Search
Sections
< All Topics
Print

16. Sunnah aur Uske Adaab [Observing the Sunnah and the manners of its obedience]

[16] ـ باب الأمر بالمحافظة على السنة وآدابها

16. SUNNAT AUR IS KE AADAAB KI HIFAZAT KARNE KE HUKUM KA BAYAN

 

قال الله تعالى: (وَمَا آتَاكُمُ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانْتَهُوا) (الحشر: 7) 

وقال تعالى: (وَمَا يَنْطِقُ عَنِ الْهَوَى إِنْ هُوَ إِلَّا وَحْيٌ يُوحَى) (النجم: 3، 4) 

وقال تعالى: (قُلْ إِنْ كُنْتُمْ تُحِبُّونَ اللَّهَ فَاتَّبِعُونِي يُحْبِبْكُمُ اللَّهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ) (آل عمران: 31) ، 

وقال تعالى: (لَقَدْ كَانَ لَكُمْ فِي رَسُولِ اللَّهِ أُسْوَةٌ حَسَنَةٌ لِمَنْ كَانَ يَرْجُو اللَّهَ وَالْيَوْمَ الْآخِرَ وَذَكَرَ اللَّهَ كَثِيراً) (الأحزاب: 21) .

قوله تعالى: (فَلا وَرَبِّكَ لا يُؤْمِنُونَ حَتَّى يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيْنَهُمْ ثُمَّ لا يَجِدُوا فِي أَنْفُسِهِمْ حَرَجاً مِمَّا قَضَيْتَ وَيُسَلِّمُوا تَسْلِيماً) (النساء: 65) .

و قال تعالى: (فَإِنْ تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ)[النساء: 59]

قال العلماء: معناه إلى الكتاب و السنة.

وقال تعالى: (مَنْ يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّه) [النساء: 80]

وقال الله تعالى: (وَإِنَّكَ لَتَهْدِي إِلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ) [الشورى: 52]

وقال تعالى: (فَلْيَحْذَرِ الَّذِينَ يُخَالِفُونَ عَنْ أَمْرِهِ أَنْ تُصِيبَهُمْ فِتْنَةٌ أَوْ يُصِيبَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ) [النور: 63]

وقال الله تعالى: (وَاذْكُرْنَ مَا يُتْلَى فِي بُيُوتِكُنَّ مِنْ آيَاتِ اللَّهِ وَالْحِكْمَةِ.[الأحزاب: 34]

و الأيات في الباب كثيرة.

 

Allah taala ne farmaya :” Rasool tumhen jo diye usay le lo aur jis se tumhen rok day us se ruk jao !”

aur farmaya :” ( woh paighambar ) apni khwahish se nahi boltaa woh to wahi hi hai jo us ki taraf nazil ki jati hai.” 

aur Allah taala ne farmaya:  “( ae Paighambar un se ) keh deen agar tum Allah se mohabbat karte ho to phir tum meri pairwi karo Allah tumhen apna mehboob bnale ga aur tumhare gunah bakhash day ga.”

aur farmaya :” yaqeenan tumhare liye Rasoolullah ﷺ ki zaat mein behtareen namona hai har us shakhs ke liye jo Allah par aur yom aakhirat par yaqeen rakhta hai.”

aur farmaya :” tairay Rab ki qasam! log momin nahi ho sakte jab tak ke woh apne bahami jhagdon mein tujhe apna hukum ( saalis ) nah maan len phir tairay faislay par woh apne dilon mein koi tangi bhi mehsoos nah karen aur ( nihayat khush dili se ) usay tasleem kar len.

aur Allah taala ne farmaya : ” agar kisi cheez ke mutaliq tumahra aapas mein jhagda ho jaye ( ke jaaiz hai ya na jaaiz ) to tum usay Allah aur us ke Rasool ki taraf lota do agar tum Allah par aur yom aakhirat par imaan rakhtay ho. “

ulama ne kaha hai : is ke maienay hain : kitab-o-sunnat ki taraf lotaao( yani us ki roshni mein jaaiz na jaaiz ka faisla karo ) .

aur Allah taala ne farmaya :” jis ne Rasool ki itaat ki yaqeenan is ne Allah ki itaat ki. “

aur Allah taala ne farmaya :” yaqeenan to seedhay rastay ki taraf rahnumai karta hai. “

aur Allah taala ne farmaya :” Rasool ke hukum ki mukhalfat karne walon ko is amar se dar jana chahiye ke woh kisi azmaish se do chaar nah ho jayen ya unhein koi dard naak azaab nah aa puhanche.

aur farmaya: ” aur yaad rakho Allah ki ayaton aur hikmat ( sunnat ) ko jo tumhare gharon mein parhi ( tilawat ki ) jati hain.” 

is baab mein aur bhi bohat si ayaat hain.

 

zail mein is baab se mutaliqa: ahadees mulahiza farmaen :


156ـ فالأول عن أبي هريرة رضي الله عنه عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: (دعوني ما تركتكم، فإنما أهلك من كان قبلكم كثرة سؤالهم، واختلافهم على أنبيائهم، فإذا نهيتكم عن شيء فاجتنبوه، وإذا أمرتكم بشيء فأتوا منه ما استطعتم) متفق عليه.

 

 (156) Hazrat Abu Hureira (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :” jo baatein main tumhe bayan karne se chod doon ( bayan nah karoon ) tum mujhe mere haal par chode do ( yani

un ki baabat kuraid kuraid kar mat pochho ) is liye ke tum se pehlay logon ko isi cheez ne halaak kiya ke woh kasrat se sawal karte aur apne payghambaroon se ikhtilaaf karte thay. chunanchay jab main tumhen kisi cheez se rookon to tum us se ijtinab karo aur jab main tumhen kisi cheez ka hukum dun to usay apni taaqat ke mutabiq baja lao. ( Bukhari wa Muslim )

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari Al eitisaam bil kitaab wa-s-sunnat bab Al iqtdaai bi-sunan Rasoolillah ﷺ Hadees:7288. Wa Muslim al hajji, bab farz il hajji marratn fil umrah. Hadees: 1337

 

FAWAAID WA MASAIL: 

1- Kisi waqai zaroorat aur wajah ke baghair sawal karna aur Allah aur us ke Rasool ke ehkaam mein ikhtilaaf o nazaa peda karna halakat ka sabab hai. salamti ka rasta sirf yahi hai ke Allah aur us ke Rasool ki baton par bulaa chon o chura amal kiya jaye. mazahab ki fiqhi moshgafyan bhi isi zail mein aati hain jin se jadal o ikhtilaaf ka darwaaza khulta aur iftiraq o tashtut ka rasta hamwar hota hai. kash Ummat-e-Muhammadiyah is tabah kun rastay se hatt kar us Siraat mustaqeem par aa jaye jo aman o salamti ka zamin hai aur woh Siraat mustaqeem aik aur sirf aik hai chaar ya paanch nahi. haq sirf aik hai mutadid nahi.

فَمَاذَا بَعْدَ الْحَقِّ إِلَّا الضَّلَالُ

haq ke baad gumraahi hi gumraahi hai.

2- Irtikaab masiat mein yeh uzr na qabil-e-qubool hai ke is se bachna meri taaqat mein nahi hai kiyun-kay  mamnoaat mein rakhnay ka hukum qatee hai. wahan yeh nahi kaha gaya ke hasb-e-taaqat gunah se bachcho .


157ـ الثاني: عن أبي نجيح العرباض بن سارية ـ رضي الله عنه ـ قال: (وعظنا رسول الله صلى الله عليه وسلم موعظة بليغة وجلت منها القلوب، وذرفت منها العيون، فقلنا: يا رسول الله! كأنها موعظة مودع فأوصنا. قال: (أوصيكم بتقوى الله. والسمع والطاعة وإن تأمر عليكم عبد [حبشي]، وإنه من يعش منكم فسيرى اختلافاً كثيراً. فعليكم بسنتي وسنة الخلفاء الراشدين المهديين، عضوا عليها بالنواجذ، وإياكم ومحدثات الأمور، فإن كل بدعة ضلالة). رواه أبو داود، والترمذي، وقال: حديث حسن صحيح. 
(النواجذ) بالذال المعجمة: الأنياب، وقيل الأضراس.

 

[157 ] Hazrat Abu Najeeh Irbaz bin Sariya (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke ( aik martaba ) Rasoolullah ﷺ ne hamein nihayat muaser waaz irshad farmaya jis se dil dar gaye aur ankhen beh padin. ham ne kaha : ae Allah ke Rasool! yeh to goya ( aakhri ) “al-vidaae” kehnay walay ka waaz hai chunanchay aap hamein wasiyat farma degiye! aap ne farmaya : main tumhen Allah se darnay ki aur sama o taat ( yani Ameer ki baat suneney aur us par amal karne ) ki wasiyat karta hon agar chay tum par koi Habshi ghulam Ameer muqarrar ho jaye. ( yaad rakho! ) tum mein se jo ( mere baad ) zindah rahay ga woh bohat ikhtilaaf dekhe ga chunanchay tum meri sunnat ko aur hadaayat Yafta khulfaye Rashdin ke tareeqay ko lazim pakadna un ko danoton se mazboot pakad lena aur deen mein naye naye kaam ( Bidaat ) ijaad karne se bachna is liye ke har bidat gumraahi hai. ( usay Abu Dawod aur Tirmizi ne riwayat kiya hai aur Imam Tirmizi ne kaha hai : yeh hadees hasan sahih hai. )

النواجد :

” Zall” ke sath makhsoos daant, ya baaz ke nazdeek dadhhein morad hain .

 

TAKHREEJ :

Suna Abi Dawod, as-sunnt, bab fi luzoom is-sunnat, Hadees: 4607

Wa jamee at-tirmizi, al ilim, Bab maa jaa fil akhz bis-sunnat wa ijtinab al biaati, Hadees: 2676,

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Is mein taqwa aur itaat Ameer ikhtiyar karne ke ilawa sunnat Nabawi aur sunnat khulfaye Rashdin ke itebaa ki takeed aur bidaat se ijtinab ki talqeen hai. 

2- Is mein Nabi ﷺ  ne is amar ki khabar di ke yeh ummat ikhtilafat ka shikaar ho jaye gi aur sath hi sahih rastay ki nishandahi bhi farmadi aur woh yeh ke Nabi ﷺ ki sunnat aur khulfaye Rashdin ke taamul se tajawaz nah kiya jaye. yeh kasrat ikhtilafat mein haq ko pehchanney ki aik kaswati aur miyaar hai. kash Musalman is miyaar Nabawi hi ko wahid miyaar haq tasleem kar len .

 

RAVI HADEES :

HAZRAT ABU NAJEEH IRBAZ BIN SARIYA(رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ): Abu Najeeh Irbaz bin Sariya Sulami (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ). Sahabi hain. Shaam mein rahaish Pazeer rahay. Abdur Rehman bin Umar, Jubeir bin Nafeer aur Khalid bin Maadan waghera ne un se riwayaat li hain. Irbaz bin Saria 75 hijri mein faut hue. un se chand ahadees marwi hain .


158_الثالث‏: ‏ عن أبي هريرة رضي الله عنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال‏: ‏ ‏”‏كل أمتي يدخلون الجنة إلا من أبى ‏”‏ ‏.‏ قيل‏: ‏ ومن يأبى يا رسول الله قال‏: ‏ ‏”‏ من أطاعني دخل الجنة، ومن عصاني فقد أبى‏”‏ ‏(‌‏(‏رواه البخاري‏)‌‏)‌‏.‏

 

[158 ] Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) Nabi ﷺ se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya :” meri saari ummat jannat mein jaye gi siwaye un afraad ke jo inkaar kar den. poochha gaya : aye Allah ke Rasool! ( jannat mein jane se kon inkaar kere ga? aap ( ﷺ ) ne farmaya : ” jis ne meri itaat ki woh jannat mein daakhil ho gaya aur jis ne meri nafarmani ki us ne ( jannat mein jane se ) inkaar kar diya. ( Bukhari )

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari, al ietisam bil kitaab wa-s-sunnat bab al iqtdaai bi-sunan Rasoolillah ﷺ Hadees:7280

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Ummat se morad yahan ummat ijabat hai yani woh log jo Nabi ﷺ ki dawat qubool kar ke aap par imaan laaye aur is ummat-e-ijabat mein se bhi jannat mein wohi jayen ge jo aap ke bachay peirokaar hon ge. nafarman jannat mein jane se mahroom rahen ge. 

2- Is mein yeh bhi bataya gaya hai ke jannat daawa-e-imaan aur tamannaon se nahi miley gi balkay us ka rasta itaat-e-rasool hai. aap ki itaat hi haqeeqi mohabbat ki nishani hai.


159_الرابع‏: ‏ عن أبي مسلم، وقيل ‏: ‏ أبي إياس سلمة بن عمرو بن الأكوع رضي الله عنه ، أن رجلاً أكل عند رسول الله صلى الله عليه وسلم بشماله فقال‏: ‏ ‏”‏كل بيمينك‏”‏ قال‏: ‏ لا أستطيع‏.‏ قال‏: ‏ ‏”‏ لا استطعت‏”‏ ما منعه إلا الكبر، فما رفعها إلى فيه ‏.‏ ‏(‌‏(‏رواه مسلم‏)‌‏)‌‏.‏

 

(159) Hazrat Abu Muslim aur baaz ke nazdeek Abu Iyaas Salma bin Amar bin Akooi (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke Aik shakhs ne Rasoolullah ﷺ ke paas baaein haath se khaya aap ( ﷺ ) ne us se farmaya : ” apne dahinay haath se khao. us ne kaha : main is ki taaqat nahi rakhta. aap ( ﷺ ) ne farmaya : to is ki taaqat nah hi rakhay. us ko dahinay haath ke sath khanay se sirf kibar ne roka tha. chunanchay ( us ke baad ) us ne apne dahinay haath ko apne mun tak nahi uthaya ( yani uthany ke qabil hi nahi raha ). ( Muslim )

 

TAKHREEJ :

Sahih Muslim al ashrabat, Bab aadab it taami wash sharab wa ahkaamihima Hadees: 2021

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Baghair uzr ke baaein haath se khana piinaa sakht na pasandeeda hai. balkay khanay peenay ke ilawa har achay kaam ka sunnat aur aaghaz Nabi ﷺ dayen haath hi se farmatay they. 

2- Nabi ﷺ ki sunnat aur hukum ko mehez takkabur aur sar kashi se nazar andaaz karna nihayat khatar naak hai is se ensaan imaan se haath dho baithta hai. 

3- Rasool Akram ﷺ ki baat thukrane ki saza duniya mein bhi mil jati hai. 

4- Is mein Anbiya ke wisa ulama ke liye dars hai ke woh logon ko Husn-e-Akhlaq ki taleem dainay mein kisi malamat karne walay ki parwa kiye baghair apni zimma daari ada karen .

 

RAVI HADEES :

HAZRAT ABU MUSLIM SALMA BIN AMAR BIN AKOOI (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ): Salma bin Amar bin Akooi bin Sinan Aslami. kuniat Abu Muslim ya Abu Iyaas hai. apne dada ki taraf mansoob honay ki wajah se Salma bin Akooi se mashhoor hain. maqam hadibiya par baet rizwan mein shaamil they. bohat, Bahadur, teer Andaaz, bhalai aur nyeki ke khogar aur fazil aadmi they. Nabi a ke sath 7 ghazwoon mein shareek rahay. dodnay mein ghoday se bhi taiz they. Madinah mein 74 hijrat ko faut hue. hadees ki kitabon mein 77 ahadees un se marwi hain.


160ـ الخامس: عن أبي عبد الله النعمان بن بشير رضي الله عنهما، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول: (لتسون صفوفكم أو ليخالفن الله بين وجوهكم) متفق عليه. وفي رواية لمسلم: (كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يسوي صفوفنا حتى كأنما يسوي بها القداح، حتى إذا رأى أنا قد عقلنا عنه ثم خرج يوماً، فقام حتى كاد أن يكبر، فرأى رجلاً بادياً صدره فقال: (عباد الله لتسون صفوفكم أو ليخالفن الله بين وجوهكم) .

 

(160) Hazrat Abu Abdullah Noman bin Basheer (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا) se riwayat hai unhon ne kaha : main ne Rasoolullah ﷺ ko farmatay hue suna : tum apni safain zaroor seedhi aur durust kar lo warna Allah taala tumhare darmiyan mukhalfat peda farma day ga. ( Bukhari-o-Muslim ) aur Muslim ki aik aur riwayat mein hai : Rasoolullah ﷺ hamari safein is terhan seedhi farmatay thay goya un ke sath aap teeron ko seedha farma rahay hain, yahan tak ke jab aap mehsoos farmatay ke ham aap ki taraf se is maslay ki ahmiyat ko samajh gaye hain ( tab aap takbeer tehrima keh kar namaz ka aaghaz farmatay. phir aik din aap ( namaz padhanay ke liye ) tashreef laaye aur ( musalley par khaday ho gaye hatta ke aap Allah Akbar kehnay hi walay thay ke aap ne aik aadmi ko dekha ke us ka seenah ( saf se bahar nikla huwa hai. chunanchay aap ( ﷺ ) ne farmaya : Allah ke Bandoo ! tum apni safein zaroor seedhi kar lo warna Allah taala tumhare darmiyan ikhtilaaf peda kar day ga ( ya tumhare cheharon ko badal day ga ).

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari, al aazan, bab taswiyat sufoofi indal iqaamat wa baadaha Hadees:717.

Sahih Muslim As salati, bab taswiyat sufoofi indal iqaamat, Hadees:(128)- 436



FAWAAID WA MASAIL:

1- [أو ليخالفن الله بين وجوهكم]:

Agar is ke haqeeqi maienay morad hon to matlab hoga ke Allah tumhare cheharon ko guddi ki taraf phair kar unhein badal aur bigaad day ga aur majaazi maienay ki soorat mein matlab ho ga ba-ham ikhtilaaf o inaad peda kar day ga. bahar haal is se safoon ki durusti ki ahmiyat wazeh hai jis se aaj kal Musalman bilkul ghaafil hain aur fiqhi jamood ki wajah se aam Masjidoon mein sunnat ke mutabiq saf bandi ka qattan koi ihtimaam nahi kya jata.فالى الله المشتكي

2- Iqamat ke baad ba-waqt-e-zaroorat guftagu ki ja sakti hai. 

3- safoon ko durust karwana Imam ki zemme daari hai.


161_السادس‏: ‏ عن أبي موسى رضي الله عنه قال‏: ‏ احترق بيت بالمدينة على أهله من الليل، فلما حدث رسول الله صلى الله عليه وسلم بشأنهم قال ‏ “‏إن هذه النار عدو لكم، فإذا نمتم فاطفئوها عنكم‏”‏ ‏(‌‏(‏متفق عليه‏)‌‏)‏ ‏.‏

 

(161) Hazrat Abu Mosa (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke raat ko Madeeney mein aik ghar ghar walon samait jal gaya. jab Rasoolullah ﷺ ko un ke baray mein batlaya gaya to aap ne farmaya :” yeh aag tumhari dushman hai jab tum sonay lagu to usay bujha diya karo. 

( Bukhari wa Muslim )



TAKHREEJ:

Sahih ul-Bukhari, al istezaan, baab : laa natruk nar fil-bait indan naumi hadees : 6294, 

Wa Sahih Muslim, al asariyah, baab istihbab takhmeer al inaai hadees : 2016

 

FAAIDAH:  

yeh hukum tail batii se julne walay charaghoon aur mom batii waghera ke liye hai jin se aag lagnay ka andesha hai Nabi ﷺ ke zamane mein yahi chairag hotay thay. aaj kal bijli ke blbon mein yeh khatrah nahi hai taham un ko bhi band kar ke sona behtar hai .


162ـ السابع: عنه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: (إن مثل ما بعثني الله به من الهدى والعلم كمثل غيث أصاب أرضاً، فكانت منها طائفة طيبة، قبلت الماء فأنبتت الكلأ والعشب الكثير، وكان منها أجادب أمسكت الماء، فنفع الله بها الناس فشربوا منها وسقوا وزرعوا. وأصاب طائفة منا أخرى، أنما هي قيعان لا تمسك ماء ولا تنبت كلأ. فذلك مثل من فقه في دين الله، ونفعه بما بعثني الله به، فعلم وعلم، ومثل من لم يرفع بذلك رأساً، ولم يقبل هدى الله الذي أرسلت به) متفق عليه. 
(فقه) بضم القاف على المشهور، وقيل بكسرها، أي صار فقيهاً.



( 162 ) Hazrat Abu Mosa (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ)se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya :” is hadaayat aur ilim ki misaal jis ke sath Allah ne mujhe bheja hai us barish ki manind hai jo zameen ko puhanche. us zameen ka kuchh hissa to achha tha jis ne pani ko apne andar jazb kar liya aur ghaas neez bohat sa sabza ugaya. aur aik hissa us ka ghair abad ( banjar ) tha jis ne pani ( jazb to nahi kiya Albata ) rok liya to us pani se Allah ne logon ko faida pohanchaya logon ne us se pani piya aur pilaya aur khaition ko sairaab kiya. aur woh barish zameen ke aik aur hissay ko bhi pohanchi jo chitiyal maidan tha jo pani rokta aur nah ghaas ughata. chunanchay yeh misaal hai us shakhs ki jis ne Allah ke deen mein samajh haasil ki aur us ilim o hadaayat se Allah ne usay naffa pohanchaya jis ke sath Allah ne mujhe bheja to us ne ( khud bhi ) deen seekha aur ( doosron ko bhi ) sikhaya. aur ( yeh doosri ) misaal us shakhs ki hai jis ne us ( ilim o hadaayat ellahi ki taraf apna sar bhi nahi uthaya aur nah woh hadaayat hi qubool ki jis ke sath mujhe bheja gaya. ( Bukhari wa Muslim ) 

فَقُهَ:

Qaaf ke paish ke sath mashhoor hai, baaz ke nazdeek Qaaf ke zair ke sath hai. maienay hain : woh faqeeh ( Shariat ka aalam ) ho gaya .

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari, Al ilim bab fazl man aalima wa allama  Hadees:79,

Wa Sahih Muslim, al fazayil bab bayaan masal maa baasa bihi al Nabi ﷺ minal huda wa ilim Hadees;2282

 

FAAIDAH : 

Is mein us hadaayat o ilim al-Nabi ko jis ke sath Rasoolullah ﷺ ko bheja gaya tha, naffa pohanchanay wali barish ke sath tashbeeh di gayi hai is liye ke yeh ilim isi terhan murda dilon ko zindah karta hai jis terhan barish murda zameen ko shadaab kar deti hai. is ilim Nabawi wa ilaahi se faida uthany walay ko achhi zameen se tashbeeh di gayi hai. aur us shakhs ko jo ilim haasil karta hai aur doosron ko bhi sikhilata hai lekin khud us par amal kar ke faida nahi utha taa sakht zameen ke sath tashbeeh di gayi hai jo pani rok layte hai jis se dosray log naffa yab hotay hain. aur us shakhs ko jo nah ilim deen seekhta hai nah us par amal karta hai aisi chitiyal zameen ke sath tashbeeh di gayi hai jo nah pani rokti hai nah ghaas sabz ugaati hai. yeh sab se badter aadmi hai jo nah khud naffa uthata hai aur nah doosron ko naffa pohanchata hai. is mein ilim deen ke seekhnay sikhanay aur us par amal karne ki targheeb aur us se ieraaz o ghaflat se ijtinab karne ki Talqeen hai .


163ـ الثامن: عن جابر رضي الله عنه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: (مثلي ومثلكم كمثل رجل أوقد ناراً فجعل الجنادب والفراش يقعن فيها وهو يذبهن عنها وأنا آخذ بحجزكم عن النار، وأنتم تفلتون من يدي) رواه مسلم.
 (الجنادب) : نحو الجراد والفراش، هذا هو المعروف الذي يقع في النار، و (الحجز) : جمع حجزة، وهي معقد الإزار والسراويل.

 

(163) Hazrat Jabir (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya : meri aur tumhari misaal us aadmi ki terhan hai jis ne aag jalayi to patangay aur parwanay us mein girnay lagey aur woh unhein us aag se door hatata rahay. main bhi tumhari kamron se pakad pakar kar tumhen Jahannum ki aag se bacha raha hon lekin tum mere hathon se chhootey jatay ( aur naar Jahannum mein girtay jatay ) ho. ( Muslim )

جنادب :

Tiddi aur parwanay ki misl udnay wala keeda ( machhar waghera ) yeh wohi mashhoor keera (ya machhar ) hai jo aag mein girta hai. 

حجز ، حجزة:

ki jama hai. teh band aur shlwar bandhnay ki jagah yani kamar .



TAKHREEJ: 

Sahih Muslim, Al fazayil bab shafiqati alaa Ummatihi Hadees: 2285

 

FAAIDAH : 

Is mein Nabi ﷺ ki is Ghayat darjay ki shafqat aur hiras ka bayan hai jo apni ummat ke imaan laane ke baray mein aap ke dil mein thi aur is ke sath hi logon ki badbakhti ka zikar bhi hai ke aap ki mukhlisana koshish, shafqat aur shadeed hiras ke bawajood log imaan se mahroom rehne ki wajah se kasrat se Jahannum ka eendhan banin ge jis terhan parwanay kood kood kar aag mein karte hain .


164ـ التاسع: عنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم، أمر بلعق الأصابع والصحفة وقال: (إنكم لا تدرون في آيه البركة) رواه مسلم.
وفي رواية له: (إذا وقعت لقمة أحدكم. فيأخذها فليمط ما كان بها من أذى وليأكلها، ولا يدعها للشيطان، ولا يمسح يده بالمنديل حتى يلعق أصابعه، فإنه لا يدري في أي طعامه البركة) . 
وفي رواية له: (إن الشيطان يحضر أحدكم عند كل شيء من شأنه حتى يحضره عند طعامه، فإذا سقطت من أحدكم اللقمة فليمط ما كان بها من أذى فليأكلها، ولا يدعها للشيطان) .

 

[ 164 ] Hazrat Jabir (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne ( khanay ke baad ) ungelian aur pyalaa chaat lainay ka hukum diya aur farmaya :” tum nahi jantay ke un mein se kis ( zarray ) mein barket hai. ( Muslim ) 

aur Muslim hi ki aik aur riwayat mein hai : aap ( ﷺ )ne farmaya :” jab tum mein se kisi ka luqmah ( zameen par ) gir jaye to usay chahiye ke usay Packard le ( zameen se utha le ) aur us par lagi hui gandagi ( matti waghera ) saaf kar ke khale aur usay shetan ke liye nah chhodey. aur apne haath romal ( tauliye kapday ) ke sath nah ponchay yahan tak ke ( pehlay ) apni ungelian chaat liye us liye ke woh nahi jaanta ke us ke kon se khanay mein barket hai .

aur muslim hi ki aik aur riwayat mein hai : ” shetan tumhare paas tumhari har cheez mein haazir hota hai yahan tak ke khanay ke waqt bhi. chunanchay jab tum mein se kisi ke haath se luqmah gir jaye to usay chahiye ke usay ( utha kar ) us mein lagi hui gandagi yani matti waghera ( agar mumkin ho ) saaf karle aur khale aur usay shetan ke liye nah chhodey .

 

TAKHREEJ:

Sahih Muslim, al ashrabati bab istihbab laeeqal asaabie wa qisaati Hadees: 2033



FAWAAID WA MASAIL:

1- Is mein ungelian chatne aur bartan saaf karne isi terhan giray hue luqmay ko utha kar kha lainay ka jo hukum hai is ke mutadid fawaid hain : 1- aik to yahi ke mumkin hai ke barket isi hissay mein ho jisay insaan unglio ya bartan ke sath laga chode deta hai. 2- dosray is mein tawaza ka izhaar aur mutakabrin o mutarfin ke tarz amal se ijtinab hai. 3- teesray Allah ki Nemat ki naqadri aur us ki ihaanat se guraiz hai. 4- chouthay shetan ki tazleel aur is ke hathkndon ko nakaam banana hai.

2- Is se andaza lagaya ja sakta hai ke aaj kal dawaton mein jis terhan khana zaya kiya jata aur sadkon aur koday ke dheron par pheink diya jata hai woh kis terhan Allah ki Nemat ki naqadri aur islami talemaat ki be touqeeri hai. 

أعاذنا الله منه.

165 ـ العاشر: عن أبن عباس، رضي الله عنهما، قال: قام فينا رسول الله صلى الله عليه وسلم بموعظة فقال: (يا أيها الناس، إنكم محشورون إلى الله تعالى حفاة عراة غرلاً (كَمَا بَدَأْنَا أَوَّلَ خَلْقٍ نُعِيدُهُ وَعْداً عَلَيْنَا إِنَّا كُنَّا فَاعِلِينَ) (الأنبياء: 104) ، ألا وإن أول الخلائق يكسى يوم القيامة إبراهيم صلى الله عليه وسلم، ألا وإنه سيجاء برجال من أمتي، فيؤخذ بهم ذات الشمال؛ فأقول: يا رب أصحابي؛ فيقال: إنك لا تدري ما أحدثوا بعدك، فأقول كما قال العبد الصالح: (وَكُنْتُ عَلَيْهِمْ شَهِيداً مَا دُمْتُ فِيهِمْ) إلى قوله (الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ) (المائدة: 117- 118) فيقال لي: إنهم لم يزالوا مرتدين على أعقابهم منذ فارقتهم) متفق عليه. 
(غرلاً) : أي غير مختونين.

 

[ 165 ] Hazrat Ibn Abbas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ham mein waaz o naseehat farmanay khaday hue to irshad farmaya :” aye logo! tum ( sab ) Allah ki taraf nangay paon, nangay badan aur ghair makhtoon ( jaisay maa ke pait se peda hue thay ) ikathay kiye jao ge. ( Allah taala ka farmaan hai :

 (كَمَا بَدَأْنَا أَوَّلَ خَلْقٍ نُعِيدُهُ وَعْداً عَلَيْنَا إِنَّا كُنَّا فَاعِلِينَ)

jis terhan ham ne pehli martaba peda kiya ham usay dobarah lautaaein  gaye yeh hamara wada hai ham yaqeenan poora karne walay hain. suno! qayamat walay din sab se pehlay jisay libaas pehnaya jaye ga Ibrahim (عليه السلام) hon ge. aur suno! ( us roz ) meri ummat ke kuchh log laaye jayen gaye unhein baaein taraf pakad liya jaye ga main kahoon ga : aye mere Rab! yeh to mere saathi hain. aap ko kaha jaye ga : ( aye Paighambar! ) bilaa shuba tujhe nahi maloom unhon ne tairay baad ( deen mein ) kiya kiya nai cheeze ijaad ki theen. ( yeh sun kar ) main kahoon ga jis terhan Abd Saleh ( Hazrat Eesa (عليه السلام)) ne kaha 

(وَكُنْتُ عَلَيْهِمْ شَهِيداً مَا دُمْتُ فِيهِمْ)

main un par gawah raha jab tak un ke andar mojood raha. chunanchay mujh se kaha jaye ga. yeh log jab se to un se judda huwa, apni eedhioon par ( deen islam se ) phir gaye thay. ( Bukhari-o-Muslim )

غرلا :

ke maienay hain ghair makhtoon jis ke khatnay nah hue hon .

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari, ahadees ul Anbiya bab qaul Allah taala.

وَاتَّخَذَ اللَّهُ إِبْرَاهِيمَ خَلِيلًا. 

Hadees: 3349

Sahih Muslim al jannat wa sifati naeemiha wa ahliha  bab fanaa al-dunya wa bayaan al hashr yaumil qiyamati, Hadees: ( 85)- 2860 wal lafz laho.

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Is se maloom huwa ke irtdaad ki saza Jahannum hai kiyun-kay yeh kufur ki bad tareen qisam hai isi liye Shariat islamia mein is ki dunewi saza qatal hai. 

2- dosra is se yeh maloom huwa ke Nabi ﷺ aalam-ul-gheib aur haazir o nazir nahi jaisa ke aik giroh ke yeh baatil aqaed hain. agar aap ko ghaib ka ilim hota ya aap haazir o nazir hotay to aap un Murtadin ko apna saathi aur ummati qarar nah dete. chunanchay jab aap ko batlaya gaya to aap ne un se isi terhan baraat ka izhaar farma diya jis terhan Hazrat Eesa (عليه السلام) ne apne aur apni maa ko Mabood maan-ne walon se farmaya .


166 ـ الحادي عشر: عن أبي سعيد عبد الله بن مغفل رضي الله عنه قال: نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الخذف وقال: (إنه لا يقتل الصيد، ولا يتكأ العدو، وإنه يفقأ العين، ويكسر السن) متفق عليه. 
وفي رواية: أن قريباً لابن مغفل خذف؛ فنهاه وقال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن الخذف وقال: (إنها لا تصيد صيداً) ثم عاد فقال: أحدثك أن رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عنه، ثم عدت تخذف؟ لا أكلمك أبداً.

 

(166) Hazrat Abu Saeed Abdullah bin Mughaffal (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne shahadat ki ungli ya angothay par kankari rakh kar maarny se mana farmaya aur farmaya : yeh ( kankari ) nah shikaar ko qatal karti hai aur nah dushman ko zakhmi Albata yeh aankh ko phode deti aur daant ko toad deti hai ( agar kisi ki aankh ya daant mein lag jaye ) .

( Bukhari wa Muslim )

aik aur rivayet mein hai ke Abdullah bin Mughaffal ke aik rishte daar ne ungli par kankari rakh kar maari to unhon ne usay us se roka aur kaha : Rasoolullah ﷺ ne is terhan kankari maar ne se mana farmaya hai aur aap ( ﷺ ) ne farmaya hai : ” yeh kisi shikaar ka shikaar nahi karti. lekin is ke bawajood qaraabat daar ne dobarah yahi kaam kiya to Abdullah bin Mughaffal (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ne kaha : main tujh se bayan kar raha hon ke Rasoolullah ﷺ ne is se mana farmaya hai aur to dobarah ungli par rakh kar kingri maar raha hai! main tujh se bhi kalaam nahi karoon ga .

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari, al adabi bab an Nahiyi an khazfi Hadees:6220

Sahih Muslim, al said wa zabayih, Bab ibaahat maa yastaan bihi alaa al istiyad wal adwi wa karahat il khazfi, Hadees:1954

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Is se maloom huwa ke aisa kaam nahi karna chahiye jis se dosaron ko nuqsaan pounchanay ka andesha ho.

2-  Is terhan Allah aur us ke Rasool ﷺ ke ehkaam ki nafarmani aur zid karne walon se baat cheet band kar dena aur un se talluq munqita kar lena jaaiz hai jaissa ke sahaba mein Allah ka amal oopar bayan huwa .

 

RAVI HADEES :

HAZRAT ABU SAEED ABDULLAH BIN MUGHAFFAL (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ): Abdullah bin Mughaffal bin Abdul Ghanam bin Afif bin Ashem Muzni. un ki kuniat Abu Saeed ya bakol baaz Abu Abdul Rehman aur Abu Ziyaad bhi hai. Madinah mein rahaish Pazeer hai. baad mein Basrah chalay gaye aur wahein Jame Masjid ke qareeb apna makaan taamer kiya aur wahein zindagi ke baqiya ayyaam guzaray. yeh unhein logon mein se hain jin ke mutaliq yeh aayat kreema nazil hui : 

تَوَلَّوا وَّأَعْيُنُهُمْ تَفِيضُ مِنَ الدَّمْعِ

Abdullah bin Mughaffal un ashkhaas mein se hain jin ko Umar (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ne Basra mein taleem deen ke liye bheja tha. shehar Tastar ki fatah ke baad us ke darwazay mein daakhil honay walay yeh pehlay shakhs hain. baet rizwan mein yeh us darakht ki shaakhen neechay kar ke Nabi ﷺ par saya kiye hue they jis ke neechay baet ki gayi thi. Abdullah bin Mughaffal Basrah mein faut hue aur un ki wasiyat ke mutabiq Abu Barzah Aslami ne un ki namaz e janaza padhai. yeh 57 ya 59 hijri mein faut hue. kutub ahadees mein un se 43 ahadees marwi hain .


167 ـ وعن عباس بن ربيعة قال: (رأيت عمر بن الخطاب رضي الله عنه يقبل الحجر ـ يعني الأسود ـ ويقول: (إني أعلم أنك حجر ما تنفع ولا تضر، ولولا أني رأيت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقبلك ما قبلتك) متفق عليه.

 

(167) Aabes bin Rabia kehte hain ke main ne Umar bin khataab (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ko Hijr Aswed ko bosa dete hue dekha woh farma rahay thay : main jaanta hon to aik pathar hai nah naffa day sakta hai nah nuqsaan pouncha sakta hai. agar main ne Rasoolullah ﷺ ko tujhe bosa dete hue nah dekha hota to main tujhe ( kabhi ) bosa nah deta .

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari, al-hajj bab maa zukira fl hajril aswadi Hadees: 1597

Wa Sahih Muslim, al hajj, Bab istihbab taqbilil hijril aswadi fit tawaafi, Hadees:1270.

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Hazrat Umar (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ne yeh is liye farmaya taa ke jaahil log yeh nah samajh len ke hijr Aswed ko is liye chooma jata hai ke islam mein bhi pathar tazeem ke qabil hain jaisay log zamana jahliat mein yeh aqeedah rakhtay thay. balkay is choomnay se maqsad sirf itebaa Rasool  ﷺ hai. 

2- Har muamlay aur hukum mein itebaa Nabawi zaroori hai chahay is ki hikmat samajh mein aaye ya nah aaye. baaz log is ki bunyaad par buzurgon ki qabron ko choomna aur un ki tazeem baja lana jaaiz qarar dete hain, lekin yeh istadlaal sahih nahi, is liye keh hijr Aswed ko choomna to aik ibadat aur ibadat ka aik hissa hai. aur ebadaat tauqifi hain ( yani Allah ya us ke Rasool ki taraf ya se muqarrar hain). un mein kami Beshi nahi ki ja sakti nah un par kisi aur cheez ko qiyaas kiya ja sakta hai .

 

REFERENCE:
BOOK: Riyaz us Saliheen(Urdu)
Taleef: Imam Nawawi Rahimahullah.
Urdu Tarjumah aur Fawaid: Hafiz Salah Uddin Yusuf.

 

 

Chapter 16

Observing the Sunnah and the manners of its obedience

Allah, the Exalted, says:

 

“And whatsoever the Messenger   (Muhammad (PBUH)) gives you, take it; and whatsoever he forbids you, abstain (from it)”. (59:7)

 

“Nor does he speak of (his own) desire. It is only a Revelation that is revealed.” (53:3,4)

 

“Say (O Muhammad (PBUH) to mankind): `If you (really) love Allah then follow me (i.e., accept Islamic Monotheism, follow the Qur’an and the Sunnah), Allah will love you and forgive you of your sins”. (3:31)

 

“Indeed in the Messenger of Allah (Muhammad (PBUH)) you have a good example to follow for him who hopes for (the Meeting with) Allah and the Last Day…’‘ (33:21)

 

“But no, by your Rubb, they can have no Faith, until they make you (O Muhammad (PBUH)) judge in all disputes between them, and find in themselves no resistance against your decisions, and accept (them) with full submission”. (4:65)

 

“(And) if you differ in anything amongst yourselves, refer it to Allah and His Messenger (PBUH)”. (4:59)

 

“He who obeys the Messenger  (Muhammad (PBUH)), has indeed obeyed Allah.” (4:80)

 

“And verily, you (O Muhammad (PBUH)) are indeed guiding (mankind) to the Straight Path (i.e., Allah’s Deen of Islamic Monotheism):. (42:52)

 

“And let those who oppose the Messenger’s (Muhammad (PBUH)) commandment (i.e., his Sunnah — legal ways, orders, acts of worship, statements) (among the sects), beware, lest some Fitnah (disbelief, trials, afflictions, earthquakes, killing, overpowered by a tyrant) should befall them or a painful torment be inflicted on them.” (24:63)

 

“And remember (O you the members of the Prophet’s family, the Graces of your Rubb), that which is recited in your houses of the Verses of Allah and Al-Hikmah (i.e., Prophet’s Sunnah — legal ways, so give your thanks to Allah and glorify His Praises for this Qur’an and the Sunnah).” (33:34)


  1. Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: The Prophet (PBUH) said, “Do not ask me unnecessarily about the details of the things which I do not mention to you. Verily, the people before you were doomed because they were used to putting many questions to their Prophets and had differences about their Prophets. Refrain from what I forbid you and do what I command you to the best of your ability and capacity”.
[Al-Bukhari and Muslim]

 

Commentary:  To be unnecessarily inquisitive and create differences and confusion in the Injunctions of Allah and His Prophet (PBUH) leads to destruction. The safest course lies only in following the Orders of Allah and His Prophet (PBUH) without `ifs’ and `buts.’ Hairsplitting in religious issues falls in this category. It opens the door for chaos and conflict and paves the way for disunity and separation. May Allah give sense to the Muslim Ummah to abandon this road and take the Right Path which ensures peace and security. Let it be absolutely clear that the Right Path is one and one alone. There cannot be multiple right paths, it is one and singular. Once a community leaves the Straight Path, it is sure to go astray.


  1. `Irbad bin Sariyah (May Allah be pleased with him) reported: One day Messenger of Allah (PBUH) delivered us a very eloquent Khutbah on account of which eyes shed tears and hearts were full of tears. A man said: “O Prophet of Allah, this is as if it were a parting advice. So advise us”. He (PBUH) said, “I admonish you to fear Allah, to listen and obey even if an Abyssinian slave is appointed as your leader. Because whosoever among you shall live after me, will see much discord. So hold fast to my Sunnah and the examples of the Rightly-Guided Caliphs who will come after me. Adhere to them and hold to it fast. Beware of new things (in Deen) because every Bid`ah is a misguidance”.
[Abu Dawud and At-Tirmidhi].

 

Commentary: This Hadith stresses piety, obedience to the leader, following in the footsteps of the Prophet (PBUH) and the first four noble caliphs. It strictly forbids innovation in Deen.

 

This Hadith also reveals the prediction of the Prophet (PBUH) that the Muslim Ummah will become a victim of dissension. He also prescribed the right means to counteract it. The remedy that he has proposed for this problem is that Muslims should never deviate from the path laid for them by him and his righteous successors. This is the touchstone for discovering the truth from the mess of different views. All the troubles of Muslims would come to an end if they accept this as the one singular criterion of right and wrong.


  1. Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “Everyone of my Ummah will enter Jannah except those who refuse”. He was asked: “Who will refuse?” He (PBUH) said, “Whoever obeys me, shall enter Jannah, and whosoever disobeys me, refuses to (enter Jannah)”.
[Al-Bukhari].

 

Commentary:  The word Ummah here stands for the community which accepted the invitation of the Prophet (PBUH), that is to say, the people who on his call embraced Islam. Out of this community who follow him faithfully will go to Jannah.


  1. Salamah bin Al-Akwa` (May Allah be pleased with him) reported: My father said that a person ate in the presence of Messenger of Allah (PBUH) with his left hand. He (PBUH) said, “Eat with your right hand”. He said, “I cannot do that.” Thereupon he (the Prophet) said, “May you never do that.” It was pride that prevented him from doing it. And he could not raise it (the right hand) up to his mouth afterwards.
[Muslim].

 

Commentary:

  1. To eat with the left hand without a valid reason, is a repulsive act. Besides eating, every other good action was done by the Prophet (PBUH) with his right hand.
  1. To ignore the Injunctions of Allah and the practice of the Prophet (PBUH) out of pride is a serious offense and can endanger even the Faith of a Muslim.

  1. Nu`man bin Bashir (May Allah be pleased with them) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “Straighten your rows (during Salat) or Allah would create dissension amongst you”.
[Al-Bukhari and Muslim].

 

In another narration reported by Muslim, Nu`man bin Bashir (May Allah be pleased with them) narrated: Messenger of Allah (PBUH) used to straighten our rows (in Salat), as if he was straightening an arrow with their help until he saw that we had learnt it from him. One day he came out, stood up (for Salat) and was about to say: Allahu Akbar (Allah is the Greatest), (marking the beginning of the prayer) when he saw  a man, whose chest was bulging out from the row. He said, “Slaves of Allah, you must straighten your rows or Allah would create dissension amongst you.”

 

Commentary:   The real meaning of this saying is that Allah will create dissension and conflict among you. In any case, this Hadith makes abundantly clear the importance of setting the rows in congregational Salat to which the present-day Muslims do not pay much attention. Because of the lack of understanding of Islamic principles, no one pays heed to the proper formation of rows in mosques in congregational Salat.


  1. Abu Musa (May Allah be pleased with him) reported: A house in Al-Madinah caught fire at night and the roof and walls

fell down upon the occupants. When this was reported to Messenger of Allah (PBUH) he said, “Fire is your enemy; so put it out before you go to bed”.

[Al-Bukhari and Muslim].

 

Commentary:   The order of the Prophet (PBUH) in this Hadith relates to the lamps which produced light by means of oil and wick which can cause fire. Such lamps were used in the time of the Prophet (PBUH). There is no such risk in electric bulbs which are being used in the present age.


  1. Abu Musa (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “The similitude of guidance and knowledge with which Allah has sent me is like a rain which has fallen on some ground. A fertile part of earth has absorbed water and brought forth much grass and herbs. Another part, which is solid, held the water and Allah benefits men thereby, who drank and gave others to drink, and used it for irrigation. But some of it has fallen on a portion of sandy land which neither retains the water nor produces herbage. Such is the likeness of the man who understands the religion of Allah and who gets benefit of what Allah has sent me with; he learns and teaches others. It is also the likeness of the man who neither raises his head on that account (meaning he does not benefit from what the Prophet (PBUH) was sent with) nor accepts Allah’s Guidance with which I am sent”.

[Al-Bukhari and Muslim].

 

Commentary:   In this Hadith the guidance and knowledge which was sent to mankind through the Prophet (PBUH) is compared to the rain which is beneficial, because this knowledge resuscitates the dead hearts as does the rain to a barren land. One who makes use of this knowledge is likened to a good soil, and one who acquires this knowledge and imparts it to others but does not put it into practice is considered akin to a hard land which holds water and other people utilize it. A person who neither learns it nor acts upon it is like a desolate land which neither holds water nor produces anything. Such a person is the worst of all because he neither himself benefits from it nor lets others make use of it. This Hadith induces one to acquire knowledge, impart it to others, put it into actual practice and warns people from neglecting this duty.


  1. Jabir (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “My parable and that of yours is like a man who kindled a fire. When it has illuminated all around him, the moths and grasshoppers began to fall therein. He tried to push them away, but they overcame him and jumped into it. I am catching hold of your waists ties (to save you) from fire, but you slip away from my hands”. 

[Muslim].

 

Commentary:  This Hadith mentions the extreme kindness which the Prophet (PBUH) had for the welfare of his followers. It also mentions the misfortune of those who would become the fuel of Hell for not accepting Islam in spite of the utmost affection and ardour of the Prophet (PBUH) to bring them in the fold of Islam. People who fail to accept Islam would fall in the Hell-fire in the same way moths fall in the fire.


  1. Jabir (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) commanded the licking of fingers (after eating) and the cleaning of the dish, saying: “You do not know in what portion the Blessing (of Allah) lies”.

[Muslim].

 

In another narration, Jabir said: Messenger of Allah (PBUH) said,  “When a morsel of any of you falls down, you should pick it up and remove any dirt or dust on it and then eat it; and don’t leave it for Satan; and do not wipe your hand with the towel until you have licked your fingers, for you do not know in what portion of the food the Barakah* (of Allah) lies”.

 

* Barakah is the abundance of goodness and its continuity.

 

Commentary:   This Hadith enjoins Muslims to lick their fingers after meals, wipe off the food left in the utensils and eat morsels which fall down in the course of eating. All these things have many advantages:

 

  1. May be that is the blessed portion of the food which sticks to the fingers or utensils.
  1. This practice is a sign of humility and aversion from the style of proud and haughty people.
  1. It saves one from being ungrateful to Allah.
  1. By these means one defeats Satan.

In the light of these Islamic injunctions one can very well judge violation of Islamic teachings and ungratefulness to Allah which is evident from the large quantity of food which is thrown on the garbage.


  1. Ibn `Abbas (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “On the Day of Resurrection you will be assembled barefooted, naked and uncircumcised”. He then recited: “As We began the first creation, We shall repeat it. (It is) a promise binding upon Us. Truly, We shall do it,” and continued: “The first to be clothed on the Day of Resurrection will be (Prophet) Ibrahim. Then some of my Companions will be taken to the left, (i.e., towards Hell-fire) and when I will say, ‘They belong to my Ummah, O my Rubb!’ It would be said: ‘You do not know what they invented after you had left them.’ I shall then say as the righteous slave [i.e., `Isa (Jesus (PBUH)] said: ‘And I was a witness over them while I was amongst them, when You took me up, You were the Watcher over them and You are a Witness to all things. If you punish them, they are Your slaves, and if You forgive them, verily, You, only You are the All-Mighty, the All-Wise.’ I shall be told: ‘They continued to turn on their heels since you parted from them”.

[Al-Bukhari and Muslim].

 

Commentary:

 

  1. We learn from this Hadith that the punishment of apostasy is Hell. For this reason, this crime is punishable by death in Islam.
  1. We also learn from this Hadith that the Prophet (PBUH) had neither knowledge of the Unseen nor is he omnipresent and omniscient, as is falsely believed by deviated people. If he had the knowledge of the Unseen, or had he been omnipresent and omniscient, he would not have accepted such persons as his Companions and followers who were in fact apostates. This is the reason when he was informed of their real conduct through Wahy (Revelation), he disowned them in the same way as Prophet `Isa (Jesus) had disowned the people who had started worshipping him and his mother as God.

  1. `Abdullah bin Mughaffal (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) prohibited flicking pebbles by the index finger and the thumb; and he said, “It does not kill a game animal nor does it inflict wound on the enemy, but breaks the tooth and gorges the eye”.

[Al-Bukhari and Muslim].

 

  In another narration it is said: A close relative of `Abdullah bin Mughaffal (May Allah be pleased with him) was hitting with pebbles using the index finger and the thumb; he said: “Messenger of Allah (PBUH) has forbidden it saying that it does not kill the game”. He repeated the act and Ibn Mughaffal said to him: “I told you that the Prophet (PBUH) had prohibited it but you repeated it. I shall never talk to you.”

 

Commentary:

  1. This Hadith exhorts us not to do anything which is likely to harm others.
  1. It also tells us that it is permissible to sever connections and speech with the people who disobey the Injunctions of Allah and His Prophet (PBUH).

  1. `Abis bin Rabi`ah (May Allah be pleased with him) reported: I saw `Umar bin Al-Khattab(May Allah be pleased with him) kissing the Black Stone (Al-Hajar Al-Aswad) and saying: “I know that you are just a stone and that you can neither do any harm nor give benefit. Had I not seen Messenger of Allah (PBUH) kissing you, I would not have kissed you”.

[Al-Bukhari and Muslim].

 

Commentary:

  1. The statement of `Umar (May Allah be pleased with him) quoted in this Hadith is highly significant in the sense that he wanted to make it absolutely clear to the illiterate and ignorant that Al-Hajar Al-Aswad (Black Stone of the Ka`bah) is not kissed for because stones are venerated in Islam, as was the practice in pre-Islamic period. What he wanted to emphasize was that kissing the Black Stone was in accordance with the Sunnah of the Prophet (PBUH).
  1. Obedience of the Prophet (PBUH) in every affair is a must, whether one understands the wisdom behind it or not. By analogy, kissing of the Black Stone, some people think it is permissible to kiss and show respect to the tombs of saints. But this is not valid reason because kissing the Black Stone is an `Ibadah (act of worship), or a part of it, and every `Ibadah is Tauqifiyah (prescribed by Allah and the Prophet (PBUH)) and it can neither be increased nor diminished, nor can it be graded as something else.
REFERENCE:
BOOK: Riyadh ul Saaliheen
Table of Contents