Search
Sections
< All Topics
Print

04. ISTIKHAARA KI ZAROORAT WA AHMIYYAT [The Need & Importance of Istikhaara]

ISTIKHAARA KI ZAROORAT WA AHMIYYAT:

  • Istikhaara do cheezon may say acchi cheez ko talab karna hai. Aur salaatul Istikhaara yeh hai kay bandah do rakaat din ya raat may kisi bhi waqt padhe inke andar Surah Al-faatiha kay baad jo chahe padhe aur salaam pherne kay baad Allaah Taa’laa ki hamd wa sana kare aur Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam par darood padhe. Phir woh dua padhe jo Sahih Bukhari may Jabir (Razi Allaahu Anhu) say marwi hai:
اَللّٰھُمَّ اِنِّیْ اَسْتَخِیْرُکَ بِعِلْمِکَ وَ اَسْتَقْدِرُکَ
بِقُدْرَتِکَ وَ اَسْاَلُکَ مِنْ فَضْلِکَ الْعَظِیْمِ، فَاِنَّکَ تَقْدِرُ وَ لَا اَقْدِرُ وَ تَعْلَمُ وَ لَا اَعْلَمُ وَ اَنْتَ عَلَّامُ الْغُیُوْبِ، اَللّٰھُمَّ اِنْ کُنْتَ تَعْلَمُ اَنَّ ھٰذَا الْاَمْرَ خَیْرٌ لِّیْ فِیْ دِیْنِیْ وَ مَعَاشِیْ وَ عَاقِبَةِ اَمْرِیْ، فَاقْدُرْهُ لِیْ وَ یَسِّرْهُ لِیْ، ثُمَّ بَارِکْ لِیْ فِیْهِ وَ اِنْ کُنْتَ تَعْلَمُ اَنَّ ھٰذَا الْاَمْرَ شَرٌّ لِّیْ فِیْ دِیْنِیْ وَ مَعَاشِیْ وَ عَاقِبَةِ اَمْرِیْ، فَاصْرِفْهُ عَنِّیْ وَ اصْرِفْنِیْ عَنْهُ وَ اقْدُرْ لِیَ الْخَیْرَ حَیْثُ کَانَ ثُمَّ اَرْضِنِیْ بِهِ۔

  • Allaahumma inni astakheeruka bi ilmik, va as taqdiruka bi khudaratik, va as aluka min fazlikal azeem, fa innaka taqdiru vala aqdiru, va ta’lamu vala a’lamu, va anta allaamul ghuyoob, allahumma in kunta ta’lamu anna haazal amr khairun li fi deeni va ma’ashi va aaqibati amri, au fi ‘a’ajili Amri, va aajlihi, faqdurhu li, va in kunta ta’lamu anna haazal amr sharrun li fi deeni va ma’ashi va aaqibati Amri, au fi ‘a’ajili Amri, va ‘aajilihi fasrifhu ‘anni vasrifni anhu, vaqdur liyal khaira haisu kaan, summa razzini bihi.”
(Bukhari: 6382)
 
Jabir (RaziyAllaahu Anhu) nay  bayaan kiya kay Rasoolullaah Sallallahu alaihi wasallam humein tamaam maamlaat may Istikhaara ki taleem dete the, Qur’aan ki soorat ki tarah, (Nabi kareem Sallallahu alaihi wasallam nay farmaya) jab tum mein say koi shakhs kisi (mubaah) kaam ka iraada kare (abhi pakka azm na huwa ho) to do rakaat (nafil) padhe uskay baad yun duaa kare kay:

Aye Allaah! Mai bhalai maangta hoon, tu ilm wala hai, mujhe ilm nahi aur tu tamaam poshida baaton ko janne wala hai, Aye Allaah! Agar tu jaanta hai kay yeh kaam mere liye behtar hai, mere deen kay etebaar say, meri maa’sh aur mere anjaam kaar kay etebaar say to ise mere liye muqaddar karde. Aur agar tu janta hai kay yeh kaam mere liye bura hai; mere deen kay liye, meri zindagi kay liye, aur mere anjaam kaar kay liye to usse mujhse pher day aur mujhe uss say pher day aur mere liye bhalai muqaddar karde jahan kahin bhi wo ho aur phir mujhe uss say mutma’in karde. (yeh duaa karte waqt) apni zaroorat bayaan kar dena chahiye.

1. Jab insaan ko koi ahem masla dar pesh ho to wo fauran Istikhaara ki niyyat kare.

2. Namaaz ki tarah mukammal wazoo kare.

3. Farz namaaz kay alawah do rakaat namaaz ada kare.

4. Namaaz say faarigh hone kay baad Istikaara ki makhsoos duaa padhe.

5. Duaa kay shuroo may Alhamdulillah… aur phir aap Sallallahu alaihi wasallam par Durood wa salaam padhe.

 

  • Salaat-ul-Istikaara say mutaliq chand maloomaat

1. Din aur raat kabhi bhi Istikhaara kar sakte hain.

2. Salaam pherne kay baad duaa Istikhaara karni chahiye, salaam say pehle bhi kar sakte hai, jaisa kay Ibn Taymiyyah (Rahimahullah) nay istedlaal kiya hai.

3. Yeh amal sunnat hai, farz nahi.

4. Jab tak itminaan-e-qalb na ho Istikaara kar sakte hain.

5. Teen martaba Allaah kay Nabi Sallallahu  alaihi  wasallam duaa maangte the, isliye teen martaba karna chahe to kar sakta hai, aik martaba bhi kaafi hai.

6. Yeh amal chote bade sabhi  masaail kay liye mufeed hai.

7. Mustaqbil ki rehnumaai aur Allaah ki madad kay liye.

8. Jo mashwarah aur Istikaara  kare woh naadim nahi hota.

9. Istikaara ka jawab agar accha ho angoor say warna kaante say aata hai yeh sub be-buniyaad baatein hain.

10. Safed kapde may namaaz aur safed may sona be-daleel hai.

11. Jis hadees may bayaan kiya gaya kay Istikaara kay baad itminaan-e-qalb hasil hota hai wo hadees zaeef hai, Ibn Uthaymeen nay kahan albatta Istikaara ki duaa mayِ ِ

 ثُمَّ اَرْضِنِیْ بِهِ 

say pata chalta hai kay iska mane sahih hai yane dil may itminaan ki kaifiyat taari hona bhi aik nishaani hai, Wallaahu Aalam.

12. Istikaara ki aik alaamat sharh-e sadr bhi hai, lekin ussi ko aik qat’ee alaamat samajhna aur mashwarah ya deegar tajirbaati umoor say istefaada na karna ghalat hai, kyun kay sharh-e-sadr waali hadees zaeef hai. Umoomi nusoos say sharh-e-sadr aik alaamat to ban sakti hai, lekin ise hi hatmi wa aakhri maanna aur usse hi asal bunyaad aur faisle ka naam dena ghalat hai.

 

13. Istikaara ka nateeja maloom karne ki kayi alaamatein hain: 

i) Sharh-e-sadr.

ii) Mailaan paaya jaana.

iii) Asbaab aur kaam bante chale jaana.

 

14. Istikaara say qabl mashwarah karein, aur mashwarah dene wale do sifaat kay haamil ho:

i. Naasih (khair khwah)

ii. Aleem (jaankaar).

15. Muslim kay 6 huqooq may say aik sahih mashwarah dena bhi hai.

Tarjamah: Abu Hurairah (RaziyAllahu Anhu) say riwayat hai, Rasoolullaah Sallallahu alaihi wasallam nay farmaya: “Musalmaan kay haq musalmaan par chey (6) hai. 

Logo nay arz kiya, woh kiya? Ya Rasoolallaah! Aap Sallallahu alaihi wasallam nay farmaya: “Jab tu musalmaan ko mile to usko salaam kar aur jab wo teri dawat kare to qubool kar aur jab tujhse mashwarah chahe to acchi salaah day, jab cheenke aur “Alhamdulillaah” kahe to tu bhi jawab day (ya’ni, “Yarhamukallaah” kahe) aur jab bimaar ho to uski bimaar-pursi ko jaa aur jab mar jaae to uske janaze mein shirkat kar.”

(Sahih Muslim: 2162)

 

16. Istikaara kay baawajood naakaami ho to uska jawab hai:

A. Allaah ki hikmat.

B. Baaz awkhaat duaa aakhirat may sawab ki shakal may milti hai.

C. Momin bure haal may kahe Alhamdulillahi alaa kulli haal aur Qaddarallaah / Maa Shaa Allaah kahe museebat par, agar aisa hota to aisa na hota wagairah na kahe, aur khair may Alhamdulillah kahe.

REFERNCE:
BOOK: “NIKAH SE MUTALIQ AHEM MALOOMAT”
BY: SHEIKH ARSHAD BASHEER UMARI MADANI

The Need and Importance  of Istikhaarah

It was reported by Jaabir Ibn Abd-Allaah al-Salami (may Allaah be pleased with him) who said:

The Messenger of Allaah (PBUH) used to teach his companions to make Istikhaarah in all things, just as he used to teach them soorahs from the Qur’an. He said: If any one of you is concerned about a decision he has to make, then let him pray two rakahs of non-obligatory prayer, then say:

Allaahumma inni astakheeruka bi ilmik, va as taqdiruka bi khudaratik, va as aluka min fazlikal azeem, fa innaka taqdiru vala aqdiru, va ta’lamu  vala a’lamu, va anta allaamul ghuyoob, allahumma in kunta ta’lamu anna haazal amr khairun li fi deeni va ma’ashi va aaqibati amri, au fi ‘a’ajili Amri, va aajlihi, faqdurhu li, va in kunta ta’lamu anna haazal amr sharrun li fi deeni va ma’ashi va aaqibati Amri, au fi ‘a’ajili Amri, va ‘aajilihi fasrifhu ‘anni vasrifni anhu, vaqdur liyal khaira haisu kaan, summa razzini bihi.”

(Bukhari: 6382)

MEANING:

(O Allaah, I seek Your guidance [in making a choice] by virtue of Your knowledge, and I seek ability by virtue of Your power, and I ask You of Your great bounty. You have power, I have none. And You know, I know not. You are the Knower of hidden things. O Allaah, if in Your knowledge, this matter (then it should be mentioned by name) is good for me both in this world and in the Hereafter (or: in my religion, my livelihood and my affairs), then ordain it for me, make it easy for me, and bless it for me. And if in Your knowledge it is bad for me and for my religion, my livelihood and my affairs (or: for me both in this world and the next), then turn me away from it, [and turn it away from me], and ordain for me the good wherever it may be and make me pleased with it.

1. A Muslim must intend to  perform in all the difficult affairs of life.

2. Ablution.

3. Two units of supererogatory prayer.

4. Read the duaa of Istikhaarah after the completion of prayer.

5. Praise Allaah and send salutations and greetings upon the final Prophet ((ﷺ)) before supplicating.

 

Some Important Rulings Regarding Salat-ul-Istikhaarah

1. Can pray it during the day/night.

2. Duaa of Istikhaarah should be after saying the salaam and it is also allowed to do duaa before saying the salaam as given proofs by Ibn Taymiyyah (Rahimahullah).

3. This is Sunnah (recommended) not fardh (obligation).

4. Can perform Istikhaarah as long as we don’t get assured.

5. The Messenger of Allaah (PBUH) used to supplicate three times but supplicating for once will also suffice.

6. This prayer can be offered to get guidance for all the minor and major affairs.

7. Allaah’s guidance and help (in the future) can be sought through this prayer.

8. Some pious people said: The one who performs Istikhaara and mashwarah will not be regretful.

(Al Kalimatuth Tayyib of Ibn Taymiyyah: 7)

9.“If the reply of Istikhaarah is grape, then it is good and if the reply of the Istikhaarah is thorn, then it is evil”, this is a  baseless statement.

10. Praying this Salah in white clothes is an act without evidence.

11. With regard to what some people say, then he should go ahead with whatever he feels happy with, a hadeeth to this effect was narrated from the Prophet (PBUH) is weak. There is no sahih daleel (evidence) for this as far as we know. The hadith which mentions that heart will be assured after performing Istikharah is weak (Shaykh Uthaymeen). However, we come to know from the wordings of the dua of Istkhirah i.e. summa ardhinee bihee that the assuredness of heart is also a sign of acceptance. Allaah knows best.

12.One of the signs of acceptance of Istikharah is opening up of the heart. However, deeming it to be certain and not benefiting from seeking counsel and our experience is not correct because the hadith pertaining to this issue is weak. It can be deduced from the general texts that opening up of heart is a sign but basing our final verdict on that sign is incorrect.

 

13. THE SIGNS OF THE RESULT OF ISTIKHAARAH

a) Sharh-e-sadr  (satisfaction )

b) Tendency 

c) Ease in the affairs

 

14. Seek counsel before Istikhaarah. The one (from whom the counsel is sought) must have the following qualities:

I. Well-wisher

II. Well acquainted

15. And Muslim (2162) narrated from Abu Hurairah (may Allaah be pleased with him) that the Messenger of Allaah (PBUH) said:

“The rights of one Muslim over another are six.” It was said: What are they, O Messenger of Allaah (PBUH) ? 

He said: “If you meet him, greet him with salaam; if he invites you, accept the invitation; if he asks for advice, give him sincere advice; if he sneezes and praises Allaah, say Yarhamuk Allaah (may Allaah have mercy on you); if he falls sick, visit him; and if he dies, attend his funeral.”

(Sahih Muslim: 2162)

16. Wisdom behind failing after praying Istikhaarah.

A. The Hikmah of Allaah.

B. Compensation for the sins.

C. Immense reward on the day of judgment. The Prophet (PBUH) said:

 “How wonderful is the situation of the believer, for all his affairs are good. If something good happens to him, he gives thanks for it and that is good for him; if something bad happens to him, he bears it with patience, and that is good for him.”

Narrated by Muslim (2999)

REFERENCE:
BOOK: “CRUCIAL INFORMATION RELATED TO NIKAH”
BY: SHEIKH ARSHAD BASHEER UMARI MADANI

Table of Contents