(65) MAHAZ SHAK KI BINA PAR DOBARA WUZOO KARNA ZARURI NAHI
(65) MAHAZ SHAK KI BINA PAR DOBARA WUZOO KARNA ZARURI NAHI
Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” Jab tum mein say koi apnay pait mein hawa ki harkat mahsoos karay aur faisla karna mushkil ho jaye keh aya pait say koi cheez kharij huwi hai ya nahi ?
To aisi soorat mein:
” فلا يخرجن من المسجد حتى يسمع صوتا أو يجد ريحا “
” ( Wuzoo kay liye ) Masjid say bahir hargiz na niklay yahan tak keh awaz sun lay ya bad’boo mahsoos karay “(1).
Imam Nawawi ( رحمه الله ) raqam-e-taraaz hain keh is hadith say deen kay qawaid mein say aik azeem quidah hasil hota hai aur woh yeh hai keh:
” Har cheez apni asal par baqi rahti hai yahan tak keh us kay khilaf yaqeen-o-wusooq na ho jaye “
Aur shak-o-taraddud koi qabil-e-aitebaar cheez nahi hai. (2)
(1) Sahih-ul-Muslim hadith no: 362, Kitab-ul-haiz. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 177. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 75. Musnad-e-Ahmad 2 / 414. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 24, 27. (2) Sharah-ul-Muslim lin-nawawi 2 / 285. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.