Search
Sections
< All Topics
Print

(71) TILAWAT-E-QURAN BA’GHAIR WUZOO BHI DORUST HAI

(71) TILAWAT-E-QURAN BA’GHAIR WUZOO BHI DORUST HAI

 

 

(1)Sayyiduna Ibn-e-Abbas ( رضي الله عنهما ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ so rahay thay yahan tak keh jab ap ﷺ baidaar huway to apni ankhon ko haath say saaf kiya:

” و قرأ العشرالآيات الخواتم من سورة آل عمران ثم قام إلى شن معلقة فتوضأ منها فأحسن الوضوء ثم قام يصلي “

” Aur surah Aal Imran ki aakhiri das (10) ayaat tilawat farmayi phir latjay huway mashkizay ki taraf badhay aur wuzoo kiya phir namaz shuroo kar di “.(1)

Is hadith par Imam Bukhari ( رحمه الله ) nay ye baab qaaim kiya hai:

” باب: قرأة القرآن بعدالحدث وغيره “

” Be’wuzoo honay kay baad Quran majeed ki tilawat karna “

 

Maloom huwa keh be’wuzoo honay kay ba’wajood insaan tilawat-e-quran kar sakta hai,

Is kay ilawah mandarjah-e-zail hadith say bhi is ka isharah milta hai:

 

(2) Sayyidah Ayeshah ( رضي الله عنها )  say marwi hai keh:

كان رسول الله ﷺ يذكرالله على كل أحيانه “

” Rasoolullah ﷺ har waqat Allah ta’ala ka zikar kartay rahtay thay “.(2)




(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 183,

Kitab-ul-wuzoo.

Sahih-ul-Muslim hadith no: 1274.


(2) Sahih-ul-Muslim hadith no: 373,

Kitab-ul-haiz.

Sahih-ul-Bukhari ( taaleeqan ) 1 / 305.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 18.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 3384.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 302.

Sunan-ul-Kubra Baihaqui 1 / 90.

Musnad-e-Ahmad 6 / 70.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 207.

Sharah-us-Sunnah 1 / 361.

Musnad-e-Abi Yaala hadith no: 4699

 

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

 

 

Table of Contents