(70) JIN AF’AAL KAY LIYE WUZOO KARNA MUSTAHAB HAI
(70) JIN AF’AAL KAY LIYE WUZOO KARNA MUSTAHAB HAI:
(1) ZIKRULLAH KAY LIYE:
Jaisa keh Sayyiduna Muhajir Ibn-e-Qunfuz ( رضي الله عنه ) say marwi riwaayat mein hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إني كرهت أن أذكرالله إلا على طهر “
” Mujhay yeh baat na pasand hai keh maim Allah ka zikar karon magar siraf paaki ki haalat mein.(1)
(2) HAR HADAS KAY WAQAT:
Sayyiduna Buraidah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay aik din subha kay waqat Sayyiduna Bilal ko bulaya aur farmaya:
Aye Bilal ! Kis amal ki wajah say tu mujh say jannat mein sabqat lay gaya hai ?
Beshak guzishtah raat jab main jannat mein dakhil huwa to main nay apnay samnay tumharay chalnay ki awaz suni.
Sayyiduna Bilal ( رضي الله عنه ) nay araz kiya:
Aye Allah kay Rasool ﷺ !
Main nay hamaishah azan denay ka baad 2 rakaat ada ki hain,
” ولا أصابني حدث قط إلا يتوضأت عنده “
” Aur jab bhi be’wuzoo huwa ussi waqat wuzoo kar liya “
To ap ﷺ nay farmaya: Issi kay badlay…! ( Tumhari awaz mujhay jannat mein sunayi gayi ).(2)
(3) GHUSAL-E-JANABAT SAY PAHLAY:
Jaisa keh Sayyidah Ayeshah ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ jab ghusal-e-janabat ka iradah farmatay to pahlay apnay haath dhautay,
” ثم توضأ كما يتوضا للصلاة “
” Phir ap ﷺ ussi tarah wuzoo kartay jis tarah namaz kay liye wuzoo kartay thay “.(3)
(4) SAUNAY SAY PAHLAY:
Sayyiduna Bara Ibn-e-Aazib ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay mujhay irshad farmaya:
” إذا أتيت مضجعك فتوضأ وضوئك للصلاة “
” Jab tum apnay bistar par laitnay ka iradah karo to namaz kay wuzoo ki tarah wuzoo kar liya karo “.(4)
(5) HAALAT-E-JANABAT MEIN KHANAY YA SAUNAY SAY PAHLAY:
Sayyidah Ayeshah ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ haalat-e-janabat mein kuch khana chahtay ya saunay ka iradah farmatay to wuzoo kar letay.(5)
(6) AIK HI RAAT MEIN DUSRI MARTABAH MUBASHIRAT SAY PAHLAY:
Sayyiduna Abu Saeed Khudri ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
Jab tum mein say koi apni ahliyah say mubashirat-o-hum bistiri karay, phir dobara lautnay ( jima karnay ) ka iradah karay to usay wuzoo kar lena chahiye.(6)
(7) MAYYAT KO UTHANAY KI WAJAH SAY:
Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” من غسل ميتا فليغتسل ومن حمله فليتوضأ “
” Jo mayyat ko ghusal day woh ghusal karay aur jo usay uthaye woh wuzoo karay “.(7)
Is hadith ki mazeed wazahat ” Baab-ul-Ghusal ” kay bayan mein aaye gi.
(8) QAYE KAY BAAD:
Jaisa keh Sayyiduna Abu Darda ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh:
” أن النبي قاء فتوضأ “
” Nabi ﷺ nay Qaye ki to wuzoo kar liya “.(8)
(1) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 13, Kitab-ut-tahaarah. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 17. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 350. Sunan-e-Nasayi 1 / 37. Musnad-e-Ahmad 4 / 354. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 206. Sahih Ibn-e-Hibbaan hadith no: 189. Sharah Ma’aani-ul-asaar 1 / 85. Tabrani Kabeer hadith no: 781. (2) SAHIH: Sahih Al-targheeb hadith no: 201, Kitab-ut-tahaarah. Musnad-e-Ahmad 5 / 360. (3) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 248, Kitab-ul-ghusal. (4) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 247, Kitab-ul-wuzoo. (5) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 224, Kitab-ut-tahaarah. Sahih-ul-Muslim hadith no: 305. Sunan-e-Nasayi 1 / 138. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 591. Sahih Abu Daud hadith no: 208. (6) Sahih-ul-Muslim hadith no: 308, Kitab-ul-haiz. Musnad-e-Ahmad 3 / 28. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 220. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 141. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 587. Mustadrak Hakim 1 / 152. Sunan-ul-Kubra Baihaqui 1 / 204. (7) SAHIH: Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 144. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 993, Kitab-ul-janaaiz. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 1463. Musannaf Abdul Razzaque hadith no: 6111. (8) SAHIH: Sahih Tirmazi hadith no: 76, Kitab-ut-tahaarah. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.