Search
Sections
< All Topics
Print

38. KIYA IBLEES FARISHTOUN MEIN SE HAI YA KEH JINNON MEIN SE? [Is Iblees a Jinn or an Angel?]

Kya Iblees Farishton mein se hai ya keh Jinnon mein se ?

 

Alhamdulillah,

 

Shaikh Muhammad  Ameen Shaiqeeti رحمہ اللہ farmate hein:

 

Allah Ta’la ka farmaan hai: 

(Woh jinnon mein se tha to us ne apne Rabb ki nafarmani ki) Al kahf / 50

 

Is ayat mein yeh wazeh hai keh iblees ka Allah Ta’la ki nafarmani karne ka sabab jinnon mein se hona hai jo keh usool mein muqarrar hai, nas ke aitbar se bhi aur ishare aur tambeeh ke aitbar se bhi kyun keh fa harf-e-ta’aleel hai, jaise keh yeh kaha jata hai 

سرق فقطعت یدہ 

us ne chori ki to us ka hath kaat diya gaya. Ya’ni us ki chori ki bina par 

aur aise hi yeh qaull 

(سھا فسجد)

woh bhool gaya to us ne sajda kiya ya’ni bhoolne ki wajah se  aur usi se Allah Ta’la ka yeh farmaan hai:

 

( chori karne wale mard aur chori karne wali aurat ka hathh kaat do) Al-Maida/37

 

Ya’ni un ke chori karne ki bina par, to isi tarah yahan par Allah Ta’la ka farman hai:

 

(Woh jinnon mein se tha to us ne apne Rabb ki nafarmani ki) ya’ni jinnon mein se hone ki bina par, kyun keh isi wasf se farishton aur us ke darmiyan farq kiya hai kyun keh farishton ne Allah Ta’la ke hukm ki ittba’a ki aur us ne nafarmani ki to ayat ke isi zahir ki bina par ulma’a ki ek jama’at ka yeh kahna hai keh woh farishton mein se nahin balkeh aslan jin tha aur un ke sathh rah kar ibadat karne ki bina par un ke nam ka itlaaq hone laga tha kyun keh woh un ke taabe’ tha jis tarah keh kisi qabeele ke haleef par us qabeele ke nam ka itlaaq hota hai.

 

Aur ahll-e-ilm ke han iblees ke mut’aliq is baat mein ikhtilaaf mash’hoor hai keh aaya aslan farishta tha to Allah Ta’la ne usay masakh kar ke shaitan bana diya ya keh woh aslan farishta nahin tha balkeh us ka un ke saath shamil hone aur un ke saath mil kar ibadat karne ki wajah se us par farishte ka nam bola jane laga tha.

 

To jo yeh kahte hein keh woh aslan farishton mein se nahin tha un ki daleel do cheezon par mushtamil hai:

 

Pehli: Farishton ka kufr ke irtakaab se ma’soom hona, jaisa keh iblees is ka murtakib huwa jaisa keh Allah Ta’la ka farman hai:

(Woh Allah Ta’la ke hukm ki nafarmani nahin karte aur unhein jo hukm diya jaye us par amal karte hein) Al-Tehreem/6

 

Aur Irshad-e-Bari Ta’la hai:

(Woh kisi baat mein bhi Allah Ta’la se aagay nahin barrhte balkeh Us ke farman par amal karte hein ) Al-Ambiya/27

 

Doosari:  Allah Ta’la ne is ayat-e-kareema main is bat ki sarahat ki hai keh woh jinnon mein se tha aur jin farishton ke ilawa koi qaum hai. Un ka kehna hai keh yeh nas Qurani mahal-e-naza’a mein hai. 

Aur jinnon ne bil-jazm kaha hai keh woh aslan farishton mein se nahin unhon ne is ayat ke zahir ko liya hai, un mein Hasan Basri رحمتہ اللہ shamil hain aur Zamkhashri ne apni tafseer mein un ki ta’eed ki hai.

Aur Qurtabi رحمتہ اللہ ne Surah Baqarah ki tafseer mein kaha hai keh: us ka farishton mein se hona yeh qaul jamhoor ka hai jin mein Ibn-e-Abbas aur Ibn-e-Mas’ood رضی اللہ عنہم aur Ibn-e-Jareeh aur Ibn-e-Maseeb aur Qatada waghaira رحمہم اللہ shamil hain aur isay Shaikh Abu Al-Hasan ne bhi ikhtiyar kiya aur Tibri ne isay raajeh qarar diya hai aur woh is qaul ka zahir hai:

 

(Siwaye iblees ke) اھ

 

Aur mufassireen ka salaf ki ek jama’at se jin mein Ibn-e Abbas رضی اللہ عنہم waghaira hain ka yeh zikr karna keh iblees farishton ke sardaron mein se tha ya woh Jannat ka khazin tha ya woh aasman-o-duniya ke moamlaat niptata tha aur yeh keh us ka nam Izra’eel tha to yeh sab Isra’eeliyaat hain jin ki taraf rujoo’ nahin kiya ja sakta.

 

Aur is masle mein sab se wazeh daleel us shakhs ki daleel hai jo yeh kahta hai keh woh farishta nahin Allah Ta’la ka yeh farmaan hai: 

(siwaye iblees ke woh jinnon mein se tha to us ne apne Rabb ki nafarmani ki)

Aur ‘wahi’ is mauzoo’ mein sab se wazeh cheez hai aur ilm to Allah Ta’la ke hi pas hai.

 

 

REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/22232/is-iblees-a-jinn-or-an-angel

Is Iblees a Jinn or an Angel?

Question
Was Iblis one of the angels or one of the jinn? And are the jinn from among the angels?

 

Answer

Praise be to Allah.

Shaykh Muhammad al-Ameen al-Shanqeeti (may Allah be pleased with him) said: 

Allah says in the following ayah/verse (interpretation of the meaning): 

“He [Iblis] was one of the jinn; he disobeyed the command of his Lord.” [18:50] 

The apparent meaning is that the reason for his disobedience of his Lord was the fact that he was one of the jinn. The conjunction fa in the Arabic text [kana min al-jinn fa-fasaqa ‘an amri Rabbihi] is indicative of the reason, as in the Arabic phrase saraqa fa quti’at yaduhu which means, “he stole, so his hand was cut off”, i.e., that was because he stole; or the phrase saha fa sajada which means, “he forgot so he prostrated”, i.e., that was because he forgot. The same pattern is seen in the ayah (interpretation of the meaning): 

“And (as for) the male thief and the female thief, cut off [fa-qta’u] (from the wrist joint) their (right) hands.” [5:38] 

i.e., because of their stealing. 

Similarly, the phrase kana min al-jinn fa-fasaqa (he was one of the jinn [so] he disobeyed …) means that this was because he was in essence one of the jinn, because this feature is what made him different from the angels, for they obeyed the command but he disobeyed. Because of the apparent meaning of this ayah, a number of scholars were of the opinion that Iblis was not originally one of the angels, rather he was one of the jinn, but he used to worship Allah with them, so he was called by their name because he followed them, just as an ally of a tribe may be given their name. The dispute as to whether Iblis was originally an angel whom Allah changed into a devil, or whether he was not originally an angel but was included in the word malaikah (angels) because he had joined them and worshipped Allah with them, is a well known dispute among the scholars. The evidence of those who say that he was not originally one of the angels is based on two things: 

1 – The fact that angels are protected against committing kufr (disbelief) as was committed by Iblis, as Allah says (interpretation of the meaning): 

“Who disobey not, (from executing) the commands they receive from Allah, but do that which they are commanded.” [66:6] 

“They speak not until He has spoken, and they act on His Command.” [21:27] 

2 – Allah clearly states in 18:50 that he was one of the jinn, and the jinn are not angels. They said: this is a Quranic text concerning which there is some dispute.

Among those who stated that he was not originally one of the angels based on the apparent meaning of this ayah was-Hasan al-Basri, who was supported by al-Zamakhshari in his tafsir (exegesis). 

Al-Qurtubi said in his tafsir of Surat al-Baqarah: “The idea that he was one of the angels is the view of the majority, Ibn ‘Abbas, Ibn Mas’ud, Ibn Jurayj, Ibn al-Musayyib, Qutadah and others. It is the view chosen by al-Shaykh Abu’l-Hasan and regarded as more correct by al-Tabari, and it is the apparent meaning of the phrase “except Iblis.” [18:50] 

What the mufassirin (Quranic exegetists) have quoted from a group of the salaf (righteous predecessors), such as Ibn ‘Abbas and others, that he was one of the noblest of the angels, one of the keepers of Paradise, and that he controlled the affairs of the first heaven, and that his name was ‘Azazil is all taken from the Israliyyat (reports narrated from Jewish sources) and is not reliable. 

The clearest evidence concerning this matter, the evidence cited by those who said that he was not an angel because of the ayah (interpretation of the meaning): 

“He [Ibls] was one of the jinn; he disobeyed the command of his Lord,” [18:50] is the clearest text from the revelation that proves this point.

And Allah knows best.

 

REFERENCE:’
https://islamqa.info/en/answers/22232/is-iblees-a-jinn-or-an-angel

کیا ابلیس فرشتوں میں سے ہے یا کہ جنوں میں سے

 

سوال
کیا ابلیس جنوں میں سے ہےیا کہ فرشتوں میں سے ؟

 

جواب کا متن

الحمد للہ.

شیخ محمد امین شیقیطی رحمہ اللہ فرماتے ہیں :

اللہ تعالی کا فرمان ہے : (وہ جنوں میں سے تھا تو اس نے اپنے رب کی نافرمانی کی ) الکھف / 50

اس آیت میں یہ واضح ہے کہ ابلیس کا اللہ تعالی کی نافرمانی کرنے کا سبب جنوں میں سے ہونا ہے جو کہ اصول میں مقرر ہے نص کے اعتبار سے بھی اور اشارے اور تنبیہ کے اعتبار سے بھی کیونکہ فاحرف تعلیل ہے جیسا کہ یہ کہا جاتا ہے سرق فقطعت یدہ اس نے چوری کی تو اس کا ہاتھ کاٹ دیا گيا یعنی اس کی چوری کی بنا پر اور ایسے ہی یہ قول ( سھا فسجد) وہ بھول گیا تو اس نے سجدہ کیا یعنی بھولنے کی وجہ سے اور اسی سے اللہ تعالی کا یہ فرمان ہے :

(چوری کرنے والے مرد اور چوری کرنے والی عورت کا ہاتھ کاٹ دو ) المائدہ / 37

یعنی ان کے چوری کرنے کی بنا پر تو اسی طرح یہاں پر اللہ تعالی کا فرمان ہے :

(وہ جنوں میں سے تھا تو اس نے اپنے رب کی نافرمانی کی ) یعنی جنوں میں سے ہونے کی بنا پر کیونکہ اسی وصف سے فرشتوں اور اس کے درمیان فرق کیا ہے کیونکہ فرشتوں نے اللہ تعالی کے حکم کی اتباع کی اور اس نے نافرمانی کی تو آیت کے اسی ظاہر کی بنا پر علماء کی ایک جماعت کا یہ کہنا ہے کہ وہ فرشتوں میں سے نہیں بلکہ اصلا جن تھا اور ان کے ساتھ رہ کر عبادت کرنے کی بنا پر ان کے نام کا اطلاق ہونے لگا تھا کیونکہ وہ ان کے تابع تھا جس طرح کہ کسی قبیلے کے حلیف پر اس قبیلے کے نام کا اطلاق ہوتا ہے ۔

اور اہل علم کے ہاں ابلیس کے متعلق اس بات میں اختلاف مشہور ہے کہ آیا اصلا فرشتہ تھا تو اللہ تعالی نے اسے مسخ کر کے شیطان بنا دیا یا کہ وہ اصلا فرشتہ نہیں تھا بلکہ اس کا ان کے ساتھ شامل ہونے اور ان کے ساتھ مل کر عبادت کرنے کی وجہ سے اس پر فرشتے کا نام بولا جانے لگا تھا ۔

تو جو یہ کہتے ہیں کہ وہ اصلا فرشتوں میں سے نہیں تھا ان کی دلیل دو چیزوں پر مشتمل ہے :

پہلی : فرشتوں کا کفر کے ارتکاب سے معصوم ہونا جیسا کہ ابلیس اس کا مرتکب ہوا جیسا کہ اللہ تعالی کا فرمان ہے :

( وہ اللہ تعالی کے حکم کی نافرمانی نہیں کرتے اور انہیں جو حکم دیا جائے اس پر عمل کرتے ہیں ) التحریم / 6

اور ارشاد باری تعالی ہے :

( وہ کسی بات میں بھی اللہ تعالی سے آگے نہیں بڑھتے بلکہ اس کے فرمان پر عمل کرتے ہیں ) الانبیاء / 27

دوسری : اللہ تعالی نے اس آیت کریمہ میں اس بات کی صراحت کی ہے کہ وہ جنوں میں سے تھا اور جن فرشتوں کے علاوہ کوئی قوم ہے ۔ ان کا کہنا ہے کہ یہ نص قرآنی محل نزاع میں ہے ۔

اور جنوں نے بالجزم کہا ہے کہ وہ اصلا فرشتوں میں سے نہیں انہوں نے اس آیت کے ظاہر کو لیا ہے ان میں حسن بصری رحمہ اللہ شامل ہیں اور زمخشری نے اپنی تفسیر میں ان کی تائید کی ہے ۔

اور قرطبی رحمہ اللہ نے سورہ بقرہ کی تفسیر میں کہا ہے کہ : اس کا فرشتوں میں سے ہونا یہ قول جمہور کا ہے جن میں ابن عباس اور ابن مسعود رضی اللہ عنہم اور ابن جریج اور ابن مسیب اور قتادہ وغیرہم رحمہم اللہ شامل ہیں اور اسے شیخ ابو الحسن نے بھی اختیار کیا اور طبری نے اسے راجح قرار دیا ہے اور وہ اس قول کا ظاہر ہے :

( سوائے ابلیس کے ) اھـ

اور مفسرین کا سلف کی ایک جماعت سے جن میں ابن عباس رضی اللہ عنہم وغیرہ ہیں کا یہ ذکر کرنا کہ ابلیس فرشتوں کے سرداروں میں سے تھا یا وہ جنت کا خازن تھا یا وہ آسمان و دنیا کے معاملات نپٹاتا تھا اور یہ کہ اس کا نام عزاریل تھا تو یہ سب اسرائیلیات ہیں جن کی طرف رجوع نہیں کیا جا سکتا ۔

اور اس مسئلہ میں سب سے زیادہ واضح دلیل اس شخص کی دلیل ہے جو کہ یہ کہتا ہے کہ وہ فرشتہ نہیں اللہ تعالی کا یہ فرمان ہے :

( سوائے ابلیس کے وہ جنوں میں سے تھا تو اس نے اپنے رب کی نافرمانی کی )

اور وحی میں سے اس موضوع میں سب سے واضح چیز ہے اور علم تو اللہ تعالی کے ہی پاس ہے .

ماخذ: اضواء البیان / 3 / 130 – 132

 

REFERENCE:’
https://islamqa.info/en/answers/22232/is-iblees-a-jinn-or-an-angel
Table of Contents