44. LA’AN WA TA’AN KARNA [Cursing]
LA’ANAT KARNA:
Nabi ﷺ ne farmaya:
“Musalman ko gaali dena fisq aur us se larai jhagra karna kufur hai” [Bukhari: 6044; Muslim: 64]
Aur Aap ﷺ ne farmaya:
“Momin ko la’anat karna usko qatal karne ki manind hai” [Bukhari: 6044; Muslim: 110]
RasullAllah ﷺ se marwi hai keh aap ne farmaya:
“La’anat karne wale Qayamat kay din sifarish kar sakenge na gawahi de sakenge” [Muslim: 2598]
Aur Aap ne farmaya:
“Kisi sache aadmi ki yeh shaan nahin keh woh la’anat karne wala ho” [Muslim: 2597]
Aur hadith mein hai:
“Momin ta’an karne wala hota hai na la’anat karne wala aur na hi fohosh go hota hai na bad kalam” [Tirmidhi: 1977]
RasullAllah ﷺ ne farmaya:
“Jab bandah kisi cheez par la’anat karta hai tou la’anat aasman ki taraf buland hoti hai tou us kay aage aasman kay darwaze band kar die jate hain, phir woh daaen baaen jati hai, jab woh koi Rasta nahin paati tou us shakhs ki taraf laut’ti hai jise la’anat ki gai bashart yeh keh woh uska ehel ho, warna woh us kay qaail ki taraf laut aati hai” [ Abu Dawood: 4905]
Aur Nabi ﷺ ne us aurat ko saza di jis ne apni oontni par la’anat ki thi woh is tarah keh aap ne usse wohi oontni salb kar li.
Imran bin Hussain bayan karte hain: RasullAllah ﷺ kisi safar par the aur ansaar ki aurat oontni par sawar thi woh (oontni) mushaqqat ki wajah se chillai tou us aurat ne us par la’anat ki , RasullAllah ﷺ ne use suna tou farmaya: jo kuch is par hai use lelo aur is (oontni) ko chor do kyun keh woh mal’oonah hai, Imran bayan karte hain goya keh main ab use logon kay darmian chalte hue dekh raha hun aur koi bhi use (sawari) paish nahin kar raha. [Muslim: 2595]
Abu Hurairah Nabi ﷺ se riwayat karte hain aap ne farmaya: ” sab se bari ziadti aadmi ka apne musalman Bhai ki izzat par dast darazi karna hai” [Abu Dawood: 4877]
“Umar bin Qais bayan karte hain: jab aadmi apni sawari par sawar hota hai tou woh kehti hai: ae Allah! Isko mujh par narmi karne wala rehem karne wala bana de tou jab woh us par la’anat karta hai tou woh kehti hai: ham mein se jo Allah aur us kay Rasul ka nafarman hai , us par Allah عزوجل ki la’anat ho”
FASAL:
Gunahgaron par kisi ta’yeeno ta’reef kay bagher la’anat karne ka jawaz: Allah ta’ala ne farmaya:
أَلَا لَعْنَةُ ٱللَّهِ عَلَى ٱلظَّٰلِمِينَ۞
“Sun lo keh zalimon par Allah ki la’anat hai”
Hud 11 : 18
Aur farmaya:
فَمَنْ حَآجَّكَ فِيهِ مِنۢ بَعْدِ مَا جَآءَكَ مِنَ ٱلْعِلْمِ فَقُلْ تَعَالَوْا۟ نَدْعُ أَبْنَآءَنَا وَأَبْنَآءَكُمْ وَنِسَآءَنَا وَنِسَآءَكُمْ وَأَنفُسَنَا وَأَنفُسَكُمْ ثُمَّ نَبْتَهِلْ فَنَجْعَل لَّعْنَتَ ٱللَّهِ عَلَى ٱلْكَٰذِبِينَ۞
“Phir ham aajizi se Dua karen aur jhooton par Allah ki la’anat karen”
Al Imran 3 : 61
Aur RasullAllah ﷺ se sabit hai keh aap ne farmaya:
“Allah Sood khane wale’ us kay khilane wale’ us kay gawah aur us kay kaatib par lanat farmae.”
Aur Aap ﷺ ne farmaya:
“Allah halala karne wale aur jis jis kay liye halala kiya jae par lanat farmae.”
Aur Aap ﷺ ne farmaya:
“Allah baal milane wali aur jis kay liye baal joore aur milae jaen par’ godne wali aur godane wali par aur palkhen bareek karne wali aur karane wali par lanat farmae.”
Aur Aap ﷺ ne musibat kay waqt awaz buland karne wali’ musibat kay waqt apne baal mondne wali aur musibat kay waqt apne kapre pharne wali par lanat farmai aur Aap ﷺ ne masoron par lanat farmai aur Ap ne Zameen ki hudood tabdeel karne wale par lanat farmai aur Ap ﷺ ne farmaya:
“Allah us shakhs par lanat farmae jo apne Walden par lanat kare aur jo shakhs apni maan ko gaali de Allah us par lanat kare.”
Aur Ap ﷺ ne farmaya:
“Allah us shakhs par lanat kare jo kisi nabeena shakhs ko raah se be raah kar de’ Allah jo chopae se bad faili karne wale par lanat farmae aur Allah qoum e Loot ka sa amal karne wale par’ lanat farmae.”
Aur ye keh Ap ne us shakhs par lanat farmai jo kisi kaahin najoomi kay pas jae ya us ne apni biwi ki peeth mein jam’a kiya’ Ap ne Nooha karne wali aur us kay aas pas walion par lanat ki.
Ap ne aise shakhs par lanat farmai jo logon ki imamat karae jabkeh wo usse na passand karte hun’ Allah us aurat par lanat farmae jo is haal mein raat guzar de keh us ka khawand us par naraz ho. Ap ne us admi par lanat farmai jo
(( *حى على الصلاة اور حى على الفلاح* ))
sune aur phir Namaz kay liye na aae. Ap ne Allah kay siwa kisi aur kay liye zibah karne wale par lanat ki’
Ap ne Sahabah ko gaali dene wale par lanat ki’ Ap ne makhnason se mushabihat karne wale mardon aur mardon se mushabihat karne wali auraton par lanat farmai aur auraton se mushabihat ikhtiyar karne wale mardon aur mardon se mushabihat karne wali auraton par lanat farmai. Ap ne mardon ka sa libaas pehn’ne wali auraton aur auraton ka sa libaas pehn’ne wale mardon par lanat farmai. Ap ne logon kay raste par rafa’e hajat karne wale par lanat farmai’ Ap ne apne hathon par mehndi aur ankhon mein surma na lagane wali par lanat farmai. Ap ne us shakhs par lanat farmai jo aurat ko us kay khawand kay khilaf ya ghulam ko us kay malik kay khilaf behkae aur uksae. Ap ne haiza se jam’a karne wale ya aurat ki peeth mein jam’a karne wale par lanat farmai. Ap ne us shakhs par lanat farmai jo asliha kay sath apne bhai ki taraf ishara karta hai.
Ap ne Man’een zakat o sadqa par lanat farmai Ap ne us shakhs par lanat farmai jo apn ap ko Apne baap kay ilawa kisi aur ki taraf mansoob kare ya koi ghulam apne ap ko’ Apne malik kay ilawa kisi aur ki taraf mansoob kare ya koi ghulam apne ap ko’Apne malik kay ilawa kisi aur ki touliyat mein de de. Ap ne us shakhs par lanat farmai jo choupae ko us kay chehre par dhaag de. Jab mamile Hakim kay pas puhnch jae tou phir sifarish karne wale aur sifarish qubool karne wale par lanat ho. Ap ne apne khawand ki ijazat kay bagher apne ghar se jane wali aurat par lanat farmai. Ap ne us par lanat farmai jo apne khawand kay bistar se alag raat basar kare hatta keh wo palat aae. Ap ne us shakhs par lanat farmai jo ikhtiyar hone kay bawajood naiki ka hukum karna aur burai se rokna tark kar de. Ap ne qoum e Loot ka sa amal karne wale aur jis se ye amal karne wale aur jis se ye amal kiya jae par lanat farmai hai. Ap ne sharab’ sharab noshi’ us kay saaqi’ us kay peeen wale’ us kay bechne wale’ us kay khareedar. Us ka ras nikalne wale aur jis kay liye ras nikala gaya ho’ us kay uthane wale’ aur jis kay liye uthai gai’ us ki qeemat khane wale aur us ki dalalat karne wale par lanat farmai hai.
Aap ﷺ ne farmaya:
“Che qisam kay log hain’ main ne un par lanat ki’ Allah ne un par lanat ki. Aur har Nabi mujab Da’wat hota hai Allah ki kitaab mein izafa karne wala’ jabr o quwat kay zare’a tassalut hasil karne wale par takeh wo us shakhs ko izzat bakhshe’ jis ko Allah ne Zaleel kar diya hai aur us shakhs jo Zaleel karne ki koshish kare jis ko Allah ne Aziz bana diya hai. Allah kay haram ko halal qarar dene wala’ aur meri aulaad mein se jis ko Allah ne haram qarar diya hai’ us ko halal samajhne wala’ meri sunnat ko tark karne wala’ apne parhosi ki biwi se zinna karne wale par lanat farmai’ masht zinni karne wale par lanat farmai. Ap ne maan aur us ki beti se nikah karne wale par lanat farmai hukum kay mamile par rishwat dene wale’ rishwat lene wale aur un donon kay darmiyan koshish karne wale par lanat farmai. Ap ne ilm chupane wale’ ghalla zakheera karne wale aur Musalman ko tanha chor kar us ki madad na karne wale par lanat farmai. Ap ne waali o sarbarah par lanat farmai jab un mein Rehmat na ho. Ap ne kinara kashi ikhtiyar karne wale mardon par lanat farmai jo kehte hain keh ham shadi nahi karenge. Ap ne un auraton par lanat farmai jo ( ibadat ki khatir) shadi nahi kartin’ ap ne jungle o bayaban mein akele safar karne wale par lanat farmai’ ham Allah se us ki aur us kay Rasool ﷺ ki lanat se panah chahte hain.”
FASAL:
Jaan lijiye keh paak daman Musalman par lanat karna’ Musalmanon kay ijm’a ki ro se haram hai.
Mazmoom ausaaf kay hamil afrad par lanat karna jaaiz hai jaisa keh Allah zalimon par lanat kare’ Allah kafiron par lanat kare’ Allah Yahood o Nasara par lanat kare aur issi tarah jaisa keh bayan ho chuka hai behr haal kisi Mueen shakhs ko us kay kisi gunah se mousoof hone ki waja se lanat karna jaise Yahoodi ya Essai ya zalim ya zaani ya chour ya Sood khour. Pas zawahir Hadith se maloom hota hai keh wo ( lanat karna) haram nahi.
Ghazali رحه ne us ki tehreem ki taraf ishara kiya hai siwae us shakhs kay bare mein jis ko Ham jante hen keh wo halat e kufur par faut hua hai. Jaisa keh Abu Lahab’ Abu Jahl’ Firoon’ Haaman aur un jaise
Unho ne farmaya: kyun keh La’anat wo Allah ki Rehmat se doori hai aur ham nahi jante keh us faasiq o kafir ka khatima kis cheez ( aqeede) par kiya jaega.
Farmaya: rahe wo log jin par RasullAllah ﷺ ne un kay ta’een kay sath la’anat jaisa keh Ap ne farmaya:
“Ae Allah! Ra’al o zakwan aur issiya par lanat farma’ unho ne Allah aur us kay Rasool ki nafarmani ki.”
Ye teen Arab qabeele hain” pas un par naam lekar lanat karna jaaiz hai. Is liye keh Ap ﷺ un ki kufur par maut waq’e hone ko jaan liya ho. Kisi insaan par bad Dua karna bhi lanat kay qareeb hai hatta keh zalim kay liye bad Dua karna jaisa keh insaan kahe: Allah us kay jisam ko sehat o tandrusti atta na farmae aur Allah usse salamat na rakhe aur jo us kay mushabe ho. Ye sab mazmoom hai. Issi taraf haiwanat wa jamadat par lanat karna mazmoom hai.
Ba’az Ulama ne kaha hai: jo shakhs kisi aise shakhs par lanat kare jo us lanat ka mustahiq na ho tou us ne ye kehne mein jaldi ki illa ye keh wo mustahiq na ho.
FASAL:
Naiki ka hukum karne wale aur burai se mana karne wale aur har adab sikhane wale kay liye jaaiz hai keh wo apne nukhatib ko is tarah kay alfaaz kahe: par afsoos’ Zaeef haal’ apna kam khayal rakhne wale’ apni jaan par zulm karne wale ya is tarah kay alfaaz bashart ye keh wo jhoot na ho nez us mein sarahat ya kinaya ishare mein tuhmat ka koi lafz na ho khuwah wo us mein saccha ho’ ham ne jo bayan kiya hai wo sirf jaaiz hai lekin is mein tadeeb aur zajr o toubekh madd e nazar ho aur kalam dil mein utar jane wala ho.
Wallahu A’lam
Ae Allah! Hamare Dilon ko apne siwa dosron se ta’aluq qaaim karne se mehfooz farma aur hamen is Qoum mein shamil farma jin se to muhabat karta hai aur wo tujh se muhabat karte hain. Hamari’ hamare Walden aur tamam Musalmanon ki maghfirat farma.
*NASEEHAT*
Kam zaad raae rakhne wale raste bohat dor daraz hai. Nuqsan da cheez ko ikhtiyar karne aur mufeed cheez ko tark karne wale! Tera kia khayal hai keh tujh par hidayat ka mamla nakhfi hai. Tum kab tak waqt zay’e karte rahoge halankeh wo hazir bash nigehban kay zare’a shumar kiya jaraha hai.
مضى امسك الماضي شهيدا معدلا
واعقبه يوم عليك شهيد
فإن كنت بالامس اساءة
قبادر باحسان وأنت حميد
ولا تبق فضل الصالحات إلي غد
فرقب غد ياتى وأنت فقيد
إذا ما المنايا أخطأتك و صادفت
حميمك فاعلم أنها ستعود
“Teri raat guzar kar maazi ka hissa ban gai lekin wo tujh par gawah hogi. Us kay ba’ad din agaya aur wo bhi tujh par gawah hoga.”
“Agar kal to ne kisi gunah ka irtikaab kiya tha tou phir naiki ki taraf jaldi kar is tarah keh to qabil ta’areef ban jae.”
“Naiki kay kamon ko kal tak kay liye na chor mumkin hai kal aae tou to na ho.”
“Jab maut ne tujhe chor kar tere dili dost ki jaan le li tou phir jaan rakh keh wo anqareeb phir aegi.”
REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.