Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

04. Ihraam Aur Mawaaqeet

Ihraam 

 

✯ Ihram Hajj aur Umrah ka sab se pehla kaam hai…

 

Ihram ka matlab yeh hai ke: Hajj ya Umrah mein daakhil honay ki niyyat karna. Umrah ki niyyat saal bhar kisi bhi waqt mein ho sakti hai, aur Hajj ki niyyat Hajj ke maheenon mein karay jo yeh hain:

 

✯ Shawwal, Zil-Qa’adah aur Zil-Hijjah ke ibtidaai das din.

 

Umrah karnay wala kahay:

 

لَبَّيْكَ عُمْرَةً

Labbaik ‘Umratan

 

Hajj ya Umrah ke arkaan; Meeqaat se Ihraam baandhnay ke baad se shuru hotay hain. Phir jab Hajj ya Umrah ka iraada karnay wala khushki ke raaste se meeqaat par pohnchay to us ko chahiye ke sab se pehlay ghusal kar lay agar muyassar ho to khushboo istemaal kar lay. Agar ghusal na kar sakay to koi harj nahin hai. Phir do saaf suthray aur sufaid ihram ke kapray pehen lay. Aurat ke liye ihram ka koi masnoon libaas nahin hai, albatta zeenat ka izhaar kiye baghair apne jisam ko dhanknay wala koi bhi kapda chaahay laal ho ya peela ya hara waghaira pehen lay.

 

✯ Hajj-e-Tamattu’ karnay wala kahay:

 

لَبَّيْكَ عُمْرَةً مُتَمَتِّعًا بِهَا إِلَى الْحَجِّ

 

Labbaik ‘Umratan mutamatti‘an biha ilal-Hajj

 

 

Phir yeh kehtay huway Hajj ya Umrah ki niyyat kar lay:

 

Hajj-e-Qiraan karnay wala kahay:

 

لَبَّيْكَ عُمْرَةً وَحَجًّا

 

Labbaik ‘Umratan wa Hajjan

 

Jab woh talbiyaah kehna shuru kar deta hai to is ki wajah se Hajj ya Umrah mein daakhil honay ka ai’laan kar diya.

 

Agar woh behri ya fizaai raaston se aaye to aam taur par hota yeh hai ke captain meeqaat ke qareeb honay ka ai’laan kar detay hain taake Hajj aur Umrah karnay walay hazraat ihram ki tayyari karain. Phir jab meeqaat ke bilmuqaabil pohanch jaayen to Hajj ya Umrah ki niyyat kar lain aur kasrat se talbiyaah kehtay rahain. Aur jab Hajj ya Umrah karnay wala apne ghar hi se ihram baandh kar niklay aur talbiyaah us waqt shuru karay jab usay maaloom ho jaaye ke kashti ya hawaai jahaaz meeqaat ke bilmuqaabil ho gaya hai: kar ya meeqaat hai: to is mein koi harj nahin hai.

 

Aur Ifraad karnay wala kahay:

 

لَبَّيْكَ حَجًّا

Labbaik Hajjan

 

Talbiyaah buland aawaz se sirf mard kahain gay, auratein nahin.

 


 

✯ Ihram Se Pehlay :

 


 

✯ Aap ko mandarjah zail kaam karna mustahab hai:

 

  • Naakhun taraashna, moonchh ke baal kam karna, zer-e-naaf aur zer-e-baghal ke baal nikaalna.
  • Ho sakay to ghusal kar lay warna koi harj nahin hai. Ghusal mard aur khawateen hatta ke haiz aur nifaas waliyon ke haq mein bhi sunnat hai.

 

✯ Mard tamaam silay huway kapday nikaal day aur ihram ke kapday pehen lay.

 

  • Aurat apne chehray ka burqa’ aur niqaab nikaal day aur odhni odh lay taake ghair mahram mardon se apne chehray aur sar ko chhupa sakay. Agar kapda us ke chehray ko lag jaaye to koi harj nahin.

 

✯ Aur aurat zyada zaahir na honay wali khushboo istemaal kar sakti hai.

 

Ihram ki koi khaas namaaz nahin hai.

 

  • Mazkoorah cheezon se faarigh honay ke baad Hajj ki jis qism mein chahay daakhil honay ki niyyat kar lay. Niyyat ke baad woh muhrim ho jaata hai agarche woh zabaan se kuch bhi na kahay. Aur agar ihram ki niyyat kisi farz namaaz ke baad kar lay to yeh behtar hai. Aur agar farz namaaz ka waqt na ho aur Tahiyyat-ul-Wudu ki niyyat se do raka’at padh lay to koi harj nahin. Agar kisi doosray ki taraf se Hajj ya Umrah kar raha ho to us ki taraf se niyyat kar lay. Aur agar niyyat ke saath:

 

لَبَّيْكَ عَنْ فُلَانٍ

 

Labbaik ‘an Fulaan [Name]

 

(Yaani mein falaan shakhs ki jaanib se Umrah ke liye haazir hoon) kahay to koi harj nahin.

 


 

✯ Talbiyaah ke Kalimaat:

 


 

 

لَبَّيْكَ اللَّهُمَّ لَبَّيْكَ، لَبَّيْكَ لَا شَرِيكَ لَكَ لَبَّيْكَ، إِنَّ الْحَمْدَ وَالنِّعْمَةَ لَكَ وَالْمُلْكَ، لَا شَرِيكَ لَكَ



Labbayka Allahumma labbayk, labbayka laa sharika laka labbayk. Inna al-hamda wa’n-ni‘mata laka wa’l-mulk, laa sharika lak

 


 

✯ Talbiyaah ka Waqt:

 


 

Umrah mein Ihram baandhnay se lekar Tawaf shuru karnay tak, aur Hajj mein Ihram baandhnay se lekar Eid ke din subah Jamrah-e-Aqabah ko kankariyaan maarnay tak hai.

 


 

✯ Mawaaqeet/Ihram Baandhnay ki Jagahain:

 


 

Ihram baandhnay ke liye Nabi Kareem ﷺ ne paanch meeqaat muqarrar kiye hain. Har woh shakhs jo Hajj ya Umrah ka iraada rakhta hai, us par wajib hai ke un meeqaat se Ihram baandhe.

 

✯ Mawaaqeet (Meeqaat): Ihram baandhnay ki jagahain ye hain:

 

  1. Zul-Hulaifah:

 

Yeh Madeenah walon ki aur un logon ki meeqaat hai jo is raaste se guzarte hain. Jise aaj kal Abyaar-e-Ali kaha jata hai, jo Makkah se 450 kilometer par waqay hai.

 

  1. Juhfah:

 

Yeh Shaam, Maghrib, Misr aur un logon ki meeqaat hai jo is raaste se guzarte hain. Yeh Raabigh shehar se qareeb hai aur aaj kal log Raabigh se Ihram baandhte hain, jo Makkah Mukarramah se 183 kilometer par waqay hai.

 

  1. Qarn-ul-Manaazil (Sail-e-Kabeer):

 

Yeh Najad walon aur un logon ki meeqaat hai jo is raaste se guzarte hain. Is ka mojooda naam Sail-e-Kabeer hai, jo Makkah Mukarramah se 75 kilometer par waqay hai.

 

  1. Yalamlam:

 

Yeh Yaman walon aur un logon ki meeqaat hai jo is raaste se guzarte hain. Aaj kal log Sa’adiyah se Ihram baandhte hain, jo Makkah Mukarramah se 92 kilometer par waqay hai.

 

  1. Zaat-e-’Irq:

 

Yeh Iraq aur un logon ki meeqaat hai jo is raaste se guzarte hain, jo Makkah Mukarramah se 94 kilometer par waqay hai.

 


 

Lehaaza, jo shakhs Hajj ya Umrah ke iraaday se in meeqaat se guzray, us par wajib hai ke yahan se Ihram baandhe. Aur jo jaan boojh kar baghair Ihram ke in jaghon se guzar jaaye, to us ko waapas laut kar yahan se Ihram baandhna zaroori hai, warna Makkah mein ek bakri zabah kar ke wahan ke fuqaraa mein taqseem karna wajib hai.

 

Rasoolullah ﷺ ne Irshaad farmaya:

 

هُنَّ لَهُنَّ وَلِمَنْ أَتَى عَلَيْهِنَّ مِنْ غَيْرِ أَهْلِهِنَّ مِمَّنْ أَرَادَ الْحَجَّ وَالْعُمْرَةَ

 

(Bukhari-o-Muslim)

 

“Yeh in jaghon ke liye meeqaat hain, aur un logon ke liye bhi hain jo bagharz-e-Hajj aur Umrah ke in par se guzar jaayein.”

 


 

Ahl-e-Makkah:

 

Hajj ke liye Makkah se hi Ihram baandhenge, albatta Umrah ke liye Hill Ya’ani Hudood-e-Haram ke baahar, masalan Tan’eem se Ihram baandhenge. Aur jin logon ke ghar meeqaat ke andar hain, masalan Jeddah, Mastoorah, Badar, Bahrah, Umm-e-Salm, Sharaai’ waghairah, to yahan ke bashinday apne gharon se Ihram baandhenge. Is tarah unke ghar hi un ke liye meeqaat hain.

 

 

REFERENCE:
Book: Rahnuma-e-Hajj aur Umrah.
Compiled/Murattab: Talaal Bin Ahmed Al-Aqeel.

 

 

Table of Contents