Search
Sections
< All Topics
Print

12. Akhri Umr mein Ziyada se Ziyada Naikiya kare [Urging towards increasing Good Actions in later part of Life]

12 ـ باب الحث على الازدياد من الخير في أواخر العمر 

12. AKHRI UMAR MEIN ZIYADA SE ZIYADA NAIKIYAN KARNE KI TARGHEEB DAINAY KA BAYAN

 

قال الله تعالى: (أَوَلَمْ نُعَمِّرْكُمْ مَا يَتَذَكَّرُ فِيهِ مَنْ تَذَكَّرَ وَجَاءَكُمُ النَّذِيرُ) (فاطر: 37) ، 

قال ابن عباس والمحققون: معناه: أو لم نعمركم سنين سنة؟ ويؤيده الحديث الذي سنذكره إن شاء الله تعالى وقيل: معناه: ثماني عشرة سنة. وقيل: أربعين سنة. قاله الحسن والكلبي ومسروق، ونقل عن ابن عباس أيضاً. ونقلوا: أن أهل المدينة كانوا إذا بلغ أحدهم أربعين سنة تفرغ للعبادة: وقيل هو البلوغ. 

وقوله تعالى: (وَجَاءَكُمُ النَّذِيرُ) قال ابن عباس والجمهور: هو النبي صلى الله عليه وسلم. وقيل الشيب، وقاله عكرمة، وابن عيينة، وغيرهما. والله أعلم.

 

Allah taala ne farmaya :” kiya ham ne tumhen itni Umar nahi di thi ke us mein jo shakhs naseehat haasil karna chahta to naseehat haasil kar laita? aur tumhare paas ( yaad dehani ke liye ) darane wala ( allag ) aaya .”

 

Hazrat Ibn Abbas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا) aur Mohqiqeen ke nazdeek is ke maienay hain : kiya ham ne tumhen sath (60) saal ki Umar nahi di thi. aur is maienay ki taied is hadees se bhi hoti hai jisay ham aage zikar karen ge. In Sha Allah taala. baaz ne is ke maienay athaara (18) saal aur baaz ne chalees (40) saal kiye hain. yeh qoul Hazrat Hasan Basri ( mutwafi 110 hijri ) ka hai, ( Mohammad bin Saayib mutwafi 146 hijri ) aur Imam Masrooq ( mutwafi 63 hijri ) ka hai neez yeh qoul Ibn Abbas se bhi manqool hai. aur unhon ne naqal kiya hai ke Ahal Madinah mein se jab koi chalees (40) saal ki Umar ko pahonch jata to woh apne aap ko ibadat ke liye farigh kar laita. aur baaz ke nazdeek is se morad baloghat ki Umar hai. ( Umar baloghat aksar aymh ke nazdeek 15 saal hai. aur baaz ke nzd yak jab ihtehlam aana shuru ho jaye ). Hazrat Ibn Abbas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا) aur Jamhoor, Allah taala ke is farmaan” aur tumhare paas darane wala aaya” ke baray mein bayan karte hain ke is Nabi se morad Nabi ﷺ hain. aur Ikramah ( mutwafi 105 hijri ) aur Ibn Uyyena ( mutwafi 198 hijri ) waghera ke nazdeek is ke maienay budhapay ke hain. wallah aalm


 وأما الأحاديث :
112_فالأول: عن أبي هريرة ـ رضي الله عنه ـ عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: (أعذر الله إلى امرئ أخّر أجله حتى بلغ ستين سنة) رواه البخاري. 
قال العلماء: معناه: لم يترك له عذراً إذ أمهله هذه المدة. يقال: أعذر الرجل: إذا بلغ الغاية في العذر.



Ahadees darj zail hain : 

 

[ 112 ] Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai Nabi Kareem ﷺ  ne farmaya : “Allah taala ne us aadmi ke liye koi uzr baqi nahi chhoda jis ki mout ko us ne itna moakhar kar diya ke woh saath (60) saal ko pahonch gaya. ( Bukhari ) 

Ulama ne kaha hai : us ke maienay hain : jab usay itni muddat tak mohlat day di to us ke liye koi uzr nahi chhoda. 

أعذر الرجل:

us waqt kaha jata hai jab woh uzr mein intahaa ko pahonch jaye. 

 

TAKHREEJ :

 

Sahih ul-Bukhari, al-riqaq, babman balagh sitteena sanatan faqad aezara Allah ilaihi fil umr…, Hadees..6419

 

FAWAAID WA MASAIL: 

1-  Is se maloom huwa ke Allah taala itmam-e-Hujjat ke baghair kisi fard ya qoum ko saza nahi deta. dosra yeh maloom huwa ke jis ko saath (60)  saal ki Umar mili lekin imaan ke taqazay poooray karne se woh ghaafil raha to Allah taala ke azaab se chhutkarey ke liye us ke paas koi uzr nahi ho ga jisay woh paish kar sakay. 

2- Saath (60) saal ki Umar ke baad insaan ko ghaflat shiaari se baz aa jana chahiye kyunkay us ke baad mout ka waqt qareeb aa jata hai. mout to agar chay jawani mein bhi aaskati hai, taa ham jawani mein insaan ko phir bhi zindagi ki umeed hoti hai lekin saath (60) saal ke baad umeed zindagi aur phir badastoor fisq o Fajoor aur Allah ki nafarmani ka irtikaab to nihayat hi khatarnaak hai.


 أعاذنا الله منه.
113 ـ الثاني عن أبن عباس ـ رضي الله عنهما ـ قال: كان عمر رضي الله عنه ـ يدخلني مع أشياع بدر، فكأن بعضهم وجد في نفسه، فقال: لم يدخل هذا معنا ولنا أبناء مثله؟ فقال عمر: إنه من حيث علمتم، فدعاني ذات يوم فأدخلني معهم، فما رأيت إنه دعاني يومئذ إلا ليريهم، قال: ما تقولون في قول الله تعالى: (إِذَا جَاءَ نَصْرُ اللَّهِ وَالْفَتْحُ) (النصر: 1) ؟ فقال بعضهم: امرنا، نحمد الله ونستغفره إذا نصرنا وفتح علينا، وسكت بعضهم فلم يقل شيئاً. فقال لي: أكذلك تقول يا أبن عباس؟ فقلت: لا. قال: فما تقول؟ قلت: هو أجل رسول الله صلى الله عليه وسلم أعلمه له، قال: (إِذَا جَاءَ نَصْرُ اللَّهِ وَالْفَتْحُ) وذلك علامة أجلك: (فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ وَاسْتَغْفِرْهُ إِنَّهُ كَانَ تَوَّاباً) (النصر: 3) فقال عمر ـ رضي الله عنه ـ ما أعلم منها إلا ما تقول. رواه البخاري.

 

[ 113 ] Hazrat Ibn Abbas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا) se riwayat hai ke Hazrat Umar(رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) mujhe Badar mein shareek honay walay buzurig Sahaba ke sath apni majlis mein shareek farmatay. un mein se baaz ne goya is baat par nagwari mehsoos ki aur kaha : yeh hamaray sath kiyun shareek majlis hota hai jab ke is jaisay ( yani is ke ham Umar ) hamaray betay bhi hain ( jin ko bargaah khilafat mein baazyabi ka mauqa nahi diya jata? ) Hazrat Umar ne farmaya : Ibn Abbas ki hesiyat wa martabry ko tum jantay hi ho. chunanchay Hazrat Umar ne aik din mujhe bulaya aur un Shuyokh-e-Badar ke sath apni majlis mein shareek kiya. aur mera khayaal hai ke us din mujhe bulanay ka maqsad hi un ko ( meri hesiyat ) dikhlana tha. Hazrat Umar ne ( bator imthehaan ) shurakaye majlis se kaha : tum Allah ke is qoul : 

إذا جاء نصر الله و الفتح 

“jab Allah ki madad aur us ki fatah aajay….” ke mafhuum ke baray mein kiya kehte ho? baaz ne kaha : is mein hamein hukum diya gaya hai ke jab Allah hamari madad farmaiye aur hamein fatah se Sarfraz kar day to ham Allah ki hamd karen aur us se bakhshish mangeen. aur baaz un mein se khamosh rahay kuchh jawab nahi diya. chunanchay Hazrat Umar ne mujh se kaha : Ibn Abbas! to bhi isi terhan kehta hai? main ne kaha : nahi. aap ne farmaya : to kiya kehta hai? main ne kaha : is se morad Rasoolullah ﷺ  ki mout hai jis ki ittila Allah ne aap ko di hai.

 ( إذا جاء نصر الله و الفتح )

yeh aap ki mout ki alamat hai. Allah ne farmaya :” jab yeh fatah o nusrat aa jaye to ae paighambar! apne Rab ki tasbeeh is ki khoobiyon ke sath bayan kar aur us se ( apni lagzishon ki ) maffi maang yaqeenan woh bohat rujoo karne wala hai.” Hazrat Umar ne farmaya : is ke baray mein Mera ilim bhi wohi hai jo to bayan kar raha hai .( Bukhari )

 

TAKHREEJ :

 

Sahih ul-Bukhari, al Tafseer, baab qaulihi: 

فسبح بحمد ربك….

Hadees: 4970.

 

FAWAAID WA MASAIL:

 

(1) Insaan ki qader o qeemat mehez Umar ki zayad-ti se nahi balkay aqal o feham aur ilm o shaoor se hoti hai is liye aik khord saal bacha bhi apne husn feham aur wusat ilm ki wajah se apne zamane ke buzurgon ke muqablay mein Sabqat wa fazeelat haasil kar sakta hai. 

(2) Insaan ki mout ka waqt jab qareeb aa jaye to insaan ko chahiye ke Allah ki tasbeeh o Tehmid aur istaghfar kasrat se kere. zaheen bachon ki hosla afzai karni chahiye taakay un ki salahiyaton ko jala miley lekin agar ziyada protocol dainay se kisi ke bighdnay ke khadshaat hon to phir us se ijtinab karna chahiye .


114_ الثالث‏: ‏ عن عائشة رضي الله عنها قالت‏: ‏ ما صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم صلاة بعد أن نزلت عليه ‏{‏ إذا جاء نصر الله والفتح‏}‏ إلا يقول فيها‏: ‏ ‏”‏ سبحانك ربنا وبحمدك، اللهم اغفر لي‏”‏ ‏(‌‏(‏متفق عليه‏)‌‏)‌‏.‏
وفي رواية في الصحيحين‏”‏ عنها‏: ‏ كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يكثر أن يقول في ركوعه وسجوده‏: ‏ ‏”‏سبحانك اللهم ربنا وبحمدك، اللهم اغفر لي‏”‏ يتأول القرآن‏.‏
معنى [يتأول القرآن‏]، أي يعمل ما أمر به في القرآن في قوله تعالى: فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ وَاسْتَغْفِرْهُ ۚ إِنَّهُ كَانَ تَوَّابًا.[النصر:3].

 

وفي رواية لمسلم‏: ‏ كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يكثر أن يقول قبل أن يموت‏: ‏ ‏”‏سبحانك اللهم وبحمدك، أستغفرك وأتوب إليك‏”‌‏.‏ قالت عائشة‏: ‏ قلت‏: ‏ يا رسول الله! ما هذه الكلمات التي أراك أحدثتها تقولها‏؟‏ قال‏: ‏ ‏”‏جعلت لي علامة في أمتي إذا رأيتها قلتها ‏{‏إذا جاء نصر الله والفتح‏}‏ إلى آخر السورة‏”‌‏.‏
وفي رواية له‏: ‏ كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يكثر من قول‏: ‏ ‏”‏سبحان الله وبحمده، أستغفر الله وأتوب إليه‏”‌‏.‏ قالت‏: ‏ قلت‏: ‏ يا رسول الله‏!‏ أراك تكثر من قول‏: ‏ سبحان الله وبحمده، أستغفر الله وأتوب إليه‏؟‏ فقال‏: ‏ ‏”‏أخبرني ربي أني سأرى علامة في أمتي فإذا رأيتها أكثرت من قول‏: ‏ سبحان الله وبحمده، أستغفر الله وأتوب إليه، فقد رأيتها‏: ‏ ‏{‏إذا جاء نصر الله والفتح‏}‏ فتح مكة، ‏{‏ورأيت الناس يدخلون في دين الله أفواجاً، فسبح بحمد ربك واستغفره إنه كان تواباً‏}‌‏.‏”



(114)  Hazrat Aisha (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا)se riwayat hai ke 

إذا جاء نصر الله و الفتح 

ke nuzool ke baad Rasoolullah ﷺ ki apni har namaz mein yeh zaroor padhte thay : 

[ سبْحانك ربناۤ وبحمدك اللهم اغفرلی]

” pak hai to ae hamaray Rab! apni khoobiyon ke sath ae Allah ! mujhe bakhash day. ( Bukhari wa Muslim ) aur صحیحین ( Bukhari wa Muslim ) ki Hazrat Aisha (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا) se marwi aik aur riwayat mein hai. Rasoolullah ﷺ Qur’an ki taweel karte hue apne ruku aur sajdon mein aksar 

(سبحانك اللهم ربنا وبحمدك اللهم! اغفرلی )

padhte thay .

Qur’an ki taweel karte hue ka matlab hai : Quran ke hukum par amal karte hue, jo :

(فسبحْ بحمْد ربك واستغفره) النصر:3

mein hai .

aur Muslim ki aik riwayat mein hai. Rasoolullah ﷺ apni mout se qabal aksar yeh padha karte thay 

(سبحانك اللهم وبحمدك أستغفرك وأتوب إلیْك )

Hazrat Aisha farmaati hain, main ne kaha : aye Allah ke Rasool! yeh kiya kalmaat hain jinhen padhte hue main aap ko dekhatii hon? aap ne farmaya : mere liye meri ummat mein aik alamat muqarrar ki gayi hai ke jab mein usay daikhon to woh kalmaat padhon 

اذا جاء نصر الله و الفتح

aakhir sourat tak .

Sahih Muslim ki aik aur riwayat mein hai : Rasoolullah ﷺ aksar yeh padha karte thay : 

سبحان الله وبحمده اسْتغْفر الله وأتوب إلیه.

Hazrat Aisha (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا)farmaati hain main ne kaha : aye Allah ke Rasool! aap ko aksar main yeh dua padhte hue dekhatii hon : 

سْبحان الله وبحمْده أسْتغْفر الله وأتوب إلیه

aap ne farmaya :’ ‘ mujhe mere Rab ne khabar di hai ke main apni ummat mein aik alamat daikhon ga jab main woh daikhon to kasrat se yeh padhon : 

سْبحان الله وبحمْده أسْتغْفر الله وأتوب إلیه.

tehqeeq woh alamat main ne dekh li hai : 

إذا جاء نصر الله و الفتح 

yaani fatah Makkah aur  

ورأيت الناس يدخلون في دين الله أفواجا 

yaani logon ka fouj dar fouj islam mein daakhil hona ( is liye

فسبح بحمد ربك….

ke mutabiq mein kasrat se tasbeeh wa tahmeed aur astaghfar karta hon ). “

 

TAKHREEJ:

 

Sahih ul-Bukhari, al Tafseer baab, sorat un Nasr: …إذا جاء نصر الله

Hadees 4967, 4968

Sahih Muslim, As salati, Bab ma yuqal fir rukui was Sujood? Hadees 484.

 

FAWAAID WA MASAIL:

 

1- Ruku aur sjday mein 

سبحان ربي العظيم 

( subhan rabbi alazim ) aur 

سبحان ربي الأعلى

( subhan rabbi aala )

ki bajaye 

( سبْحانك اللهم ربناۤ وبحمْدك اللهم اغفرلي )

padhnay ka intikhab o Istahsan . 

2- Allah ki taraf se Nemat haasil honay par us ka shukar ada karna chahiye .


115_الرابع؛‏: ‏ عن أنس رضي الله عنه قال‏: ‏ إن الله عز وجل تابع الوحي على رسول الله صلى الله عليه وسلم قبل وفاته، حتى توفي أكثر ما كان الوحي‏”‌‏.‏ ‏(‌‏(‏متفق عليه‏)‌‏)‌‏.‏



( 115 ) hazrat ans hi mun se riwayat hai ke Allah taala ne rasool Allah salam ki wafaat se ( kuch arsa qabal pay dar pay wahi nazil farmai yahan tak ke aap ki wafaat ke waqt aap par pehlay se kahin ziyada wahi nazil hui. ( Bukhari wa Muslim )

 

TAKHREEJ :

 

Sahih ul-Bukhari, fazayil Quran, Bab kaifa nazal al wahii wa awwal maa nazal , Hadees 4982, Sahih Muslim al Tafseer, bab fi Tafseer aayat matafariqah, Hadees; 3016.

 

FAWAAID WA MASAIL:

 

1- Nabi ﷺ ki zindagi ke aakhri ayyaam mein nuzool wahi ki kasrat is baat ki alamat thi ke ab aap duniya se tashreef le jane walay hain. 

2- Quran Majeed ki tilawat neki hai. aakhri Umar mein is ka kasrat se nuzool aur tilawat is baat ki Daleel hai ke budhapa shuru honay ke baad ziyada naikian karni chahiye .


116_الخامس‏: ‏ عن جابر رضي الله عنه قال‏: ‏ قال النبي صلى الله عليه وسلم‏: ‏ ‏ “‏يبعث كل عبد على ما مات عليه‏”‌‏.‏ ‏(‌‏(‏رواه مسلم‏)‌‏)‌‏.‏

 

[ 116 ] Hazrat Jabir (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya : har bande ko ( qayamat walay din ) usi haalat mein uthaya jaye ga jis mein usay mout aayi hogi. ( Muslim )



TAKHREEJ:

Sahih Muslim, al jannat wa sifati naeemiha…. Bab al amr bi husn billah taala eind al maut, Hadees: 2878.

 

FAAIDAH :

Is ka wohi mafhuum hai jo 

( إنما الأعمال بالخواتیم )

ka hai, yani agar insaan ki mout naikian karte hue aaye gi to us ka anjaam bhi naik hoga aur agar us ke Bar aks mout buraiyan karte hue aaye gi to anjaam bhi bura ho ga, is liye insaan ko har waqt bilkhushoos pudha pai aur bimari mein Allah ki na farmaniyon se bach kar rehna chahiye kion ke mout ka koi pata nahi kis waqt woh insaan ko apne shikanjay mein kis le .



REFERENCE:
BOOK: Riyaz us Saliheen(Urdu)
Taleef: Imam Nawawi Rahimahullah.
Urdu Tarjumah aur Fawaid: Hafiz Salah Uddin Yusuf.

 

 

Chapter 12

Urging towards increasing Good Actions in later part of Life

 

Allah, the Exalted, says:

 

“Did We not give you lives long enough, so that whosoever would receive admonition, – could receive it? And the warner came to you.” (35:37)

 

Ibn `Abbas and others said that “long enough” in the Verse means sixty years. The Hadith which follows supports this. Others said it means eighteen years; Al-Hasan Al-Basri, Al-Kalbi and Masruq said it means forty years, it has also been reported by Ibn Abbas and others that whenever the people of Al-Madinah turned forty years of age, they would devote themselves completely to worship. “Long enough” in the Verse has also been interpreted to mean the age of puberty. Ibn `Abbas and the majority of Muslim scholars said that the “warner” in the Verse refers to the Prophet (PBUH). `Ikrimah bin `Umaiyyah and others interpreted this word as the grayness or whiteness of hair”. Allah knows better.


  1. Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: The Prophet (PBUH) said, “Allah excuses and grants forgiveness to a person until he attains the age of sixty years”.
[Al-Bukhari].

 

Commentary:

  1. This Hadith makes it evident that Allah does not punish any individual or nation without warning them first.
  1. The second point is that a person who is given sixty years of life and yet he neglects the obligations of Faith, will have no excuse.
  1. After the age of sixty years, one must not neglect his religious obligations because then one is closer to death. Although one may die even at a young age, in youth one is still hopeful of life. After crossing the age of sixty, to hope for longer age, while leading a sinful life and defying Divine injunctions constitute a disastrous conduct. May Allah save us from doing so.

  1. Ibn `Abbas (May Allah be pleased with them) said: `Umar (May Allah be pleased with him) used to make me sit with the noble elderly men who had participated in the battle of Badr. Some of them disliked it and said to `Umar: “Why do you bring in this boy to sit with us when we have sons like him?” `Umar replied: “Because of the status he has, which you already know about (i.e., belongs to the source of knowledge and the house of the Prophet (PBUH)).” One day, `Umar called me and seated me in the gathering of those people; and I think that he called me just to show them (of my religious knowledge). `Umar then questioned them (in my presence). “How do you interpret the ayah of Allah: `When there comes the Help of Allah (to you, O Muhammad (PBUH) against your enemies) and the Conquest (of Makkah).”’ Someone said that when Allah’s Help and the Conquest (of Makkah) came to us, we were called upon to celebrate the Praise of Allah and ask for His forgiveness. Some others remained silent and did not utter a word. Thereupon `Umar asked me: “Ibn `Abbas! Do you say the same.” I replied: “No”. He said: “What do you say then?” I replied: “That is the sign of the Prophet’s death about which he had been informed. Allah, the Exalted, says:

‘When there comes the help of Allah (to you, O Muhammad (PBUH) against your enemies) and the Conquest (of Makkah)’.

So declare the remoteness of your Rubb from every imperfection, and ask for His forgiveness. Verily, He is the One Who accepts the repentance and Who forgives”.

On that `Umar (May Allah be pleased with him) said: “I do not know anything about it other than what you have said”.

[Al-Bukhari]

 

Commentary:

  1. This value of man does not go with the length of age but with that of intellect, intelligence, knowledge and consciousness. For this reason, a young boy can have precedence and preference over the elders due to his clear understanding and vast knowledge.
  1. When a person gets closer to death, he must devote himself more and more to the praise and glorification of Allah and beg pardon from Him.

  1. ‘ Aishah (May Allah be pleased with her) said: After the revelation of (the Surah) “When the Help of Allah comes (to you, O Muhammad (PBUH) against your enemies) and the Conquest (of Makkah)” (110:1), Messenger of Allah (PBUH) used to recite in every prayer: “Subhanaka Rabbana wa bihamdika, Allahum-maghfir li (Far removed You are from every imperfection, our Rubb, and all praise is for You, forgive me, O Allah)”.
[Al-Bukhari and Muslim].

 

Another narration is: Messenger of Allah (PBUH) recited frequently in bowing and prostration: “Subhanaka Rabbana wa bihamdika, Allahum-maghfir li. (Far removed You are from every imperfection, our Rubb, and all praise is for You, forgive me, O Allah)”. He elucidated that it has been commanded in the Noble Qur’an to recite: “So glorify the Praises of your Rubb, and ask for His forgiveness. Verily, He is the One Who accepts the repentance and Who forgives”. (V.110:1) And he (the Messenger of Allah) acted upon it.

According to the narration in Muslim, Messenger of Allah (PBUH) frequently recited these words just before he passed away: “Subhanaka Rabbana wa bihamdika. Astaghfiruka wa atubu ilaika.” I (`Aishah (May Allah be pleased with her) asked him: “O Messenger of Allah! What are these new words which I hear from you repeatedly.” He replied, “A sign has been appointed for me relating to my people that I should repeat these words at the sight of that sign”. Then he recited Surat An-Nasr.

Another narration in Muslim related from `Aishah (May Allah be pleased with her) is: Messenger of Allah (PBUH) often recited, “Glory be to Allah and praise be to Him; I seek forgiveness of Allah and turn to Him in repentance.” I said to him: “O Messenger of Allah, I hear you recite frequently: `O Allah, You are free from every imperfection our Rubb and all praise is for You; I seek forgiveness of Allah and turn to Him in repentance.”’ He replied, “My Rubb has informed me that I would soon see a sign regarding my people, whenever I see it, I repeat this statement more often (of His Glorification and Praise and beg pardon of Him and turn to Him). Now I have witnessed the sign. The revelation of Surat An-Nasr and the victory is the conquest of Makkah.”

“When there comes the Help of Allah (to you, O Muhammad (PBUH) against your enemies) and the Conquest (of Makkah). And you see that the people enter Allah’s religion (Islam) in crowds. So glorify the Praises of your Rubb, and ask His forgiveness. Verily, He is the One Who accepts the repentance and Who forgives.” (110:1-3)

 

Commentary:

  1. Acceptance and approval of reciting the words `Subhanaka Rabbana wa bihamdika, Allahum-maghfirli’ in Ruku` and Sujud respectively, instead of the words `Subhana Rabbiyal-Azim’ and `Subhana Rabbiyal-A`la’.
  1. One must express his gratitude to Allah whenever he receives a blessing from Him.

  1. Anas (May Allah be pleased with him) said: Allah the Rubb of honour and glory sent Revelation to His Messenger (PBUH) more frequently before his death than at any other time.
[Al-Bukhari and Muslim].

 

Commentary:  During the last days of the Prophet (PBUH) the abundance of Wahy (Revelation) was an indication that he was about to leave this world.


  1. Jabir (May Allah be pleased with him) said: The Prophet (PBUH) said, “Every one will be raised in the condition in which he dies”.
[Muslim].

 

Commentary:  This Hadith has a meaning similar to the one quoted at another place which signifies that if a person dies performing good deeds, he will have a good end; and the one who dies in misdeeds, he will come to a bad end. It is, therefore, necessary that one should always avoid disobedience of Divine injunctions, especially in old age and illness because one may fall in the clutches of death at any time .

 REFERENCE:
BOOK: Riyadh ul Saaliheen
Table of Contents