(67) QAHQAHA SAY WUZOO NAHI TOOT’TA
(67) QAHQAHA SAY WUZOO NAHI TOOT’TA:
Kiyonkeh is ki koi wazih daleel maujood nahi hai,
Aur jis riwaayat say istedlaal kartay huway Qahqaha ko naaqiz-e-wuzoo shumaar kiya jata hai woh za’eef hai,
Jaisa keh Sayyiduna Abu Moosa ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh aik martabah Rasoolullah ﷺ logon ko namaz padha rahay thay keh aik aadimi ( jis ko ankhon mein takleef thi ) masjid mein dakhil hotay waqat gadhay mein gir gaya, Yeh dekh kar namaz mein log bohot ziyadah hansnay lagay to Nabi ﷺ nay hukam farmaya:
” من ضحك أن يعيدوالوضوء والصلاة “
” Jo hansay hain woh wuzoo aur namaz dohrayen “.(1)
Is kay ilawah is ma’aana ki deegar tamam ahadith bhi za’eef-o-na’qabil-e-ehtijaj hain.(2)
(1) Majma-uz-zawaaid 1 / 246. Is ki sanad munqati’e hai, Jaisa keh Shaikh Mohammed Sob’hi Hasan Hallaq nay bayan kiya hai keh: Abu-ul-Aaliyah ka Sayyiduna Abu Moosa say sima ( sun’na ) saabit nahi hai, Lihazah yeh hadith za’eef hai, ( Al-taaleeq ala Al-sail-ul-jaraar 1 / 264 ). Is kay sath sath is ki sanad mein Abdul Malik Ibn-e-Marwan Ibn-e-Hakam Abu Jaafar Waasti Daqeequi Raawi ” mukhtalaf feeh ” hai, ( Meezan-ul-Aitedaal 3 / 232 ). (2) Al-sail-ul-jaraar 1 / 100, 101. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.