33. AURTON AUR MARDON KA BAHEMI MUSHABIHAT IKHTIYAR KARNA [Women looking like men & men looking like women]
AURTON KA MARDON SE AUR MARDON KA AURTON SE MUSHABIHAT KARNA:
RasullAllah ﷺ ne farmaya:
“Allah mardon se mushabihat karne wali aurton aur aurton se mushabihat karne wale mardon par la’anat farmae” [Bukhari; Abu Dawood]
Aur aik riwayat mein hai:
“Allah mardon se mushabihat karne wali aurton par la’anat farmae ” [Abu Dawood: 4099]
Aur aik riwayat mein farmaya:
“Allah ki la’anat ho un mukhannason par jo mardon se mushabihat karte hain aur un aurton par jo mardon se mushabihat karti hain ” [Bukhari: 5886]
Ya’ani woh aurten jo libas aur andaze guftugu mein mardon se mushabihat karti hain
Abu Hurairah رضي الله عنه bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne farmaya:
“Allah us aurat par la’anat farmae jo mard ka libas pehenti hai aur us mard par la’anat farmae jo aurat ka libas pehenta hai “ [Abu Dawood: 4098]
Jab aurat khule gireban aur tang aasteenon wala mardon ka sa libas pehenti hai tou woh mardon se un kay libas mein mushabihat karti hai, pas woh Allah aur us kay Rasul ki la’anat ka shikar hojati hai aur jab uska khawand use aisa karne ka ikhtiyar deta hai aur us par razi hota hai aur use mana nahin karta tou phir woh bhi uska mustahiq theherta hai kyun keh woh usko Allah ki ita’at karne aur uski ma’siat se rokne ka paband karne par mamoor hai, Allah ta’ala ka farman hai:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ قُوٓا۟ أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا وَقُودُهَا ٱلنَّاسُ وَٱلْحِجَارَةُ عَلَيْهَا مَلَٰٓئِكَةٌ غِلَاظٌ شِدَادٌ لَّا يَعْصُونَ ٱللَّهَ مَآ أَمَرَهُمْ وَيَفْعَلُونَ مَا يُؤْمَرُونَ۞
“Apne aap ko aur apne ehlo ayal ko us aag se bachao jiska eendhan insan aur pathar honge”
At-Tahrim 66: 6
Ya’ani unko adab sikhao, unhen ta’leem do aur unhen Allah ki ita’at ka hukum do aur unhen Allah ki ma’siat se mana’ karo jesa keh yeh tumhare apne baare mein wajib hai aur Nabi ﷺ ka farman bhi hai:
“Tum sab zimmedar ho aur tum sab apni ra’iyat kay baare mein jawab deh ho, aadmi apne ehel ka zimmedar hai aur woh un kay baare mein Roz-e-Qayamat jawab deh hai” [Bukhari; Muslim]
Aur Nabi ﷺ se marwi hai keh aap ne farmaya:
“Sun lo! Mardon ne jab aurton ki ita’at ki tou woh halak hogae” [Muslim]
Hasan Basri ne farmaya: Allah ki Qasam! Jis roz bandah apni aurat ki khuwahish ki itteba’ karta hai tou Allah ta’ala use Jahannum mein aundha dalega
Aur aap ﷺ ne farmaya:
“Jahannumion ki do qismen aisi hain jo main ne nahin dekhi, woh log keh un kay pas gaey ki dumon jese kaure honge jin kay sath woh logon ki pitai karte honge aur woh aurten jo libas pehenne kay bawajud barhana hongi, maail karne walian ya maail hone walian, un kay sar bukhti oonton ki kohan ki tarah honge woh jannat mein dakhil hongi na uski khushbu paa sakengi halan keh uski khushbu tou itni itni musafat se ajati hai” [Muslim: 2128]
كاسيات
“Libas pehne hue” ya’ani Allah ki nai’maton se
عاريات
Us kay shukar adaa karne se aari, aur yeh bhi kaha gaya hai keh isse murad hai keh aurat bareek kapre pehne jisse us kay badan ka rang bhi zahir ho
مائلات
Is kay baare mein kaha gaya hai Allah ki ita’at aur jiski hifazat karna un par lazim hai usse airaz karna
مميلات
Ya’ani woh apne elawa kisi aur ko mazmoom fail ki ta’leem deti hain aur yeh bhi kaha gaya hai apne kandhon ko hila kar chalne walian aur yeh bhi kaha gaya hai maail hone walian se murad hai baalon ka style is tarah banana jese zania aurton ka hota hai aur مميلات jo isi andaz se apne elawa dusri aurton kay baal sanwarti hain
“Un kay sar bukhti oonton ki kohanon ki tarah honge “
Ya’ani woh amama ya pagri bandh kar unhen bara kar leti hain
Nafe’ bayan karte hain: Ibne Umar aur Abdullah bin Amr رضي الله عنهما , Zubair bin Abdul muttalib kay pas the keh itne mein aik aurat kandhe par kaman rakhe hue, bakrian charati hui samne ai tou tou Abdullah bin Amr ne farmaya: kia tum mard ho ya aurat? Us ne jawab dia: aurat, tab woh Ibne Umar ki taraf mutawajja hue aur farmaya: Allah ta’ala ne apne Nabi ﷺ ki zaban par, mardon se mushabihat karne wali aurton aur aurton se mushabihat karne wale mardon par la’anat farmai hai
Naqab kay neeche se sone, jawahirat aur zeenat ka izhar karna aise af’aal hain jo aurat kay lie la’anat ka baa’is hain, is kay elawa jab woh kastoori, ambar aur dusri qisam ki khushbu laga kar bahar nikalti hai aur uska rangeen, reshmi libas, chote choghe, lambe kapre, mukhtasar yeh keh woh jadeed fasiony libas meib nikalti hai aur yeh us banao singhar aur zeenat se muta’alliq hai jis par Allah naraz hota hai aur woh us kay faa’il par dunia wa akhirat mein naraz hota hai aur yeh woh af’aal hain jo aksar aurton par ghalib hain, Nabi ﷺ ne in kay baare mein farmaya:
“Main ne Jahannum mein jhank kar dekha tou us mein aksariat aurton ki thi” [Bukhari; Muslim]
Aur aap ﷺ ne farmaya:
“Mere ba’ad mardon kay lie sab se ziada nuqsan deh fitna aurton ka hoga”
Pas ham Allah se darkhwast karte hain keh woh apne fazlo Karam se hamen in kay fitness se mehfuz rakhe, neez hamari aur unki islah farma de
NASEEHAT;
Ibne Adam! Goya keh tu maut kay sath hai, woh achanak tujh par dhawa bolegi aur woh tujhe pehli qomon kay sath ja milaegi, woh tujhe tanhai aur tareeki kay ghar mein muntaqil kar degi aur phir murdon kay jatthe mein le jaegi jahan tu khaima zan hoga, tu ne jo maal jama’ kia aur tu ne jo maamlat tarteeb die unse tujhe juda kar degi, tum kasrate amwal aur quwwate khidam se use hata nahin sakoge
Zindagi mein tafreet karne par tujhe intihai nadamat hogi, us ankh kay lie afsos hai jo soti hai halan keh uska talib tou nahin sota, jis cheez se tumhen daraya dhamkaya jaraha hai tum usse kab daroge? Tum apne dil mein khauf ki aag kab sulgaoge aur us mein sulgoge? Kab tak teri naikian muzmahil aur teri buraion ki tajdeed hoti rahegi? Waa’iz ki zajaro taubeekh kab tak tumhen nahin hilaegi? Tu kab tak futooro kotahi mein sargardan rahega? Us din se kab darega jab jisam ki jild bolegi aur gawahi degi? Tum la faani cheez kay husool ki khatir faank cheez ko kab tark karoge? Bahro jadd mein khaufo umeed ka jhonka tujhe kab hilaega? Tu rat ko jab keh woh chaa jae, qiyam karne wala kab banega? Woh log Kahan hain jinhon ne tanhai mien apne maula kay lie Amal kia aur unhon ne Raat ki tareeki mein qiyam aur rukoo’o sujood kia, woh waqte sehet mein us (Allah ta’ala) kay darwaze ki taraf barhe aur hazri di, unhon ne dinon ki garmi aur tapish mein roze rakhe, sabar kia aur jaddo jehed ki, woh ja chuke , tu janasheen ban gaya aur unhon ne jo kuch paya tha tu ne use kho dia tu un kay peeche reh gaya tu unhen mil nahin sakta, woh tou bohot dur nikal gae
يا نامم الليل متى ترقد
قم يا حبيبي قد دنا الموعد
من نام حتى ينقضی لیله
لم يبلغ المنزل أو يجهد
فقل لذوى الألباب أهل التقى
قنطرة العرض لكم موعد
“Rat ko sone wale! Tu kab baidar hoga? Mere Habib! Uth, waqte wadah qareeb aa pohoncha”
“Jo shakhs raat bhar soya raha woh manzil nahin paa sakta khuwah woh koshish bhi karta rahe”
“Pas aqalmand wa ehle taqwa se keh do, tum se baish baha nai’maton ka wadah hai”
REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.