47. QURAN-E-MAJEED MEIN HUROOF-E-MUQATTA’T KA MATLAB ? [The meaning of al-huroof al-muqatta’ah in the Qur’aan]
QURAN-E-MAJEED MEIN HUROOF-E-MUQATTA’T KA MATLAB:
Sawal:
Is ayat (الم) aur Qur’an-e-Majeed mein is tarah ki doosari ayaat se kya murad hai, aur Ulma-e-Karam is qism ki ayaat ke bare mein kya kehte hein?
Jawab Ka Matan:
Alhamdulillah
Aksar Ulma-e-Keram ne aisi ayaat jin mein haroof-e-muqatta’t hain ki tafseer mein tawaquf kiya hai, maslan Khulfa-e-Rashideen, aur baqi Sahaba-e-Keram رضی اللہ علیہم aur Taba’een-e-Azam aur Taba-Taba’een رحمہم اللہ aur hi Nabi ﷺ se is ki tafseer sabit hai.
To behtar aur sahih yeh hai keh hum in ke bare mein yahi kahen
اللہ اعلم بالمر او منھا،
keh in ki murad Allah Ta’la hi janta hai, lekin ba’az Sahaba aur Taba’een aur Taba-Taba’een se yeh suboot milta hai keh unhon ne is ki tafseer ki aur is mein un ka ikhtilaaf bhi paya jata hai…ah
Dekhein:
الصحیح المسبور من التفسیر بالماثور للدکتور حکمت بشیر(ج1/ص94).
Aur ba’az Ulma-e-Keram ne in huroof ki hikmat talaash karte huye kaha hai keh : Wallahu A’alam, yeh huroof un suraton ke shuru mein zikr kiye gaye hain jin mein e’jaz-e-Quran ka bayan hai, aur makhlooq is ke muaraze se qasir hai, aur woh is liye keh yeh huroof un hi huroof se murakkab hain jin huroof ke sath woh mukhatib hote aur apna kalaam istemal karte hain.
Shaikh-ul-Islam Ibn-e-Taimiyyah رحمہ اللہ ne isi qaol ki tarafdari ki hai aur Abu-ul-Hijaj-ul-mizi رحمہ اللہ تعالی ne is qaul ko pasand kiya hai.
Aur Allah T’ala hi taufeeq bakhshne wala hai. AllahT’ala hamare Nabiﷺ aur Un ki aal aur sahaba par rahmaten nazil farmaye. Ameen.
Fataawa Al-lijjatul-daaimah
ج 4/ ص144.
Wallahu Ta’aala alam
KIYA HUROOF E MOQATTEAAT BEY FAIDAH HAIN ?
“Qur’an majeed ki ba’az suraten Alif laam meem , Ha meem aur Ya seen waghairah se kiyun shuru hoti hain ? in huroof ya tarakeeb ki ahmiyat kiya hai ? ”
Alif laam meem, Ya seen , Ha meem , waghairah ko huroof e moqatteaat kaha jata hai . arabic huroof e tahajji mein kul 29 huroof shamil hain ( ba shart.ya.keh hamza aur alif ko do alag alag huroof shumaar kiya jaye ) aur quran e majeed ki kul 29 suratain aisi hain jo huroof e moqatteaat sey shuru hoti hain . yeh huroof e moqatteaat ba’az auqaat waahid harf aur ba’az auqaat ek se paanch huroof tak tarkeeb ki surat mein hoti hain .
HUROOF-E-MOQATTEAAT
-
Teen suraton ka aghaaz sirf ek harf se hota hai :
- Surat saad 38th surat hai jo harf saad (ص) sey shuru hoti hai .
- 50th surat qaaf (ق) harf se shuru hoti hai .
- 68 win surat noon ya Surah Al Qalam harf noon(ن) sey
-
Das (10) Suraton se qabl do huroof-e-moqatteaat aatey hain :
- 20th Surah Taahaa Unhi huroof-e- moqatteaat (طه) Sey Shuru Hoti Hai .
- 27th Surat Al Namal ka aghaaz Ta Seen ( طس) huroof se hota hai .
- 36th surat ya seen ka aghaaz ya seen (يس) ke huroof se shuru hoti hai .
- 40 th se 46 th tak musalsal saat suraten ha meem ( حم) ke huroof moqatteaat se shuru hoti hain .
- 40th Surat Al Ghaafir Ya Al Momin
- 41st Surat Haa Meem Al Sajdah
- 42nd Surat Al Shura
- 43rd Surat Al Zukhruf
- 44th Surat Al Dukhkhan
- 45th Surat Al Jathiya
- 46th Surat Al Ahqaaf
- 14 suraton ka teen teen huroof-e-moqatteaat se aghaaz hota hai .
Hasab-e-zail cheh( 6) suraten alif laam meem ( alif laam meem الم) se shuru hoti hain :
- Dusri Surat Al Baqarah
- Tesri Surat Ale Imraan
- 14th Surat Al Ankaboot
- 30th Surat Al Rum
- 31st Surat Luqmaan
- 32nd surat Al sajdah
Huroof-e-moqatteaat ( alif laam raa الر) 10 th se 15th tak paanch suraton se qabl aatey hain :
10th surat Yunus
11th surat Hood
12th surat Yusuf
14th surat Ibraheem
15th surat Al hijr
Ta seen meem ( طسم) key huroof e moqatteaat do suraton mein aate hain :
26th Surat Al Shu’ara
28th Al Qasas
-
Chaar Huroof-e- moqatteaat ki tarkeeb sirf do dafa aayi hai :
- Saatwin( 7th) surat Al araaf : alif laam meem saad (المص )
- Tearwin(13th) surat Al raad : alif laam meem raa ( المر)
-
Paanch huroof e moqatteaat ki tarkeeb bhi do dafa istemaal hui hai :
- 19th surat Maryam kaaf haa yaa aain saad ( كهيعص ) se shuru hoti hai .
- 42nd surat Al shura ka agaaz huroof e moqatteaat ki do tarkeebon se hota hai :
- Do huroof ki tarkeeb haa meem (حم)teen huroof par mushtamil tarkeeb aain seen qaaf (عسق)
Huroof-e-moqatteaat ke maani :
In huroof key maani aur maqasid key barey mein yaqeen se kuch nahi kaha ja sakta ,mukhtalif adwaar
main muslim ulama ney in ki mukhtalif tauzeehaat paish ki hain . Un mein se chand ek ye hain :
- Yeh huroof ba’az jumloon ki mukhtasir surat ho saktey hain , jaisey alif laam meem se muraad allahu aalam ( allah sab se ziyada janney wala hai ) aoran se muraad ” noor ” ho sakta hai .
- Yeh huroof ikhtesaar ki suratain nahi balkey allah Ta’aala ya kisi aur cheez ki alamatein aur naam hain .
- Yeh huroof qaafiyah bandi ke liye istemaal hue hain .
- In huroof ki koi adadi ehmiyat bhi hai chunkeh saami zabaano ke huroof adadi qadar bhi rakhtey they.
- Yeh huroof Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam (aur baad mein samiyeen) ki tawajjah mabzool karaney ke liye istemaal kiye gaye hain .
Huroof-e-moqatteaat ki maanwiyat o ahmiyat par kayi jildain likhi gayi hain .
HUROOF-E-MUQATTEAAT KI BAHTAREEN TAABEER
Mukhtalif ulama ki taraf sey paish kirdah taabeeraat mein se mustanad tabeer hasab e zail hai jis ki tayeed imaam Ibn e kaseer , Zamakhshari aur Ibn taimia rahimahumullah alaih ki taraf se bhi ki gayi hai :
Insaani jism ka morakkab kainat mein pae janey waley mukhtalif anasar sey tayyar kiya gaya hai . mitti aur gara bhi unhi bunyaadi anaasur ka aamaiza hain . lekin yeh kahna ghalat hoga keh insaan bilkul mitti jaisa hai . ham sab un anasur tak rasaai haasil kar saktey hain jo insaani jism mein paaye jatey hain aur hum un mein chand gailan paani daal saktey hain jis se insaani jism tashkeel pata hai magar is se hum zindagi takhleeq nahi kar saktey . hamain insaani jism mein shamil anasur ka ilm hai lekin is ke bawajood jab hum se raaz e zindagi key barey mein sawal kiya jaye to hamare paas izhaar e hairat key siwa kuch nahi hota , isi tarah quraan majeed un logon se khetaab kar key kehta hai jo us ke uluhi ahkaam ko nahi maantey. quraan un se kahta hai keh yeh kitaab tumhari apni zabaan mein hai ( jis par arab bahut fakhr karte they) yeh unhi huroof par mushtamil hai jinhain arab bari fasaahat sey izhar o bayaan ke liye istamaal kartey they . arab apni zaban par bahut nazaan they aur jis zamaaney mein quran naazil hua , arabic zabaan apni urooj par thi . huroof e moqatteaat : alif laam meem , ya seen , ha meem waghairah key istemaal se ( angrezi mein A B C D kah sakte hain ) quran bani nau insaan ko challenge karta hai keh agar unhen us key mustanad honey mein shak hai to woh husn ebfasaahat mein quran sey milti julti kam az kam ek surat hi likh kar ley aayen .
Ibteda mein quran e kareem tamaam insaano aur jino ko challenge deta hai keh tum quran jaisa kalaam laa kar dikhao , phir mazeed kahta hai keh woh sab ek dusre ki imdaad kar ke bhi yeh kaam anjaam nahi dey saktey . yeh challenge suratul isra ( bani israyeel ) ki 88th aayat aur surah e toor ki 34th aayat mein bayaan kiya gaya hai . is ke baad yeh challenge giyarhwin surat hood ki 13th aayat mein dohraya gaya aur farmaya gaya hai keh us jaise 10 suratain tayyar kar ke dikhaao . baad azan daswin surat yunus ki aayat 38th mein us jaise ek surat bana laaney ko kaha gaya aur aakhir kaar suratul baqarah ki aayaat 23th aur 24th mein asaan tareen challenge diya gaya :
﴿ وَإِن كُنتُمْ فِي رَيْبٍ مِّمَّا نَزَّلْنَا عَلَىٰ عَبْدِنَا فَأْتُوا بِسُورَةٍ مِّن مِّثْلِهِ وَادْعُوا شُهَدَاءَكُم مِّن دُونِ اللّٰهِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ فَإِن لَّمْ تَفْعَلُوا وَلَن تَفْعَلُوا فَاتَّقُوا النَّارَ الَّتِي وَقُودُهَا النَّاسُ وَالْحِجَارَةُ ۖ أُعِدَّتْ لِلْكَافِرِينَ ﴾
” Aur agar tum is ( kalaam ) key barey mein shak mein ho jo hum ney apney bandey par naazil kiya hai to tum us jaisi ek surat hi le aao aur allah ke siwa apney himayatiyon ko bula lao agar tum sachey ho , phir agar tum aisa na kar sako , aur tum kar bhi nahi saktey , to us aag se bacho jis ka eendhan insaan aur patthar hain ( aur jo) kaafiron ke liye tayyar ki gayi hai.”
[Surah Al Baqarah :2: 23-24]
Do hunar mandon ki maharat key taqabul ke liye unhen laaziman ek hi khaam maal key namooney faraham kiye janey chahiyen aur phir ek hi kaam key zariye se unki kaargardagi ka jaayiza liya jana chahiye . arabic zabaan ka khaam mawaad yahi huroof alif laam meem , ya seen waghairah ( jaise angrezi mein A B C D ) hain . quran e kareem ki zabaan ki mojazaati fitrat sirf yahi nahi keh yeh kalaam e ilaahi hey balkeh is ki azmat us haqiqat mein bhi muzammar hai keh agarchey yeh unhi huroof se wujood mein aayi hai jin par mushrikeen fakhar kartey theh lekin is ke moqaabley ki koi ibaarat paish nahi ki ja saki.
QURAAN MAJEED KA MOJAZAATI WASF
Arab apni khetabat , fasaahat aur qudrat e kalaam ki wajah sey maaroof hain , jaisey hamain insaani jism ke tarkeebi anasir maaloom hain aur hum unhen haasil kar saktey hain , isi tarah quraan kareem ke huroof , jaise : alif laam meem se bhi hum khoob waaqif hain aur unhen aksar alfaaz bananey ke liye istemaal kartey rahtey hain . lekin insaani jism ki tarkeebi anasir ka ilm haasil honey key bawajood , zindagi ki takhleeq hamarey bas mein nahi hai , isi tarah jin huroof par quraan mushtamil hai un ka ilm rakhney key bawajood hum quraan e kareem ki fasahat aur husn e kalaam par garift haasil nahi kar saktey . yun quraan bazat.e.khud is baat ka saboot hai keh woh kalaam e ilaahi hai .
isi tarah Surah Baqarah ke huroof-e-moqatteaat ke foran baad jo aayat hai is mein mojaza Quran aur kalam-e-ilaahi ki sadaqat ka zikr kiya gaya hai :
Irshaad-e- Baari Ta’aala hai:
﴿الم ذَٰلِكَ الْكِتَابُ لَا رَيْبَ ۛ فِيهِ ۛ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ﴾
yeh woh kitaab hai jis mein koi shak nahi , yeh parhezgaaron ke liye hidaayat hai .
[Surah Al Baqarah :2: 1-2]
REFERENCE:
[1] https://islamqa.info/ur/answers/21811/قران-مجید-میں-حروف-مقطعات-کا-مطلب
The meaning of al-huroof al-muqatta’ah in the Qur’aan
Question
what is meant by the ayah Alim Lam Meem, and other similar ayahs in the quran? What have the scholars said regarding them?
Answer
Praise be to Allah.
A group of scholars, such as the Rightly-Guided Khaleefahs (may Allaah be pleased with them), and others among the Sahaabah, Taabi’een and their followers, refrained from interpreting this aayah and others which contain al-huroof al-muqatta’ah [letters which appear at the beginning of some soorahs]. It was not narrated that the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) interpreted them, so it is preferable for us to say Allaah knows best what they mean. But it was narrated that some of the mufassireen among the Sahaabah, Taabi’een and their followers did interpret them, and they differed as to their interpretation.
Al-Saheeh al-Masboor min al-Tafseer bi’l-Ma’thoor by Dr Hikmat Basheer, vol 1, p. 94
Some of the scholars tried to discover the wisdom behind these letters and said: These letters are mentioned – and Allaah knows best – at the beginning of soorahs which point to the miraculous nature of the Qur’aan, which implies that all mankind is unable to match it, even though it is composed of the letters that they use in their daily speech. This was the view supported by Shaykh al-Islam Ibn Taymiyah (may Allaah have mercy on him) and was approved of by Abu’l-Hajjaaj al-Mazzi (may Allaah have mercy on him). And Allaah is the Source of strength. May Allaah bless our Prophet Muhammad and his family and companions, and grant them peace.
Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, vol. 4, p. 144.
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/21811/the-meaning-of-al-huroof-al-muqattaah-in-the-quraan
قرآن مجید میں حروف مقطعات کا مطلب
سوال
اس آيت الم اور قرآن مجیدمیں اس طرح کی دوسری آیات سے کیا مراد ہے ، اورعلماء کرام اس قسم کی آیات کے بارہ میں کیا کہتے ہیں ؟
جواب کا متن
الحمد للہ.
اکثر علماء کرام نے ایسی آیات جن میں حروف مقطعات ہیں کی تفسیرمیں توقف کیا ہے ، مثلا خلفاء راشدین ، اور باقی صحابہ کرام رضوان اللہ علیہم اور تابعین عظام اور تبع تابعین رحمہم اللہ اورنہ ہی نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے یہ اس کی تفسیر ثابت ہے ۔
تو بہتر اور صحیح یہی ہے کہ ہم ان کے بارہ میں یہی کہیں ، اللہ اعلم بالمراد منھا ، کہ ان کی مراد اللہ تعالی ہی جانتا ہے ، لیکن بعض صحابہ اور تابعین اورتبع تابعین سے یہ ثبوت ملتا ہے کہ انہوں نے اس کی تفسیر کی اور اس میں ان کا اختلاف بھی پایا جاتا ہے ۔۔ ا ھـ دیکھیں الصحیح المسبورمن التفسیر بالماثور للدکتور حکمت بشیر ( ج 1 / ص 94 ) ۔
اوربعض علماء کرام نے ان حروف کی حکمت تلاش کرتے ہوۓ کہا ہے کہ : واللہ اعلم ، یہ حروف ان سورتوں کے شروع میں ذکر کیے گۓ ہیں جن میں اعجاز قرآن کا بیان ہے ، اور مخلوق اس کے معارضے سے قاصر ہیں ، اور وہ اس لیے کہ یہ حروف ان ہی حروف سے مرکب ہیں جن حروف کے ساتھ وہ مخاطب ہوتے اور اپنی کلام استعمال کرتے ہیں ۔
شیخ الاسلام ابن تیمیۃ رحمہ اللہ نے اسی قول کی طرف داری کی ہے اور ابوالحجاج المزی رحمہ اللہ تعالی نے اس قول پسند کیا ہے ۔
اور اللہ تعالی ہی توفیق بخشنےوالا ہے ، اللہ تعالی ہمارے نبی صلی اللہ علیہ وسلم اوران کی آل اور صحابہ پر رحمتیں نازل فرماۓ ، آمین ۔
فتاوی اللجنۃ الدائمۃ ج 4 / ص 144
واللہ تعالی اعلم .