Search
Sections
< All Topics
Print

09. ARKAAN AUR SHUROOT E NIKAH [Pillars & conditions of Nikah]

NIKAAH KAY DAURAAN

1. Arkaan-e-Nikaah

Zaujain ka wujood aur inka in tamaam mawaane (rukaawaton) say khaali hona jinki wajah say nikaah sahih nahi hota (muharramaat yane kinse shaadi jaaiz hai aur kinse nahi, yeh masaael jaanna zaroori hai, isi tarah nikaah kay haraam tareekhon say bachna chahiye).

 

2. Husool-e-ijaab (razamandi kay saath)

Wali ya uska wakeel misl qaazi ladki ki razamandi kay baad ladke say yun kahega mai tera nikaah itne mehr par fulan ladki say karta hun, tu nay qubool kiya?

3. Husool-e-qabool (razamandi kay saath)

Shauhar ya uske qaaim makhaam kisi shakhs ki taraf say saadir hone wala yeh jumlah kay mein nay is nikaah ko razamandi kay saath qabool kiya.

(Al Mulakhkhass al-Fiqhi Saaleh Fawzaan)

 

Shuroot-e-Nikaah

1. Ladka ladki ki ta’yeen, ishaara, naam ya wasf kay zariye.

2. Shauhar aur biwi ki razamandi:

 Kunwaari (baakirah) ki razamandi usi ki khamoshi kay zariye samjhi jaa sakti hai, jabke ghair kunwaari (sayyibah) ki razamandi kay liye waazeh izn yane ijazat zaroori hai, khamoshi kaafi nahi hai).

Note: Zabardasti nikaah karwaane say bachein, yeh jaaiz nahi mardood hai.

(Narrated by Muslim: 1421)

3. Ladki kay liye wali ki razamandi aur ijaazat.

(Aik qawl kay mutabiq yeh rukun hai)

(Abu Dawod: 2085)

4. Do aadil gawahon ki maujoodgi.

(Sahih al-Jaami: 7557)

Waajibaat-e-Nikaah

1. Mahr 

(Aik qawl kay mutaabiq yeh shart hai)

(Surah Nisa: 4)

2. Valimah.

(Bukhari: 5155)

 

Wali kaisa ho?

 Mard aaqil, baaligh, aazaad, muslim, aadil (faasiq na ho, bharosamand aur khair khwaah ho) aur rushd (acche bure ki tameez) rakhnay wala ho.

Elaan-e-Nikaah

Shari’at may iska taakeedi hukum aaya hai.

REFERNCE:
BOOK: “NIKAH SE MUTALIQ AHEM MALOOMAT”
BY: SHEIKH ARSHAD BASHEER UMARI MADANI
Nikah Ke Arkaan Aur Shuroot – Wali Ki Ijazat Ka Masla | Islam Ka Khandaani Nizaam Ep 14 | Alimuddin

DURING NIKAAH

The Pillars Of Nikaah

1. The presence of bride and bridegroom and it should be free of all the obstacles (for instance, marrying forbidden relations).

2. INVITING WITHOUT  COERCION:

The judge i.e. Qadhi will ask the bridegroom (after seeking approval from the bride) “I am marrying you with this girl on a specific amount of MAHR, Do you accept?”

3. ACCEPTANCE WITHOUT  COERCION:

The bride or bridegroom replies: “I accept”.

(Al Mulakkhasul Fiqhi of Shaykh Saalih al Fawzan)

The Conditions Of Nikaah

1. Specification of the girl and boy by name, quality etc.

2. Approval of the bride and the bridegroom.

The Prophet (PBUH) said: “A previously-married woman has more right concerning herself than her guardian, and the permission of a virgin should be sought (regarding marriage), and her permission is her silence.”

(Narrated by Muslim: 1421)

3. The consent of Wali on behalf of the bride. 

(According to one opinion, it is one of the pillars of Nikaah)

(Abu Dawod: 2085)

4. Presence of the trust worthy 2 witnesses.

(Sahih al-Jaami: 7557)

Obligations of Nikaah

1. Mahr 

(According to one opinion, it is one of the conditions of Nikaah)

(Nisaa: 4)

2. Valimah.

(Bukhari: 5155)

What are the qualities of a  Wali i.e. guardian?

Man, Sane, Adult, Free, Muslim, Just, Trustworthy (He should not be a (fasiq), majors inner well-wisher), and Guided.

The Announcement of Nikaah

The Islamic Shariah has specifically enforced to announce the Nikaah.

REFERENCE:
BOOK: “CRUCIAL INFORMATION RELATED TO NIKAH”
BY: SHEIKH ARSHAD BASHEER UMARI MADANI

Rishta Karte Waqt Ladki Ki Raaye Lena | Islam Ka Khandaani Nizaam Ep 13 | Shaikh Alimuddin iPlus TV
Table of Contents