kiya keh:
Aye Abu Hurairah ! Yeh hadas kiya hai ?
To unhon nay farmaya: ” فساط أو ضراط “
” Bi’la awaz hawa kharij hona ya awaz jay sath ( yaani gauzz )”.(1)
Hadas say murad har woh cheez hai jo pishaab-o-pakhana kay rastay say kharij ho.(2)
Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) nay in halki ashiya ko hadas shumaar kar kay Baul-o-baraaz waghairah say bil’aula wuzoo karnay ki taraf isharah kiya hai.
(2) Aik riwaayat mein yeh alfaaz hain:
” لا وضوء إلا من صوت أو ريح “
” Keh Wuzoo siraf awaz ya hawa kharij honay ki wajah say hai “(3).
(3) Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” فلا يخرجن من المسجد حتى يسمع صوتا أو يجد ريحا “
” Hargiz koi masjid say bahir na jaye yahan tak keh hawa kharij honay ki awaz sunay ya bad boo paye “.(4)
( Ibn-e-Rushd( رحمه الله )
Baul-o-baraaz ya hawa kharij honay ya mazzi-o-waddi waghairah say wuzoo tootnay par ijmaa hai.(5)
{2}=Masalan: Jimaa waghairah is ki misil ashiya ki wajah say wuzoo tootnay mein koi ikhtelaaf nahi hai.(6)
(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 135, Kitab-ul-wuzoo. Sahih-ul-Muslim hadith no: 225. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 60. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 76. Musnad-e-Ahamd 2 / 308. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 11. (2) Neel-ul-autaar 1 / 287. (3) SAHIH: Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 416, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 516. Sunan-e-Daarimi 1 / 183. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 74. (4) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 137, Kitab-ul-wuzoo. Sahih-ul-Muslim hadith no: 361. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 513. Sunan-e-Nasaayi hadith no: 160. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 75.
(5) Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 24. (6) Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 143. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.