Search
Sections
< All Topics
Print

13. KHUTBA-E-NIKAAH AUR ASBAAQ [THE SERMONS OF NIKAAH AND LESSONS]

Khutba-e-Nikaah aur  asbaaq

 

  1. Khutba-e-nikaah sirf dulha aur dulhan ko hi nahi balke taqreebe-nikaah may shareek saare ahle-emaan ko mukhaatab karke taqreeb-e-nikaah ko mahez aik aish wa tarab ki majlis hi nahi rahne deta balke ise aik intehaai pur-waqaar aur sanjeedah ibadat ka darja day deta hai.
  • Khutba-e-nikaah goya poori zindagi ka aik dastoor hai jo naye khaandaan ki bunyaad rakhte huwe arkaan-e-khaandaan ko Allaah aur uske Rasool ki taraf say ata kiya jata hai.

 

Khutba-e-nikaah may tilaawat kardah aayaat aur unse maqooz chand nikaat

 

“Innal hamda lillaah, nahmaduhu wa nasta’eenuhu wana stagfiruh wa na’oozu billahi min shuroori anfusina wa min sayyiaati a’amaalina, mai yahdihillaahu falaa muzzilla lahu wa mai yuzlil falaa haadiya lahu, wa ash hadu al laa ilaaha illallaahu wahdahu laa shareeka lahu wa ash hadu anna muhammadan abduhu wa Rasooluhu”.

 

A’oozu billaahi minash shaitaan nirrajeem, Bismillaahir-Rahmaanir Raheem.

يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ ٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِۦ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ ١٠٢

 

(Yaaa-ayyuhal-lazeena aamanut-taqullaaha haqqa tuqaatihi wa laa tamutunna illa wa antum-Muslimoon)

[SURA ALE IMRAAN:03: 102]

 

 

يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُوا۟ رَبَّكُمُ ٱلَّذِى خَلَقَكُم مِّن نَّفْسٍۢ وَٰحِدَةٍۢ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًۭا كَثِيرًۭا وَنِسَآءًۭ ۚ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ ٱلَّذِى تَسَآءَلُونَ بِهِۦ وَٱلْأَرْحَامَ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَيْكُمْ رَقِيبًۭا ١

 

  • (Yaaa-ayyuhan-naasut-taqoo Rabbakumullazi khalaqakum-min-Naf siw-waahidah wa khalaqa minha zawjaha wa bassa minhuma rijaalan kasiraw-wa nisaa-aa. Wattaqullaa-hallazii tasa-aloona bihii wal-arhaam: innallaaha kaana alaikum Raqeebaa)
[SURAH NISA:04: 01]

 

 
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ ٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ وَقُولُوا۟ قَوْلًۭا سَدِيدًۭا ٧٠
يُصْلِحْ لَكُمْ أَعْمَـٰلَكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَقَدْ فَازَ فَوْزًا عَظِيمًا
٧١
  • (Yaaa-ayyuhallazeenaaamanut  taqullaaha wa quuluu qawlan-sadiidaa. Yuslih lakum a’maalakum wa yaghfir lakum zunuubakum: wa may-yuti-illaaha wa Rasuulahuu faqad faaza Fawzan aziimaa)
[SURAH AHEZAB:33: 70-71]
 
Amma baad.

 

Fa inna khairal hadeesi kitaabullah, va khairal hadyi hadyu Muhammadin Sallallaahu Alaihi Wasallam, va sharral umoori muhdasaatuha, va kulla muhdasatin bid’ah, va kulla bid’atin zalaalah, va kulla zalaalatin finnar.

 

Aayaat ka Tarjamah mulahizah farmaaein:

 
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ ٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِۦ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ ١٠٢

 

1. Momino! Khuda say daro jaisa kat usse darne ka haq hai aur marna to musalmaan hi marna.

(Surah Aal-e-Imran: 102)
 
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُوا۟ رَبَّكُمُ ٱلَّذِى خَلَقَكُم مِّن نَّفْسٍۢ وَٰحِدَةٍۢ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًۭا كَثِيرًۭا وَنِسَآءًۭ ۚ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ ٱلَّذِى تَسَآءَلُونَ بِهِۦ وَٱلْأَرْحَامَ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَيْكُمْ رَقِيبًۭا ١

 

2. Aye logo! Apne parwardigaar say daro, jisne tumhe aik jaan say paida kiya aur usi say uski biwi ko paida karke un dono say bahut say mard aur aurtein phaila dein, uss Allaah say daro jiske naam par aik doosre say maangte ho aur rishte naate todne say bhi bacho, beshak Allaah Taa’laa tum par nigahbaan hai.

 (Surah Nisa: 1)
 
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ ٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ وَقُولُوا۟ قَوْلًۭا سَدِيدًۭا ٧٠
يُصْلِحْ لَكُمْ أَعْمَـٰلَكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَقَدْ فَازَ فَوْزًا عَظِيمًا
٧١

 

3. Aye emaan walo! Allaah Taa’laa say daro aur seedhi seedhi (sacchi) baatein kiya karo, taake Allaah Taa’laa tumhare kaam sawaar day aur tumhare gunaah maaf farma day, aur jo bhi Allaah aur uske Rasool ki taabedaari karega usne badi muraad paa lee.

 (Surah Ahzaab: 70-71)

 

4. Khutba-e-nikaah ki teeno aayaat may chaar martaba taqwa ki zabardast taakeed ki gayi hai. Is maukhe par taqwa ki is qadar taakeed ka matlab yeh hai kay intehaai khushi kay maukhe par bhi insaan ka dil, dimaagh, jism wa jaan Allaah Taa’laa aur uske Rasool kay hukum kay taabe rahne chahiye, shaitaani aur haiwaani afkaar wa aamaal in par ghaalib nahi aane chahiye, neez aane waali zindagi may mard ko aurat kay huqooq kay maamle may aur aurat ko mard kay huqooq kay maamle may Allaah say darna chahiye.

 

5. Nikaah ka eemaan aur taqwa say gehra taluq hai. 

(ittaqllah)

 

6. Taqwa ka taqaazah hai kay tawheed, risaalat aur aakhirat ki buniyaad par tarbiyat ki jaaye.

ولا تمو تن الا وانتم مسلون “wa laa tamutunna illa wa antum-Muslimuun” agar maut aajaaye to Allaah ki razamandi ki haalat may aaye, Allaah ki naarazgi may na aaye, Islaam aur itaat ki haalat may aaye.

8. Surah Nisa ki pehli aayat aik may “Rabb” ki sifat ko yaad dilaaya jaa raha hai. Jo naujawaan pareshaan hote hain aur shaadi nahi karte unhe yaad rahna chahiye kay khilaane pilaane waala Allaah hai.

9. Zindagi kay masaail aur mushkilaat may Allaah taala say madad talab karne ki taleem dee gayi kyun kay woh Rabb aur Paalanhaar hai ربكم الذي 

(Rabbakumullazi)

 

10. من نفس واحدة “min-Nafsiew-waahidatin”  tumhein apne rang, khabeele ya zabaan par takabbur karne ki zaroorat nahi sab kay maa baap aik hi hai. Ghuroor, takabbur aur ta’assub (Racism) aaj kay daur ki jangon aur dahashat gardee ki ahem wajah hai, is zahreele darakht ko jad say ukhaada gaya hai.

 

11. Rishte Allaah ki nemat hai, unko banaae rakhein وتقوا الله الذي تساء لون به والار حام

 (Wattaqullaa-hallazii tasaa-aloona bihii wal-arhaam )       

 

12. Jin rishton ko Allaah kay naam par jode ho unke huqooq ada karo, unko todne say bacho, rishton kay baare may qiyaamat may baaz purs hogi.

13. Allaah Rabbul Aalameen humare saare muamalaat ka nigraan hai iska ehsaas rahna chahiye.

 

14. إن الله كان عليكم رقيبا   

 Innallaaha kaana alaikum Raqiibaa

“Innallaaha kaana alay-kum Raqiibaa” shauhar kehta hai meri chalegi, biwi kehti hai meri chalegi, nahi nahi sirf Allaah aur uske Rasool ki chalegi. Muraqaba shara’iyyah yane is baat ka ehsaas kay Allaah hamein dekh raha hai, yeh ehsaas zulm wa sitam wagairah say rokta hai. Aur bahu wa saas aik doosre kay khilaaf saazish karne say ruk sakte hain, kyun kay Allaah dekh raha hai.

 (15 قولوا قولا سىديدا  quuluu qaw  lan-sadiidaa” shaadi biyaah mein kai tarah kay jhoot bole jaate hain, sacch chupaya jaata hai, roop, rang, ghar gharas ti, tankha, wagairah wagairah bahrehaal jo bhi aib ho har cheez zaahir kar dena chahiye chahe kuch nuqsaan ho jaaye, magar fauran talaaq say bach jaaoge

‘ Yuslih lakum amaalakum”  

يصلح لكم أعمالكم

sacch bolne say kaam bigadte nahi balke san war jaate hain.

 

Nikaah aasaan aur muqtasar muddat me khatam kiya jaa sakta hai

 

  • Qazi nay kaagzaat ki khana poori pehle hi mukammal kar rakhi ho to nikaah sirf aadhe ghante me hi mukammal ho sakta hai.

 

  • Wali ki razamandi, do gawahon ki maujoodgi, ladka aur ladki ka ijaab wa qubool, yeh sab sirf aadhe ghante may anjaam diya jaa sakta hai. Jiska matlab yeh huwa kay:

 

“sirf aadhe ghante may nikaah ho sakta hai” In Shaa Allaah”.

 

 

REFERNCE:
BOOK: “NIKAH SE MUTALIQ AHEM MALOOMAT”
BY: SHEIKH ARSHAD BASHEER UMARI MADANI

THE SERMONS OF NIKAAH AND LESSONS:

 

1. The sermon of Nikaah is not only for the bride and the bridegroom but also for all of the attendees. The gathering of Nikaah is not only for enjoyment but it is also an honoured gathering.

2. The sermon of Nikaah is a constitution for the upcoming life. The institution of family is based upon the teachings of this sermon.

 

3. The following verses are recited in the sermon of Nikaah:

 

“Innal hamda lillaah, nahmaduhu wa nasta’eenuhu wana stagfiruh wa na’oozu billahi min shuroori anfusina wa min sayyiaati a’amaalina, mai yahdihillaahu falaa muzzilla lahu wa mai yuzlil falaa haadiya lahu, wa ash hadu al laa ilaaha illallaahu wahdahu laa shareeka lahu wa ash hadu anna muhammadan abduhu wa Rasooluhu”.

 

A’oozu billaahi minash shaitaan nirrajeem, Bismillaahir-Rahmaanir Raheem.

يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ ٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِۦ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ ١٠٢

 

(Yaaa-ayyuhal-lazeena aamanut-taqullaaha haqqa tuqaatihi wa laa tamutunna illa wa antum-Muslimoon)

(O you who believe! Fear Allaah as He should be feared and die not  except in a state of Islam (as Muslims) with complete submission  to Allaah.)

[Aal Imraan 3:102],

 

يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُوا۟ رَبَّكُمُ ٱلَّذِى خَلَقَكُم مِّن نَّفْسٍۢ وَٰحِدَةٍۢ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًۭا كَثِيرًۭا وَنِسَآءًۭ ۚ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ ٱلَّذِى تَسَآءَلُونَ بِهِۦ وَٱلْأَرْحَامَ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَيْكُمْ رَقِيبًۭا

١

  • (Yaaa-ayyuhan-naasut-taqoo Rabbakumullazi khalaqakum-min-Naf siw-waahidah wa khalaqa minha zawjaha wa bassa minhuma rijaalan kasiraw-wa nisaa-aa. Wattaqullaa-hallazii tasa-aloona bihii wal-arhaam: innallaaha kaana alaikum Raqeebaa)

(O mankind! Be dutiful to your Lord, Who created you from a single person, and from him He created his wife, and from them both He created many men and women, and fear Allaah through Whom you demand your mutual (rights), and (do not cut the relations of) the wombs (kinship) Surely, Allaah is Ever an All-Watcher over you).

(al-Nisaa 4:1)

 

يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ ٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ وَقُولُوا۟ قَوْلًۭا سَدِيدًۭا ٧٠
يُصْلِحْ لَكُمْ أَعْمَـٰلَكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَقَدْ فَازَ فَوْزًا عَظِيمًا ٧١

 

  • (Yaaa-ayyuhallazeenaaamanut  taqullaaha wa quuluu qawlan-sadiidaa. Yuslih lakum a’maalakum wa yaghfir lakum zunuubakum: wa may-yuti-illaaha wa Rasuulahuu faqad faaza Fawzan aziimaa)

 

(O you who believe! Keep your duty to Allaah and fear Him, and speak (always) the truth).

(al-Ahzaab 33:70)

 

Yuslih lakum aAAmalakum wayaghfir lakum thunoobakum waman yutiAAi Allaha warasoolahu faqad faza fawzan AAatheeman.

 

He will (then) amend for you your deeds and forgive you your sins. And whoever obeys Allah and His Messenger has certainly attained a great attainment.

 

4. Taqwa (ittaqu / اتقوا(is mentioned 4 times in the above three verses. Meaning, one should have the consciousness of Allaah even in the state of happiness and joy. One should make himself follow the way of prophet (PBUH) and should not allow him to follow his desires. Further, the couple should fear Allaah in fulfilling each other’s rights.

 

5. One of the requisites of Taqwa is to up bring us on the principles of monotheism, prophethood and resurrection the day of judgement.

 

6.  ولا تمو تن الا وانتم مسلون one should die in the state of Islam and not in the state of disobedience. Meaning, we should die in a state of obedience towards Allaah.

 

7. The word ‘Rabb’ indicates that Allaah is the one who provides us sustenance. Meaning, we should not be afraid of poverty and scarcity while marrying.

 

8. We should seek the help of Allaah in all of our worldly affairs as He is our Rabb. 

ربكم الذي

 

9.  من نفس واحدة we shouldn’t be boasting about our skin colour, tribe, language etc. as all of us come from a single parent. The roots of racism have been cut off in these ayahs.

 

10.  وتقوا الله الذي تساء لون به والار حام Relations are the blessings from Allaah. We shouldn’t cut it off.

 

11. The relations which were bonded in the name of Allaah, they should be given their due rights and we shouldn’t cut it off. We will be questioned about these relationships on the day of judgement?

 

12. Allaah is fully aware of all of our affairs, so we should be aware of it.

ان الله عليكم رقيبا

 

13. The Husband says: ان الله عليكم رقيبا   governed according to my will”, The wife says: “Affairs will be governed according to my will”.

 No, Never!

“Affairs will be governed according to will of Allaah.”

Muraqabah means that we acknowledge the fact i.e. Allaah is watching all of our affairs. This acknowledgment will protect us from transgression and oppression.

 

14.  قولوا قولا سىديدا we often lie about the colour of Skin, Home, Salary etc. in the affairs of marriage. This is unacceptable. Rather, we should speak the truth as it eases our affairs and also averts the danger of instant divorce يصلح لكم اعمالكم

 

Nikaah can be Completed in a brief Interval

 

1. If the documentation is finished from first itself, then Nikaah can be completed in half an hour.

2. The approval of guardian, the presence of the witnesses and the acceptance from the bride and the bridegroom can be completed within half an hour.

Meaning, the ceremony of Nikaah can be completed in 30 minutes. In Sha Allaah

 

 

REFERENCE:
BOOK: “CRUCIAL INFORMATION RELATED TO NIKAH”
BY: SHEIKH ARSHAD BASHEER UMARI MADANI
Table of Contents