Search
Sections
< All Topics
Print

(A). MUSHABAHAT KA MAFHOOM [Understanding the term “Tashbeeh”]

MUSHABAHAT KA MAFHOOM:

 

“TASHBEEH” ka lughwi ma’aana: Lafz “Tashbeeh” mushabahat se makhooz hai,  Mushabahat ke ma’aane yaksaniyat, naqsh qadm ki paravi karne key hain, Tashbeeha ke ma’aane tamseel yani ham misal qarar dene ke hai mutashabihat se yaksa aur hum misal cheezen murad hoti hain, Kaha jaata hai: “Ashbah Falan falana” yani fulah fulah ke mushabe hua, yani fulah fulah ka masal hai, fulah fulah ke naqsh e qadm par chala.

 

“TAHBEEH” ka Shara’i ma’aana:

 

Tashbeeh ka shara’i ma’aana jis sey qur’an o hadees main mumaniyat warid hui Hai yeh hai keh kuffaar ke umoomi asnaaf ke sath a’qaaid, Ibadaat, Aadaat, aur unke makhsoos taur tareeqe mein mushabahat ikhtiyaar karna, isi tarha ghair naik-o-kaar afraad ke sath mushabihat khawah musalmaan hi kyun na ho maslan Faasiqon, Jahiloon, aur Gawaaron ki mushabihat ikhtiyar karna jo Deen mein paya kamaal ko nahi pohanche hain jiska tafseeli zikar aagae ke safhaat main aye ga.Chunacha mukhtasar ahem yeh keh saktey hain keh woh tamam cheezen jo kafiron ke khasaais mein se nahi hain aur na hi unke aqaaid, aadaat aur ibaadaat se taluq rakhti hain na hi kitab-o-sunnat ke Dalail se takraaten aur na hi Un key apnaney par koi khaarabi lazim aati hai, tou wo kafiron ki mushabahat ke zumray main shumar na hon gi, yeh aik mujmal qaidah hai.

 

REFERENCE:
BOOK: “KUFFAR KI MUSHABIHAT AUR ISLAMI HIDAYAT”
BY: DR.NASR AL-AQL
URDU TRANSLATED BY: ABDUL WALI ABDUL QAWI;
NAZAR E SAANI: SHAYKH MAQSOOD AL HASAN FAIZI.

 

 

GAIRO KI MUSHABIHAT Shaikh Abu Rizwan Mohammadi Salafi Hafizahullah 27/03/2022

Table of Contents