14 ALLAH AUR RASOOL PAR JHOOT BOLNA [Lying about Allah & his messenger (ﷺ)]
Allah عزوجل aur us kay Rasul (ﷺ) par jhoot bolna:
Allah عزوجل ne farmaya:
وَيَوْمَ الْقِيامَةِ تَرَى الَّذِينَ كَذَبُوا عَلَى اللَّهِ وُجُوهُهُمْ مُسْوَدَّةٌ
“Aur Qayamat kay din aap un logon ko dekhenge jinhon ne Allah par jhoot bandha hoga, keh un kay chehre siyah honge”
Hasan Basri ne farmaya keh in se murad woh log hain jo kehte hain:
“Agar ham ne chaha tou ham ne kia aur agar ham ne na chaha tou ham ne ne kia”
Ibne Jauzi ne apni Tafseer mein kaha: ulama ki ek jama’t ka khayal hai keh Allah aur us kay Rasul (ﷺ) par jhoot bandhna kufur hai, Jo keh millate islamia se kharij kar deta hai, dusri Millat (kufur) ki taraf muntaqil kar deta hai aur is mein koi shak nahin keh Allah aur us kay Rasul par, halal ko Haram karne aur Haram ko halal karne kay baare mein jhoot bolna , khalis kufur hai, jab keh is kay elawa jhoot bolne ki alag hesiat hai.
Aur Aap ﷺ ne farmaya:
“Jis shakhs ne mujh par jhoot bandha, us kay lie Jahannum mein Ghar bana dia jata hai” [Bukhari wa Muslim]
Aur Aap ﷺ ne farmaya:
“Jo shakhs amadan mujh par jhoot bole tou woh apna thikana Jahannum mein bana le”
Jo shakhs amadan mujh se koi Hadith riwayat kare, aur use pata ho keh woh jhoot hai, tou woh bhi ek jhoota shakhs hai [Muslim]
Aur Aap ﷺ ne farmaya:
“Yaqeenan mujh par jhoot bolna mere elawa kisi aur par jhoot bolne ki tarah nahin, Jo shakhs
Mujh par jhoot bole tou woh apna thikana Jahannum mein bana le ” [Bukhari: 1291; Muslim: 4]
Neez aapﷺ ne farmaya :
“Jo shakhs Meri taraf (nisbat) se koi bat bayan kare, Jo main ne na ki ho tou woh apna thikana Jahannum mein bana le ” [Ahmad 297/5]
Aur aap ﷺ ne farmaya:
“Momin khayanat aur jhoot ka irtikab nahin kar sakta” [Bazar; Abu Y’ala]