02. Bait-e-A‘teeq & Islam ke Arkaan
Bait-e-A‘teeq (Puraana Ghar)
Islam ke Arkaan
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على نبينا محمد و على آله و صحبه وسلم …
Amma ba‘ad
Yaqeenan Allah ka yeh puraana ghar:
Musalmaanon ke dilon ko apni taraf khenchnay waala hai chaahe woh duniya ke kisi bhi konay mein hon…
Dil aur paishaaniyaan rozaana paanch martaba aik aur akeley Allah ki khaatir khushoo-o-khuzoo ke saath muti-o-farmaanbardaar ho kar isi ki taraf mutawajjah hotay hain…
Duniya ke tamaam door daraaz raaston se Musalmaan Khanah Ka‘bah ki taraf wafad dar wafad aatay hain, Manaasik-e-Hajj ada karte hain aur Ka‘bah ka tawaaf karte hain, Yeh silsilah us waqt se jaari hai jab se Ibraaheem Khaleelullah (Alaihis-Salaam) ne usay apne Rabb ke hukum se banaaya hai. Ka‘bah woh pehla ghar hai jo logon ke liye banaaya gaya hai taa ke log is mein baatil aqaa‘id aur ghalat mafaaheem se door reh kar hidaayat aur baseerat ke saath Allah ki ‘Ibaadat karein…
Allah Ta‘ala ne farmaaya:
اِنَّ اَوَّلَ بَيۡتٍ وُّضِعَ لِلنَّاسِ لَـلَّذِىۡ بِبَكَّةَ مُبٰرَكًا وَّهُدًى لِّلۡعٰلَمِيۡنَۚ ۞
[03:96] : Allah Ta’alaa ka pehla ghar jo logon kay liye muqarrar kiya gaya, wohi hai jo Makkah (shareef) mein hai jo tamaam duniya kay liye Barkat-o-Hidaayat waala hai.
فِيۡهِ اٰيٰتٌ ۢ بَيِّنٰتٌ مَّقَامُ اِبۡرٰهِيۡمَۚ وَمَنۡ دَخَلَهٗ كَانَ اٰمِنًا ؕ وَلِلّٰهِ عَلَى النَّاسِ حِجُّ الۡبَيۡتِ مَنِ اسۡتَطَاعَ اِلَيۡهِ سَبِيۡلًا ؕ وَمَنۡ كَفَرَ فَاِنَّ اللّٰهَ غَنِىٌّ عَنِ الۡعٰلَمِيۡنَ ۞
[03:97] : Jis mein khuli khuli nishaaniyaan hain Maqaam-e-Ibrahim hai, is mein jo aa jaye aman wala ho jaata hai. Allah Ta’alaa nay un logon par jo us ki taraf raah paa saktay hun, Is ghar ka Hajj farz kar diya hai. Aur jo koi kufr karay toh Allah Ta’alaa (us say bulkay) tamaam duniya say bay parwah hai.
✯ Islam Kay Arkaan:
Aye Musalmaan Bhai,
Saheehain mein Nabi Kareem ﷺ se saabit hai ke Aap ﷺ ne farmaaya:
“Islam ki buniyaad paanch cheezon par hai: –
- Laa ilaaha illallaah Muhammadur Rasoolullaah ki gawaahi dena.
- Namaaz qaa’im karna.
- Zakaat ada karna.
- Ramadan ke rozay rakhna.
- Aur Baitullah ka Hajj karna.
Hajj Islam ka aik rukun hai. Us shakhs ka Islam poora nahin hai jo Baitullah tak pohanchne ki istitaa‘at rakhta ho aur phir Hajj na kare…
Lekin yeh Allah ki ne’mat hai ke Hajj zindagi mein sirf aik martaba waajib hai jaisa ke aik hadees mein hai ke jab Hajj farz huwa to aik shakhs ne kaha kya har saal aye Allah ke Rasool ﷺ ? To Aap ﷺ ne farmaaya:
“Hajj aik martaba hai, is se ziyaadah nafil hai.”
(Sahih Hadees)
Hajj aik Allah ke liye khaalis hona chaahiye, aur is mein riya kaari aur dikhaawa na ho, is liye ke Allah Ta‘ala ne Hadees-e-Qudsi mein irshaad farmaaya hai:
“Main shirk karne walon ke shirk se bay niyaaz hoon. Jis ne koi bhi amal kiya aur mere saath kisi ghair ko shareek kiya to main us ko aur us ke shirk ko chhod deta hoon.”
Neez yeh Hajj Rasoolullah ﷺ ke tareeqe ke mutaabiq hona chaahiye.
Yahan hum un bhaaiyon ko wasiyyat karte hain jo Hajj ka iraada rakhte hain, ke woh Hajj ka safar us waqt tak na shuru karain jab tak ke Rasool Allah ﷺ ka tareeqa-e-Hajj na seekh lain, taakeh is ko uswah bana sakain aur Aap ﷺ ke is qoul par amal kar sakain ke: –
Mujh se Hajj ke manaasik seekh lo.”
REFERENCE:
Book: Rahnuma-e-Hajj aur Umrah.
Compiled/Murattab: Talaal Bin Ahmed Al-Aqeel.