(66). AAG PAR PAKI HUWI CHEEZ KHANAY SAY WUZOO NAHI TOOT’TA
(66)AAG PAR PAKI HUWI CHEEZ KHANAY SAY WUZOO NAHI TOOT’TA
(1) Sayyiduna Amar Ibn-e-Umayyah Zamuri ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Main nay Nabi ﷺ ko bakri kay kandhay ka gausht kaat kar kahtay huway dekha, phir namaz kay liye bulaya gaya to ap ﷺ khaday ho gaye aur chhuri ko phaink diya:
” و صلى و لم يتوضأ “
” Phir ap ﷺ nay namaz padhi lekin wuzoo nahi kiya “(3).
(2) Sayyiduna Jabir ( رضي الله عنه ) bayan kartay hain keh:
” كان آخر الأمرين من رسول الله ﷺ ترك الوضوء مما مست النار “
” Aag say paki huwi cheez khanay say wuzoo tarak kar dena hi ap ﷺ kay donon mu’aamilaat mein say aakhiri mu’aamilah tha “.(4)
In ahadith say woh tamam ahadith mansookh ho chuki hain jin mein aag par paki huwi cheez khanay say wuzoo karnay ka hukam hai, Jaisa keh aik hadith hai:
” توضؤو مما مست النار “
” Aag par paki huwi cheez kha kar wuzoo karo “.(5)
(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 208, Kitab-ul-wuzoo. Sahih-ul-Muslim hadith no: 355. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 490. Ibn-ul-Jarood hadith no: 23. Sharah Ma’aani-ul-asaar 1 / 66. Sunan-ul-Kubra Baihaqui 1 / 153. Sahih Ibn-e-Hibbaan 1141. Musnad-e-Ahmad 4 / 139. (2) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 177, Kitab-ut-tahaarah. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 192. Sunan-e-Nasayi hadith no: 108. Ibn-ul-Jarood hadith no: 24. Sharah Ma’aani-ul-asaar 1 / 67. Sunan-ul-Kubra Baihaqui 1 / 155. Imam Nawawi nay is hadith ko sahih qaraar diya hai, ( Sharah-ul-Muslim lin-nawawi 2 / 279 ). (3) Sahih-ul-Muslim hadith no: 352, Kitab-ul-haiz. Musnad-e-Ahmad 2 / 265. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 194. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 79. Sunan-e-Nasayi 1 / 106. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 485. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.