(64) AURAT KA BAUSA LENAY SAY YA MUJARRAD CHHUNAY SAY WUZOO NAHI TOOT’TA.
(64) AURAT KA BAUSA LENAY SAY YA MUJARRAD CHHUNAY SAY WUZOO NAHI TOOT’TA.
(1) Sayyidah Ayeshah ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh:
” أن النبي ﷺ قبل بعض نسائه ثم خرج إلى الصلاة ولم يتوضأ “
” Nabi ﷺ nay kisi ahliya ka bausa liya aur namaz kay liye nikal gaye, Aur ap ﷺ nay wuzoo nahi kiya “.(1)
(2) Sayyidah Ayeshah ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ namaz padh rahay hotay thay aur main ap ﷺ kay samnay janazay ki tarah laiti hoti thi Yahan tak keh jab ap ﷺ witar padhnay ka iaradah farmatay to mujhay paaun laga detay. (2)
(3) Sayyidah Ayeshah ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh aik raat main nay Rasoolullah ﷺ ko bistar say ghaaib paya to ap ﷺ ko talash karna shuru kar diya yahan tak keh main nay apna haath ap ﷺ kay qadamon ki androni janib ( nichla hissa ) par rakha, Us waqat ap ﷺ masjid mein thay aur ap ﷺ kay qadam khaday thay ( yaani ap ﷺ Sajdah ki haalat mein thay ) aur yeh kah rahay thay:
” اللهم إني أعوذ برضاك من سخطك…إلخ “(3).
Jin logon nay mujarrad aurat ko chhoona hi naaqiz-e-wuzoo shumaar kiya hai unki daleel yeh aayat hai:
” أَوۡ لَامَسۡتُمُ النِّسَآءَ “
[ Surah An-nisaa Aayat no: 43 ].
Lekin yeh aayat un kay mo’aqqaf ki daleel nahi banti, Kiyonkeh aayat mein ” مس ” ( chhunay ) say murad jima-o-hambistiri hai.(4)
(1) SAHIH: Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 406. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 76, Kitab-ut-tahaarah. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 502. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 187. Sunan-e-Nasayi hadith no: 187. Musnad-e-Ahmad 6 / 210. Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 139. Sunan-ul-Kubra Baihaqui 1 / 126. (2) SAHIH: Sahih Nasaayi hadith no: 160, Kitab-ut-tahaarah. Sahih Abu Daud hadith no: 707. Sunan-e-Nasayi hadith no: 10131. Hafiz Ibn-e-Hajar nay is ki sanad ko sahih kaha hai, ( Talkhees-ul-Habeer 1 / 229 ). (3) Sahih-ul-Muslim hadith no: 476, Kitab-us-salaah. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 3493. Sunan-ul-Kubra Baihaqui 1 / 127. (4) Tafseer Fat’h-ul-Qadeer 1 / 602. Taiseer-ul-ula-Al-Qadeer hadith no: 39331. Neel-ul-autaar 1 / 297. Talkhees-ul-Habeer 1 / 229. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.