Search
Sections
< All Topics
Print

69 & 70. SAHABA AUR AWLIYA ALLAH MEIN SE KISI KO GAALI DENA [Insulting one of the companions]

(69,70) SAHABAH رضوان الله عليهم اجمعين AUR AULIYA’ ALLAH رحمهم الله عليهم MEIN SE KISI KO GAALI DENA

 

Sahihain mein sabit hai keh RasullAllah ﷺ ne farmaya:

Allah ta’ala farmata hai:

“Jis ne mere kisi dost se dushmani ki tou main usse ai’lane Jang karta hun”

 

Aur Aap ﷺ ne farmaya:

“Mere Sahabah ko gaali na do, pas us zaat ki Qasam jis kay hath mein Meri jaan hai! Agar tum mein se koi ohod Pahar kay barabar Sona kharch kare tou woh un mein se kisi kay mudd (taqreeban 700 gram) ya us kay nisf (kharch karne) ko nahin pohonch sakta”

Aur Aap ﷺ ne farmaya:

“Mere Sahabah kay baare mein Allah se darte rehna, mere ba’ad unhen nishana na bana lena, pas jis ne un se muhabbat ki tou us ne meri muhabbat kay baa’is un se muhabbat ki, aur jis ne unse bughz rakha tou us ne mujhse bughz rakhne kay abas se unse bughz rakha, jis ne unhen takleef pohonchai tou us ne mujhe takleef pohonchai, jis ne mujhe takleef pohonchai tou us ne Allah ko takleef pohonchai aur jis ne Allah ko takleef pohonchai tou anqareeb Allah use pakar lega” [Tirmidhi]

Pas is aur is tarah ki ahadith mein us shakhs ki halat ka bayan hai jis ne RasullAllah ﷺ kay ba’ad unhen nishana banaya, unko gaali di, un par iftira bandha, un kay uyoob bayan kie, unki takfeer ki aur unki mukhalifat ki jasarat ki, aap ﷺ ka farman: ((الله الله))


Yeh kalimahe intibah hai, jis tarah aagah karne aur bachao ikhtiyar karne wala kehta hai: aag aag, ya’ani aag se bacho

Aap ka farman hai:

((لا تتخذوهم غرضا بعدى)) 

 

Ya’ani unko ta’no tashnee’ ka nishana na banana, jis tarah kia jata hai: fulan shakhs se ta’ano tashnee’ kay lie use nishana ya hadaf bana lia hai

Aap ka farman:

 

((فمن أحبهم فبحبى أحبهم ومن أبغضهم فببغضى أبغضهم))

 

Pas yeh un kay fazailo manaqib ki wajah se hai kyun keh sahaba ki muhabbat islie hai keh unhon ne RasullAllah ﷺ se musabihat ki sa’adat hasil ki, unhon ne apki Nusrat ki aap par iman lae, apko taqwiat pohonchai, apne amwal aur apni jaanon se ap se hamdardi wa Khair khuwahi ki, pas jis shakhs ne unse muhabbat ki tou goya us ne Nabi ﷺ se muhabbat ki, pas Nabi ﷺ kay sahaba se muhabbat, apki muhabbat ka unwan hai aur unse bughz rakhna aap se bughz rakhne ka unwan hai jesa keh sahih Hadith mein hai:

“Ansaar se muhabbat karna iman ka hissa hai aur un se bughz rakhna nifaaq ka hissa hai”

Woh is martabe par islie faaiz hue keh unhon ne Islam qubool karne mein sabqat ki aur RasullAllah ﷺ kay samne Allah kay dushmanon se jihad kia

Isi tarah Ali رضي الله عنه se muhabbat karna iman ka hissa hai aur un se bughz rakhna nifaaq ka hissa hai, jo shakhs Sahabah رضي الله عنهم kay ahwaal un kay akhlaqo kirdar, RasullAllah ﷺ ki hayate Mubarakah mein aur un ki wafaat kay ba’ad un kay aasar kay baare mein jo unhon ne iman lane mein musabiqat ki, kuffar se jihad kia, deen ki nashro isha’at ki, sha’aaire Islam kay izhar, Allah aur us kay Rasul ﷺ kay kalime ko buland karne aur us kay faraiz aur us ki sunan ki ta’leem mein Jane wali masaa’i par ghauro fikar aur tadabbur karta hai tou woh un kay fazail pehchan leta hai aur unka ai’teraf kar leta hai, aur agar woh na hote tou hamare pas deen ki asal pohonchti na furoo’ aur na hi ham faraizo sunan mein sunnat jante na farz aur na hi ham ahaditho akhbar kay baare mein kuch jante, pas jo shakhs un kay baare mein ta’an kare ya unhen bura bhala kahe tou woh deen se nikal jata hai aur musalmanon ki millat se alag hojata hai kyun keh ye ta’an tab hi hota hai jab un kay bura hone ka aqeeda ho , un kay Baare mein haqdo keena chupa rakha ho, aur Allah ta’ala ne apni kitab mein jo unki sana wa ta’reef bayan ki hai uska aur RasullAllah ﷺ ne jo unki ta’reef ki hai uska neez un kay fazailo manaqib aur unki muhabbat ka inkaar hai, aur islie keh woh ahaditho riwayat kay behtreen pasandeedah wasail hain, jabkeh wasail mein ta’an karna asal mein ta’an karne kay mutaradif hai, naqil ko haqeer janna manqool ko haqeer Janne kay mutaradif hai, aur yeh har us shakhs par zahir hai jo is par tadabbur kare aur woh apne aqeede mein nifaaq, zindeeqiat aur ilhaad se mehfuz ho, aur is baare mein jo ahaditho asaar manqool hain with tere lie kafi hain, jesa keh Nabi ﷺ ne farmaya:

Allah ne mujhe pasand farmaya aur in mein se mere wuzara wa ansaar aur azwaji rishtedar banae, pas jo shakhs unhen gaali de tou us par Allah, farishton aur tamam insanon ki la’anat hai, Allah Qayamat kay din uska nafil qubool karega na farz” [majma’uz zawaid]

Anas bin Malik رضي الله عنه bayan karte hain RasullAllah ﷺ kay sahaba mein se kuch logon ne kaha: hamen gaali di jati hai, tou RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Jo shakhs mere Sahabah ko gaali de us par Allah, farishton aur tamam insanon ki la’anat hai “

Anas bin Malik رضي الله عنه hi bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Allah ne mujhe pasand kia, mere lie mere Sahabah ko pasand kia aur mere sathi, Bhai aur azdawaji rishtedar banae, anqareeb in kay ba’ad kuch log aenge woh in kay uyoob bayan karenge aur inki tanqees karenge, pas un kay sath Khao na in kay sath piyo, un kay sath nikah karo na unki namaze janazah parho aur na hi un kay sath namaz parho” [Aqeeli ne az zu’afa mein naqal kia hai an Anas fee muntakhib kanzul umaal]

Ibne Mas’ood رضي الله عنهما bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Jab mere Sahabah ka zikar kia jae tou (apni zabanon ko) rok lo, jab sitaron ka zikar kia jae tou rok lo aur jab taqdeer ka zikar kia jae tou rok lo”

Ulama bayan karte hain: iska ma’aani hai keh makhlooq ki taqdeer kay raaz ki tehqeeqo tafteesh se zabanon ko rok lena , aur woh ya’ani zabanon ko rok lena Allah ta’ala kay hukum kay samne tasleemo iman ki alamat hai

Isi tarah sitare hain, jis shakhs ka yeh aqeedah ho keh Allah عزوجل kay irade kay elawa yeh bhi umoore kainat par asar Andaz hote hain tou woh Mushrik hai aur isi tarah jo shakhs RasullAllah ﷺ kay sahaba ki kisi tarah muzammat kare, unki khamian talash kare, un kay uyoob bayan kare aur unki kotahion ko unki taraf mansoob kare tou woh munafiq hai, balkeh har musalman par Allah aur us kay Rasul ﷺ ki muhabbat wajib hai, apki Lai hui sharee’at ki muhabbat, us shakhs ki muhabbat jo ap kay mission ko jari rakhta hai, us shakhs ki muhabbat jo aap ki aal , aap kay as’haab, apki azwaje mutahharat, apki aulad, aap kay ghulamon aur khadimon ki muhabbat aur jo shakhs unse muhabbat karta hai uski muhabbat aur jo shakhs unse bughz rakhta hai usse bughz rakhna har musalman par wajib hai kyun keh iman ka sab se mazboot kunda Allah ki khatir muhabbat karna aur Allah ki khatir bughz rakhna hai

Ayub Sukhtiyani ne farmaya: jis shakhs ne Abu Bakr رضي الله عنه se muhabbat ki tou us ne deen ki hudood qaim kin,jis ne Umar رضي الله عنه se muhabbat ki tou us ne raah wazeh ki jis ne Usman رضي الله عنه se muhabbat ki tou us ne Allah kay Noor se roshni hasil ki, jis ne Ali رضي الله عنه se muhabbat ki tou us ne aik mazboot halqe (kare, sahare) ko thaam lia aur RasullAllah ﷺ kay sahaba kay baare mein khairo bhalai ka aqeedah aur un kay muta’alliq husne zan rakhne wala nifaaq se bari hai

FASAL

Jahan tak sahaba kiram kay fazailo manaqib ka ta’alluq hai you woh bayan se kahin ziada hain, ulamae Sunnah ka ijmaa hai keh tamam sahaba kiraam se wo 10 sahaba sab se Afzal hain Jin kay jannati hone ki RasullAllah ﷺ ne gawahi di, aur un 10 mein se Abu Bakr, Umar bin khattab, phir Usman bin Affan aur phir Ali bin Abi Talib رضي الله عنهم اجمعين hain, is baare mein sirf mubtade’, munafiq aur khabees shakhs hi shak kar sakta hai

Nabi Akram ﷺ ne Irbaz bin Sariyah رضي الله عنه ki hadith mein tasreeh ki jab aap ne farmaya:

“Tum par Meri sunnat lazim hai aur mere ba’ad hidayat yafta khulafae rashdeen ki sunnat, isko daarhon kay sath (mazbooti se) pakar lo, aur bid’aat se bachi”

Khulafae rashdeen se murad Abu Bakr, Umar, Usman aur Ali رضي الله عنهم اجمعين hain, aur Allah ta’ala ne Abu Bakr رضي الله عنه kay fazail mein Qur’an majeed mein ayaat nazil farmai hain, Allah ta’ala ne farmaya:


.وَلَا يَأْتَلِ أُو۟لُوا۟ ٱلْفَضْلِ مِنكُمْ وَٱلسَّعَةِ أَن يُؤْتُوٓا۟ أُو۟لِى ٱلْقُرْبَىٰ وَٱلْمَسَٰكِينَ

 

“Aur tum mein se woh log jo sahibe fazal hain woh kahin rishtedaron aur masakeen ko kuch na dene ki Qasam na kha len”

An-Nur 24 : 22

Aur is mein koi ikhtilaf nahin keh yeh un kay baare mein hai, pas aap ki sifte fazal kay sath hai, رضوان الله عليه , Allah ta’ala ne farmaya:

ثَانِىَ ٱثْنَيْنِ إِذْ هُمَا فِى ٱلْغَارِ

 

“Do mein se aik aap the jabkeh woh donon ghaar mein the”

At-Tawba 9 : 40

Is mein bhi koi ikhtilaf nahin keh yeh ayat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه kay baare mein hai, unki musabihat ki gawahi Rabb ta’ala ne di hai, unko sakeenat ki basharat di aur “do mein se aik” keh kar unki khoobi bayan ki, jesa keh Umar bin khattab رضي الله عنه kaha karte the:

“Do mein se aik” se kon Afzal ho sakta hai? Allah un donon ka teesra hai

Aur Allah ta’ala ne farmaya:

وَٱلَّذِى جَآءَ بِٱلصِّدْقِ وَصَدَّقَ بِهِۦٓ ۙ أُو۟لَٰٓئِكَ هُمُ ٱلْمُتَّقُونَ۞

 

“Aur jo shakhs paigham laya aur jinhon ne uski tasdeeq ki yahi log muttaqi hain”

Az-Zumar 39 : 33

 

Ja’far Sadiq رحمه الله ne farmaya: is mein koi ikhtilaf nahin keh jo zaat paigham le kar aai woh RasullAllah ﷺ hai , aur jis ne uski tasdeeq ki woh Abu Bakr Saddique رضي الله عنه hain, un kay baare mein isse ziada kon si manqabat fazeelat ziada baleegh ho sakti hai?

رضي الله عنهم اجمعين ، وصلى الله على سيدنا محمد سيد المرسلين وامام المتقين و على آله وصحبه أجمعين

 

Kitab kay mu’allif Imam az Zahabi رحمه الله ne 70 kabeera gunahon ki nishan dahi ki hai, Allah ta’ala in mazkoorah aur in kay elawa deegar gunahon se bachne aur naik aa’mal karne ki taufeeq ataa farmae

لا حول ولا قوة إلا بالله

 

Allah ta’ala is kitab ko Urdu zaban mein paish karne ki haqeer si koshish ko qubool farmae, aur ise mu’allif, mutarjim, nashir aur deegar musalmanon kay lie sadqae jaria banae
آمين يارب العالمين

 

رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّاؕ اِنَّكَ اَنْتَ السَّمِیْعُ الْعَلِیْمُ۞

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

 

Table of Contents