Search
Sections
< All Topics
Print

11. Akhiyaafi Bhai aur Behan ki wiraasat

Akhiyaafi Bhai aur Behan ki wiraasat

 

 

Tareef: Akhyaafi Bhai aur Behan Mayyat kay woh Bhai Behan hain jin ki Maan to aik ho lekin Baap juda juda hon.

 


 

Akhiyaafi Bhai aur Behan ki wiraasat mein teen halatein hain:

 


 

✯ Pehli haalat: Akhyaafi Bhai aur Behan ko jaedaad ka chata hissa (1/6) milay ga jab woh akeela ya akeeli ho aur Mayyat ki koi aulaad (Beta, Beti, Pota, Poti) Baap aur Daada mujood na hon.

Misaal: Aik aadmi faut ho gaya. Apni Biwi, Akhyaafi Bhai aur Chacha ko zindah chodha.

Hal: Biwi ko (1/4) aur Akhiyaafi Bhai ko (1/6) milay ga. Aur baqi Chacha Bator-e-Asabah lay ga. Asal masla (12) Biwi ko (3) aur Akhiyaafi Bhai ko (2) milay aur baqi (7) Chacha Bator-e-Asabah lay ga.

 

 

12

1/4

Biwi

3

1/6

Akhiyaafi  Bhai

2

ع

Chacha

7

 

Note: Mazkoorah misaal mein agar Akhiyaafi Bhai ki jagah Akhiyaafi Behan ho to usay bhi (1/6) hi milay ga.

 

✯ Doosri haalat: Akhiyaafi  Bhai aur Behan ko jaedaad ka aik tihaai hissa (1/3) milta hai. Agar woh aik say zayada hon. Chahay woh sab Bhai hon ya sab Behnein hon ya mukhtalit hon. Jab Mayyat ki koi aulaad, Baap aur Daada mujood nah hon.

Misaal: Aik aadmi faut ho gaya. Apni Biwi, Maan, Do Akhiyaaafi Behnein aur Chacha zindah chodha.

Hal: Biwi ko (1/4), Maan ko (1/6) aur do Akhiyaafi behnon ko (1/3) milay ga. Aur Chacha Bator-e-Asabah waaris hai. Asal masla (12) hai. Biwi ko (3), Maan ko (2) aur do Akhiyaafi behnon ko (4) milay har aik ko (2) aur baqi (3) Chacha lay ga.

 

 

12

1/4

Biwi

3

1/6

Maan

2

1/3

2 Akhiyaafi Behnein

4

ع

 

3

 

Note 1: Mazkoorah misaal mein do behnon ki bajaaye aik Akhiyaafi Behan aur aik Akhiyaafi Bhai ho to woh bhi (1/3) mein baraabar shareek hon gay. Aur har aik ko (2,2) hissay milay gay .

Note 2: Akhiyaafi Bhai aur Behan kabhi bhi Bator-e-Asabah waaris nahi hotay aur nah hi Akhiyaafi Bhai apni Behan say do guna hissa leta hai.

 

✯ Teesri haalat: Akhiyaafi Bhai aur Behan Mayyat ki aulaad (Beta, Beti, Pota, Poti) Baap aur Daada ki mujoodgi mein waarsat say mahroom hotay hain. 

 

Misaal 1: Aik aadmi faut ho gaya. Apni Biwi, Beta aur do Akhiyaafi Bhai zindah chhodhy.

Hal:Biwi ko (1/8) milay ga. Baqi Beta Bator-e-Asabah lay ga. Aur donon Akhiyaafi Bhai wiraasat say mahroom hain. Asal masla (8) hai Biwi ko (1) mila aur baqi (7) Beta lay ga. donon Akhiyaafi Bhai mahroom hain.       

 

 

8

1/8

Biwi

1

1/4

Beta ain

7

م

2)Akhiyaafi Bhai

 

Note: Betay ki jagah agar Baap ya Daada hon to phir bhi donon Bhai wiraasat say mahroom hungay lekin Biwi ko (1/4) milay ga.

 

Misaal 2: Aik aadmi faut ho gaya. Apni Biwi, Beti, Do Akhiyaafi Behnein aur Chacha zindah chodha.

Hal: Biwi ko (1/8) milay ga. Beti ko (1/2) donon Behnein, Beti ki wajah say mahroom hain aur baqi Chacha Bator-e-Asabah lay ga. Asal masla (8) hai. Biwi ko (1) mila, Beti ko (4) milay aur baqi (3) Chacha lay ga. Donon Akhiyaafi Behnein wiraasat say mahroom hein.

 

 

8

1/8

Biwi

1

1/2

Beti

4

م

2 Akhiyaafi Behnein

ع

Chacha ain

3

 

 


 

✦ Akhiyaafi Bhai, Behan ki wiraasat ki daleelein:

 


 

قَوْلُهُ تَعَالَى فِي سُورَةِ النِّسَاءِ: وَإِنْ كَانَ رَجُلٌ يُوْرَثُ كَلَّلَةٌ أَوِ امْرَأَةٌ وَ لَهُ أَخٌ أَوْ أُخْتٌ فَلِكُلِّ وَاحِدٍ مِنْهُمَا السُّدُسُ فَإِنْ كَانُوا أَكْثَرَ مِنْ ذلِكَ فَهُمْ شُرَكَاء فِي الثُّلُثِ

(Sorat-ul-Nisaa: 4/12)

 

 

Mufassarin kay darmiyaan

 

Lafz “كَلَّلَةٌ” kay maana mein ikhtilaaf paaya jata hai. Aksar sahaba رضی اللہ عنہم kay nazdeek كَلَّلَةٌ usay kehtay hain “منْ لا ولد له و لا والد” yani jis kay waarison mein koi aulaad aur Baap mujood nah ho. Yeh Sayyiduna Abu Bakr رضی اللہ عنہ, Zaid bin Saabit رضی اللہ عنہم, Ibn-e-Maso’od رضی اللہ عنہم ki raaye hai aur yahi raajeh hai kiunkeh Sayyiduna Al Baraa bin Aazib رضی اللہ عنہم say riwayat. قال جاء رَجُلٌ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ : يَارَسُولَ اللَّهِ : يَسْتَفْنُونَكَ فِي الْكَلَالَةَ فَمَا الْكَلَالَةُ؟ قَالَ: تَجْزِنَكَ آيَةُ الصيف (رواہ ابوداؤد)

Mazkoorah aayat hi Aayat-ul-Saif hai kiunkeh yeh Ayaam-e-Saif mein nazil hui thi. Is mein Akhiyaafi Bhai aur Behan ki meeraas bayaan ki gai hai. Kiunkeh yeh Bator-e-Asabah bhi waaris nahi hotay

 

 

REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.

 

 

Table of Contents